Jumma Mubarak kehna Kaisa ?

Jumma Mubarak kehna Kaisa ?

Jumma Mubarak kehna Kaisa ?


Kuchh Log kam-ilmi Aur Jahaalat ki
Buniyaad ki par
"Jumma Mubark” kehne par Aitraz Krte hai balki Yahan tak ise Biddat kehte hai
Maaz'Allah

Jab ki Nabie Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam
ka Farman-E-Aalishan hai

Aye MusaLmano K Giroh
Beshak Ye Jumaa Wo Din Hai, jisko Allah Ta'ala Ne Eid Banaya He
{Mishkat Hadis Number 123}


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Namaz Ka Masail
► Ghusal-Ka-Tareeqa
► Wuzu-Ka-Tareeqa
► Tayammum-Ka-Tariqa
► Peshab-Istenja-Karne-Ka-Tariqa


Is Hadees se Saaf Saaf clear ho jaata he ki jab ise Eid kehdia
Gya to
iski Mubarkbad dene me koi haraj Nahi hona chahie


Jumma Mubarak kehna Kaisa ?


Aayiye Jumma ke Mubarak din ko Bayaan kerte hain

Ek Hadis Padte Hai

Nabie Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya

Jume ka din Sab dinoKa Sardar
Hai
Allah Ta"ala ke
Nazdiq Sabse Badha hai Aur
Yeh ALLAH ke Nazdiq
Eid-ul Fitar Aur Eid-ul-Azha Se Bi
Afzal o Aala Hai

ALLAH Ta'ala ne Isme Hazrat
Aadam Alayhissalam Ko Paida
Farmaya Aur Isi Din
Zameen par Unhe Utaara Aur Isi Din Unhe Wafaat
Ata Farmaayi
{ibne-Majah jild 2, Hadees 1084}


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Juma-ki-Azan-Hone-Ke-Baad-Karobar-Karna Haraam Hai
► Quraan-padhne-Ka-Tariqa
► Makrooh Kise Kehte hain


Is Hadees Se Saaf Pata Chalta hai
ki
Nabi ki Pedaish Aur Unka Zameen
Par Tasreef Laana
Aur Unki Wafaat ke Bawjood
Bhi
Musalmano ke Lie
Allah Ta'ala ne Usey Eid Bana Dia
Aur To Aur
Usey
Eid-ul Fitar Aur Eid-ul-Azha Se Bhi
Afzal o Aala Kar Dia

Aayiye Pahle Hum
Eid Ka Matlab Samajh lete hain
Eid Ke Lughawi(Wordly Meaning)
Mayne Hain
"Khushi" Agar koi Arbi me Khushi
Ka Lafz Kahega
To wo Kahega "Eid"

Isey Samajhne ke Lie Ek Quraan e Paak
Ki Aayat Pesh Karte Hain

Al-Maidah – المائدة
[Ayath:114]
قَالَ عِيسَى ٱبْنُ مَرْيَمَ ٱللَّهُمَّ رَبَّنَآ أَنزِلْ عَلَيْنَا مَآئِدَةً مِّنَ ٱلسَّمَآءِ تَكُونُ لَنَا عِيداً لِّـأَوَّلِنَا وَآخِرِنَا وَآيَةً مِّنْكَ وَٱرْزُقْنَا وَأَنتَ خَيْرُ ٱلرَّازِقِينَ

TARJUMA :

"Isaa Alaihissalam
Ne Arz ki Aye Allah !
Aye Rab Hmare Hum Par Aasman Se Ek Khwan Nazil Farma
ke Wo Khwaan Utarne Ka Din Hamare Liye Eid Ho Hamare Agle Pichhlo ki
Aur Teri Taraf Se Nishani Aur Hamen
Rizk De Aur Tu Sabse Behtar Rizk Dene Wala hai"



ENGLISH

Al-Maidah – المائدة
[Ayath:114]
"Eisa, the son of Maryam, said, “O Allah, O our Lord! Send down to us a table spread from heaven, so that it may become a day of celebration for us – for our former and latter people - and a sign from You; and give us sustenance - and You are the Best Provider Of Sustenance.”


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Namazi-k-Saamne-se-Guzarna-Mana-hai Hatna Nahi
►5 WAQT NAMAZ ME SUSTI KARNA AUR WAZIFE PADNA
► Azaan-ka-Jawab-Kaise-den


Ab Batao Agar Eidein Me
Mubarak Baad Dena Jaiz Hai to
Kaise Us Afzal Din Par Mubarakbad Dena Bid'at Hoga ?

Kya Aisi Jahalat Bhari
Baten Kehne Waalo ko
Apne Aap ko Musalman kehte hue
Sharm Nahi Aati ?

Apni Jahalat ki Wajah Se Lakho
Musalmano ko.
Bas Yun Hi
Gunahgaar Keh dena kahan ki
Samajhdaari hai

Jis Kaam Ko Rasoolullah
Ne Manaa Nahi Farmaya Wo Jaiz Hai
Bhale hi kisi Sahabi ne Aisa na kaha ho
Par
Rasoolullah ne Hamen Manaa
Nahi Farmaya To Ye Jaiz Hua

Ye Shariyat Ka Usool Hai
Jis Kaam ko Allah Aur Uske Rasool ne Manaa Nahi Farmaya wo
Jaiz Amal hota
hai

Agar Manaa Farmaya hoga to
Quraan ya Hadees me Us kaam ki
Maahidi Kahin Na kahin To Zaroor
Hoti

Agar Kahin Nahi Manaa Farmaya to
Wo Kaam

Jaiz Hai to Hamare Nazdik
" Jumma Mubarak " Kehna
Jaiz Hai
Na Farz Hai Na Wazib Jaiz Hai
Kahenge To Koi Gunah Nahi


Har Khushi ke Mouke Par Mubarakbad dena JayeZ
Balki Mustahab he
Jis Trah "EID-UL-FITR"
Wa "EID-UL-AZ'HA" ki
Mubarak bad dene me koi Muzayeqa Nahi
Hai Isi Tarha
Juma Ki bhi
K Ye BhiHafte ki Eid Hai


Ye Bila Wajah ke
Aitrazat hain
Hamara Kaam Allah Ta'ala Aur Uske Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam
Ki Riza Waale Kaam Kerna Hai
Wo Hum Kar Rahe Hain
Zikar Karte Zikar Karte Rahenge Aur
Durood Padhte Rahenge
Insha Allah



New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

4 Comments

  1. जी हाँ .. जुम्मा मुबारक बोलना बिदत यानी की नया काम है लेकिन यह गलत नहीं है… जेसे की मस्जिद में मीनारे बनवाना, लाउड स्पीकर में अज़ान देना, ये सब भी नए काम यानी की बिदत हैं लेकिन गलत नहीं है..दरअसल बिदत दो तरह की होती है एक बिदत जो इस्लाम की तालीम के खिलाफ होती है एसी बिदत से गुनाह होता है . दूसरी बिदत जो इस्लाम, कुरान और हदीस ए पाक के खिलाफ नहीं है उसे करने की इजाज़त है उससे कुछ गुनाह नहीं होता….कुछ बिदत तो बहुत ज़रूरी है जैसे की कुरान ए पाक में ज़ेर और ज़बर आदि मत्राए लगाना … जुम्मा मुबारक बोलने के कई फायदे भी हैं आपस में मोहब्बत बढती है, मुबारक मेसेज के साथ कोई हदीस इ पाक या अच्छी बात शेयर की जाती है. इस पेज से हजारों खुबसूरत जुम्मा मुबारक इमेजेज डाउनलोड कर सकते हैं
    https://netinhindi.com/1000-best-jumma-mubarak-images/

    ReplyDelete
  2. Tu phir haftay ke din ki bhi mubarak de saktay hain kyun k ye haftay ka pehla din hota hai aur isko bhi kahin mana nahi kya gaya.. jaumay ka din bohat zyada fazilat wala din hai aur iswajhe se isko bhi eid ke din jaisa hi kaha gaya hai uski fazilat k wajhe se, laikin jo kam payaray nabi aur sahaba nai nahi kia usko karna sahi nahi.. Alhamdulillah hum sub muslaman hain islye bohat sakhth alfaz ka chunao na kia jaye aur ek dosray ki izzat ko malhooz e khatir rakha jaye..deen mai koi bhi nayi baat ys koi naya kam karna sahi nahi,

    ReplyDelete
    Replies
    1. Truth 💯 brother jo SAHABA nei nhi kiya usse hum kese kre bhala 💯💗

      Delete

Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe