Juma ki Namaz ka Tareeqa

Juma ki Namaz ka Tareeqa Jume Ki Fazilat Aur Jume Masail Wa Fazaik

Juma ki Namaz ka Tareeqa


Jume Ka
Din Sab dino Ka Sardar hai isilie
Isko Sab dino ka Sardar kaha Gya hai
Jumaa ka Din Sabse afzal hai is
Din Hazrat Aadam Alaihissalam ko paida
Farmaya Gya aur isi din unki
Rooh
Qabz ki Gai aur isi din
Soor Foonka jaega
Nabie Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
Is Din
Mujh par Zyada se zyada
Durood Sharif bheja karo

Kyunki
Tumhara durood Parhna Mujhpar Pesh kia jaata hai
Logon ne kaha Ya
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam

Hamara  Durud Parhna Aap par kis Tarah se Pesh hoga jabki Aap to Wafat Pa jayenge tab

Aap SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya Allah taala ne Anbiya kiram ke Jismon ko Mititi par haram kar diya hai
Mitti Nabiyon ke Jismo ko
Nahi khati Unke jism Salaamat rehte hai

Sunan Abu Dawud, Vol 1,1035


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
 ° Juma-ki-Azan-Hone-Ke-Baad-Karobar-Karna Haraam Hai
° Quraan-padhne-Ka-Tariqa
° Makrooh Kise Kehte hain

Jume Ki Fazilat Aur Sawab

Hadees:

Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Ta"ala anhu
Se riwayat hai ki
Nabi e Karim Sallallahu Alaihi Wasallam ne
Farmaya jab Juma ka din Aata hai to farishte
Masjid ke darwaze par

Aane Walon ka  Naam likhte
hain
Sabse pahley Aane wala ko
oonth (camel) ki Qurbani dene wale ki Tarah
Sawab
likha jaata hai uske bad
Aane Aala Gaye (cow) ki Qurbani dene
wale ki Tarah Fir mainde (sheep) ki Qurbani ka sawab
Milta hai

Uske baad Murgi (chicken)

uske baad anda (egg) Allah
ki Raah
Me Dene ka Sawab Dia jaata hai


Lekin jab imaam (khutba dene ke liye)
Khada ho jaata hai to ye farishte apne
Register band kar dete hain aur khutba sunne mein mashgul ho jate hain
(Sahih Bukhari, Vol 2/929)

Aur Uske baad Aane Wala Sawab Se mehroom ho jaata hai
To behtar Yahi hai ki
Jume k Din Jald se jald Masjid
me Pahunchen



Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
 ° Namazi-k-Saamne-se-Guzarna-Mana-hai Hatna Nahi
° 5 WAQT NAMAZ ME SUSTI KARNA AUR WAZIFE PADNA
° Azaan-ka-Jawab-Kaise-den


Juma ki Namaz ka Tareeqa

Aaiye Dosto ab Jante hain
Juma ki Namaz Ka Tareeqa Waise to jume ki Namaz me kuchh Khas Nahi
Padhna Hota Jaise Aur Namaze Padhte hai Usi Tarah se Jume ki Namaz bhi Padhi jaati Par Jume ka

Jume ki Namaz Total 14 Rakat hai

Sabse Pahle Jab Masjid Me Jaye to
Jume ki Farz Namaz se
Pahle 4 rakar Sunnat Padhe

fir Imaam ke Sath 2 Rakat Farz Padhen
Uske Bad Jab jamaat ke Sath
Namaz poori hojae
Fir Duaa ke baad Pahle 4 Rakaat Sunnat Padhen
Fir 2 Rakat Aur Padhen
Uske baad

2 Rakat Nawafil Padhen
Ye Hogai Jume ki Mukammal Namaz


Agar kisi ki Jume ki Jamaat Nikal
Gayi Wo jab Aya jabki Imasm
Namaz Mukammal
Kar Chuka tha

Tab wo Zohar ki Namaz Padhega kyu ki
Jume Ki Namaz ke Liye
Jamat Shart Hai tanha Akele juma nahi


New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣