Sajda-e-Tilawat Karne Ka Tareeqa Aur Masail

Sajda-e-Tilawat Karne Ka Tareeqa Aur Masail

Sajda-e-Tilawat Kise Kehte hain


Jab Quran Me Koi Ayat Aisi Aati hai Jisme Ki Allah Ne
Sajda Karne Ka hukm Dia ho
Us Ayat ko Ayaate Sajda Kehte hain
Quraan Me Aisi Ayaaten Kul 14 Jagah hai
Aur Sajde ki Pahli Ayat 9 me Paare me hai

Sajda-e-Tilawat Kaise Karen

Sadae-e-Tilawat Usi Tarah kia Jaata
hai Jaisa ki hum
Namaz Me Sajde kerte hain
Par Isme Sirf Yeh Fark hai
ki Isme Aapko Sirf Ek Sajda karna hai
Aur Namaz me 2 Sajde Hote hain

Sajda-e-Tilawat Karne Ka Treeqa

Kaabe ki Taraf Munh Karke
Khade Hokar
"AllahuAkber" kehte Hue Sajde
Me Chale Jaye Aur
3 Baar "Subhana Rabbi YalAala" kahen
Fir AllahuAkber Kehte hue
Khade hojae,
Ye Sirf Ek Ayaat ka Sajda hua hai
Agar Aapke zimme Kai Sare Sajda-e-Tilawat hai to
Utni hi Baar Sajde Kare Aur Saare Sajdo se BariuZimma Hojaen

Mas'Ala:
Quraan me 14 Sajde hain
Yaani Jin Ayaaton me Sajda
Aya hai Wo 14 hain
Jinke Padhne Ya Sunne Wale dono
Par Sajda Karna Wajib Hota
hai
(Durrre Mukhtar)


Mas'Ala:
Namaz me Agar Ayate Sajda
Padhi Jaye to
NamaZ hi mein Sajda
karna Wajib hota hai
Jaisa ki Aapne Ramzano me Taravih Padhte Waqt Imaam
Ko Dekha Hoga ki Ayaate Sajdah Aane Par Fouran
Sajda Karta hai
(Durre Mukhtar jild 1 Page 518)


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Nikah Ke Masail
► Aulia Allah Ka Zikar
► Hidayat Post
► Join Free SmS Service On Mobile


Mas'Ala:
Agar Ayate Sajdah Namaz Ke Baher Padhi Ya Suni
To Fouran Sajda karna Waajib nahi
Par Behtar Yahi hai
Ki Agar Sajda karne ki Sahih Jagah Moujood ho to
Fouran Sajdah Karne Warna Bhoolne Ka Andesha rehta hai
(Durre Mukhtar Jild 1 Page 518)

New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

21 Comments

  1. assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barkatuhu.
    please hame itna janana hai ki kya aj kal quraan ko mobile me app ke rup me istemal kiya ja rha hai kya yah sahi hai ki galat. aur ye b janana hai ki jo whatsapp pe qurani batein ya hadeeth ki batein jo padhi ja rahi hai.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa alaikumussalam ji Zaroor Post Kar Sakte hai Quran ki Ayat Vaherah Aap is post ko Padhen Aapki Sab Samajh me Aa Jayega >> Example

      Kya-Quraan-Ki-Aayat-Wale-Message-Delete-Karne-Se-Gunaah-Milta-Hai.

      Delete
  2. ASSALAM O ALAIKUM...
    Mujhy ye janna hai k ayat e sajda jo hum karty hain wo Q kara jata hai?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Is post ki tkribn line number 32 me likha hai ki
      Quraan me 14 Sajde hain
      Yaani Jin Ayaaton me Sajda
      Aya hai Wo 14 hain
      Jinke Padhne Ya Sunne Wale dono
      Par Sajda Karna Wajib Hota
      hai
      (Durrre Mukhtar)

      Aor isi post ki heading ke niche pehli hi line me likh hai ki
      Jab Quran Me Koi Ayat Aisi Aati hai Jisme Ki Allah Ne
      Sajda Karne Ka hukm Dia ho
      Us Ayat ko Ayaate Sajda Kehte hain
      Quraan Me Aisi Ayaaten Kul 14 Jagah hai
      Aur Sajde ki Pahli Ayat 9 me Paare me hai

      Jahan tk mujhe pata hai ki Allah ke Hukm pr jb iblees ne Sajda nahi kia to wo Mardood Shaitan keh laya aor Insano se Shaitan ko apna Dushman samjhne ko kaha gaya
      Insano ko jahannam me le jane ka zariya bhi Shaitan hai
      aor mere lihaz se Duniya Aakhirat ki tamaam lanate Shaitan ke liye hain

      Ayate Sajda me Allah ne hame bhi Hukm diya hai ki hm sajda kare
      aise me agr Shakhs Ayate Sajda ka Sajda na kare ya wo Sajde ada na kare jo ki Farz hain yani ki Farz Namaze ada na kare
      to ye baat mere ilm ke bahr ki us Shakhs ko kiya Laqub milega uske liye kitni lanate hongi aor wo kb tak Jahannam me rahega

      Delete
  3. Assalam O alaikum, Mujhe ye janna tha ki Sajda e tilawat kya farz hai ya wajib ya nafil hai. Ise asar ki namaz ke bad ada kar sakte hain kya?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa'alaikumussalam Sajdae tilawat karna wajib hai
      Aur asar ki namaz ke baad bhi kar sakte hain

      Delete
  4. Assalam alaikum..
    Mera sawal ye hai ki... Maine abhi abhi 1 quran pak ki tilawat ki hai.. Akhri 1 para bacha hua hai . kya hum kabhi sajdae tilawat karsakte hai... Ya fauran karna jaruri hai?
    Maine kayi bar quran pak ki tilawat ki hai . par sajda e tilawat ada nahi ki hai. Kya ek saath sare sajdae tilawat ada Kar sakti hu?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wa'Alaikumusalam Ji Han Aap ek sath bhi saare sajde kar sakte hai, zindagi me jitna bhi Quraan padha hai sajde jitne bhi baqi hai sab ek sath bhi kar sakte ho, lekin usi waqt jab sajde ki Aayat tilawat aaye karna behtar hai lekin baad me bhi kar sakte ho

      Delete
  5. assalamu alaikum kya hume sajde ayat k liye ayat padhkar sajda karna zaruri hota hai ya hum saare sjde ek sth kar skte hai puri quran pdh kar

    ReplyDelete
  6. Kya sajda e tilavat bina waju kr skte h

    ReplyDelete
  7. 14 sajde aik sath krne ho to kya hr aik sajde k bd khara hoke Allah-u-akbar kehne k bd dosra sajda krna hoga ya bethe huwe e sb sajde ada kr skte h rpl

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sajde Bethkar bhi Kar Sakte Hai Koi harz Nahi Lekin Khade hokar Karna behtar hai

      Delete
  8. Sir mera ye question hy k quran prhty doran sajda e talawat a jae to ye zrori hy k usi time sajda karen agr zrori nae hy to bad jb sajda e talawat karen to sajda e ayat prh k sajda krna hy ya asy b kar skty hain ?

    ReplyDelete
  9. Agar sajda tilawat me galti ho Jaye to isko sajda sahu karte h or agar karte h to Kya tarika h and agr hum bhul Jaye kitne sajde karne h jaise k main do Kar chuki hu ya fir teen Kar lye the main isse pahle.

    ReplyDelete
  10. Sajda E Tilawat Khud Ek Sajda Hai Isme Sajda E Saheb Nahi Kia Jata Wo Sirf Namaz Hi Me Kia Jata Hai Aur Agar Yaad Na Rahe Ki Kitni Kie Hain To Dowara Se Karle Jitne Karne Hai Koi Harz Nahi Agar Kuchh Sajde Zyada Bhi Hojayenge To

    ReplyDelete
  11. Assalamualaikum mujhe ye puchna tha mene ab tak bht Quran shareef muqammal kiye hain lekin mene sajda ek bhi bhi kiya mujhe maaloom nhi tha ki sajde me Kya kya padtein hain to me ab sajda Kar sakti hu

    ReplyDelete
    Replies
    1. Waalaikumussalam ji han bilkul Aap ab bhi Saare sajde kar sakti hain Agar aapko ye yaad nahi ki kitne Sajde Baaqi hai to Aap Ek Andajah Se Sajde Kar sakti hai Zyada bhi kar lengi to Sawab hi milega Gunah Nahi

      Delete
  12. Mera sawal ye hai k aik banda quran ko yaad kr raha... Misal k toor par 30th para ki Surat Alaq ko aik banda yaad kr raha hai tou us main aayat e sajda aati hai... Kia ab jitni dfa wo aayat parhi jaaey gi (chahy yaad krny ki gharz se hi kyun na parhi jaaey) utni dfa hi sajda karna ho ga??

    ReplyDelete

Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe