Hazrat Yusuf aur Hazrat Zulekha ka Qissa

Hazrat Yusuf aur Hazrat Zulekha ka Qissa


Hazrat Yusuf aur Hazrat Zulekha ka Qissa

  :
Hazrat Zulekha radhiallahu ta’ala anha
Kon thi
Aap azize misr ki bivi thi
>Al itqan vol-2 page-187<

Hazrat Zulekha badi haseen Aurat thi
Aur Badshahe magrib temoos ya Aabeel ki dukhtare
Nek thi
Usne ek raat khwab dekha
Me ek
Haseen o jameel shakhs ko
Dekha aur usse puchha k tum
Kon ho usne btaya k me
Azize misr hun
Hazrat Zulekha ke dil me
Us
Khwab ka naqsha jam gaya
Aur har waqt wo khwab pesh e nazar
Rehne laga
Bade bade badshaho ke paigham aaye
Lekin unhone inkar krdia
Aur apna
Iradah zahir krdia k me to azize
Misr se hi nikah krungi
Chunachay
Shah Temoos ne apni beti zulekha
Ka nikah azize misr se kardia
Zulekha ne jab azize misr ko
Dekha to ye dekhkr hairan reh gai
K ye wo nahi jise khwab me dekha tha
Jab k azize misr ne misr ke
Bazar me bikte hue


Hazrat Yusuf Alaihissalam
Ko
Kharid lia aur unhe
Ghar laye zulekha
Ne jb Hazrt Yusuf ko dekha
To
Khwab ke naqshe k mutabik
Paaya aur wo Yusuf Alaihssalam
Se mohabbat krne lagi balki apke
Husno jamal par fida hokar
Ashiq ho gai fir unhone ek
Mahal
Banwaya jiske andar 7 kamre
The aur aur usme
Hazrat Yusuf Alaihssalam ko le gai
Aur pahle kamre me dakhil hokar
Uska darwazah band krdia
Fir dusre kamre ka
Aise hi sare darwaze band krdie
7 we darwaze me

Yusuf Alaihssalam aur unhe hasil krne ke lie
Apni najaiz khwahish ko pura
Krne ki dawat dene lagi
Hazrat Yusuf
Ye surat e haal dekh kar
Hairan reh gae
Aur Zulekha se farmaya
Allah se dar aur mujhe yahan se jane do aur
Apne

Is irade se baaz aa jao
Yusuf Alaihissalam wahan se
Bhage Zulekha bhi
Pichhe bhagi Hazrat Yusuf
Ne
Bhagte hue jis kamre ka bhi rukh kia
Uska darwazah khud wa khud
Khulta gaya
Zulekha ne pichha krte hue apka kurta
Pichhe se pakadkar apko khincha
K aap bhage to apka kurta pichhe se fat gaya
Aur ap unke hath na aa sake kamro se
Baher aa gaye

Jb baher aye to pahle darwaze par azize misr ko khada paya
To Zulekha ne khudko bachane ke lie bahana tarasha
Aur apne shohar se
Kehne
Lagi jo teri bivi se burai ke sath
Pesh aye
Uskh kya sazaa hai?
Me so rahi thi k usne akar
Mera kapda hatakar
Mujhe phuslaya hai
Ise Qaid krdo

Ya koi aur taklif wa sazaa do
Jab Yusuf Alaihissalam ne
Dekha
Zulekha ulta aap par ilzaam laga
Rahi hai to aapne apni bara'at ka izhar kia
Aur
Haqiqate haal bayan krna zruri
Samjha aapne farmaya aye
Azize misr ye galat
Bayan kar rahi hain
Waqiya iska ulta hai
Isne khud mujhe
Lubhaya
Aur mujh se galat irada krna chaha
Azize misr hairan ho gaya
Dono

Me sachcha kon hai aur bola
K aye Yusuf me ksi tarha yaqin
Krlu k tum sachche ho
Yusuf Alaihissalam ne
Farmaya
Ghar me 4 mahine ka ek bachcha hai

Ye Post Bhi padhen👇👇
Palne me leta hua hai usse puch lo
K waqiya kya hai
Azize misr ne kaha bhla
4 mahine ka
Bachcha kya jane aur woh kaise
Bolega aap ne farmaya
Allah ta'ala isko zuban dene
Aur is se meri be'gunahi ki shahadat
Adaa kra dene par Qadir hai

Chunache jab azize misr ne us bachche se
Pucha to Qudrate ilaahi se wo bachcha
Buland awaz me kehne laga
Yusuf alaihsslam ka kurta dekh lo
Agar unka kurta pichhe se fata hai to
Yusuf Alaihissalam sachche hai
Agar aage se phata hai to
Zulekha sachchi hain


Chunache kurta dekha gaya to
Wo pichhe se phata tha
Aur ye haal sharif
Ye bata raha tha k Yusuf Alaihsslam
Zulekha se bhage the aur zulekha
Pichhe padi thi is lie
Kurta pichhe se phata azize misr bola
Beshaq ye tum auraton ke fareb
Hai beshaq tumhara fareb bada hai
Aye Yusuf tum uska khyal na kro aur aye Aurat tu
Apne Gunah ki mafi mang
Beshaq tu khatawaro me hai

Aur shaher me kuch auraten boli
Ke aziz ki bivi apne noujawan
Ka dil lubhati hai
Beshaq unki mohabbat unke dil me
Sama gai hai
Auraton ki baten sunkar k
Zulekha ko chidati thi
To unhone Un auraton ko dawat par bulaya aur un sbke hath me
Ek phal aur chhuri di aur Yusuf Alaihissalam se kaha inke samne se guzara jao
Jab wo guzre to unke husn ka un auraton
Par aisa

Asar hua k unhone phal ki jagah apne hathon
Ko kaat lia
Unka husn dekhkr bol uthi ye to
Basar hi nahi hai,
Alqura Surah Yusuf para 12 ruku 13
[tafseer ruhul bayan,wa khazainul irfan para-12 ruku-13]


Hazrat Zulekha ne
Yusuf Alaihissalam ko tang krne ke lie aur apni baat
Manwane ke lie kisi bahane jail bhej dia
Jis din
Hazrat Yusuf jail bheje gaye
2 noujawan aur bhi jail me bheje dakhil
Kie gaye ye dono badshahe
Misr ke khas mulazim the
Hazrat Yusuf Alaihssalam
Ne
Jail me apne ilm wa fazl
Ka
Izhar shuru farma dia aur touheed
Ki tableeg shuru krdi aur apne ye
Bhi zahir farma dia k me
Khwabo ki ta'beer
Bhi
Khub janta samajhta hun
[Alquran Surah Yusuf
Tafseer ruhul bayan & khazainul irfan para 12 ruku 14]

Hazrat Yusuf Alaihissalam
12 saal jail khane
Me rahe
Ye sab Allah ke hukm se tha
[khazainul irfan 12 ruku 15]
Ek Qaul 13 saal ka hai
[Hashiya Jalalain page-191]

Badshahe riyan ne
Yusuf Alaihissalam
Ke paas payaam bheja k auraton ne apki
Paaki bayan ki hai

Aur AZIZ KI BIVI NE APNE GUNAH
Ka IQRAR KARLIA IS PAR HAZRAT YUSUF
ZULEKHA KE IQRAR WA ATIRAF KE BAAD
Hazrat Yusuf Alaihissalam
Ne
Jo ye farmaya tha k mene apni
Paaki ka izhar islie chaha tha k
Azize misr ko malum ho jae
K mene unki amanat me khayanat na ki
(yani unki bivi par ghalat nazar na rakhi kyu k unhone
Mujh par bhrosa krke mujhe apne ghar me panah di islie wo muje ghalat na samjhe)
Badshahe riyan ne jis waqt apko
Apne tamaam khazane apke
Supurd kie yani apko wazire khazana banadia
To
Us waqt apki umar sharif
30 saal ki thi
[khazainul irfan para 13 ruku 1
Hashiya 23 jalalain page-191]

Azize misr ke inteqal ke
Baad
Badshahe riyan ne
Hazrat Zulekha (radhiallahu anha)
Ka Nikah YUSUF ALAIHISSALAM
K sath krdia tha
Jab Yusuf Alaihisslam Zulekha
Ke pas pahunch aur unse farmaya kya ye
Us se behtar nahi hai

Jo tum chahti thi Zulekha
Ne kaha
Aye Siddiq(sachche) mujhe
Malamat na kijiye me noujawan thi
Aish me thi aur Azize misr
Auraton se
Sarokar hi na rakhta tha aur apko Allah ne ye husno jamaal dia
K mera dil ikhtyar se
Baher
Ho gaya aur Allah ta'ala ne apko
Masoom kia hai aap mahfuz
Rahe Hazrat Yusuf Alaihissalam
Ne Hazrat Zulekha
Ko nek paya

Aur unse apke 2 bete paida hue
Afraseem aur Meesa
Afraseem hazrat Yusha bin noon ke dada yani
Noon ke walid hai,
Aur ek Sahzadi RAHMAT nami bhi
Paida hui jo Hazrat Ayyub (alaihissalam) ke nikah me ayi,
[ibne kasir 13/1
Jalalain page-199

*kuchh log Hazrat Zulekha par
Badgumani krte hai aur unki is
Khata ko jo unhone Yusuf alaihissalam
Ke husn ko dekhkr ki thi unpar badgumani krte hai
Aur ye bhi kehte hai
Ki Hazrat Zulekha ka
Nikah Yusuf Alaihissalam se
Nahi hua tha to fir hame
Wo
Aitraz krne wale shakhs
Bataye ki
Yusuf Alaihissalam ka nikah kiske sath
Hua
Aur unki kitni aulade thi unke
Naam puri tafseel daleel ke sath
Bataye warna ek Nabi ki bivi
Ki pakizgi par jhutha ilzaam na lagaye
Allah hame Aise Gunah se Mahfuz Farmaye

Hazrat Zulekha ne apne gunah ka
Ikrar kia aur Yusuf Alaihissalam ki paaki bayan ki k beshaq Yusuf Alaihissalam Sachche hai
[Alquran Surah Yusuf ayat 51]

Is ayat se saaf maloom hota hai ki
Hazrat Zulekha ne apne Gunah ka ikraar krke
Touba ki
Ab koi bhi shakhs unpar badgumani krna
Unki paaki me aib talash krna
Bahut bada gunah hai
Kyu k wo ek Nabi ki bivi hai
HADEES*
Gunah sy touba karne wala
aisa hai Goya usne gunah
kiya hi nahi
!!
(IBNE MAJAH jild-4)


Allah hamen Haq baat ko samajhne
Aur us par Amal krne ki toufiq ataa farmaye
Aameen Summa Aameen

Downloading islamic speeches naats
Islamic books
& Read islamic message
Check site↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
       www.diniraah.in
.
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

3 Comments

  1. Write more, thats all I have to say. Literally, it seems as though you relied on the video to make your point. You obviously know what youre talking about, why waste your intelligence on just posting videos to your weblog when you could be giving us something informative to read? gmail sign in

    ReplyDelete
  2. Sakoon Ka Baais Samjhta Tha Usy Laiken
    Wo Shakhs Meray Dard Ki Akhari Had Nikla
    .

    ReplyDelete

Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe