Jab Azaan Ho To Hamko Uska Jawab Dena Chahiye,Aisa Karne Se Jitna Sawab Azaan Dene Wale Ko Mil Raha Hai Utna Hi Humko Bhi Milega
Azaan Ka Jawab Iss Tarah Dijiye
Azaan : Allahhu-Akber, Allahu-Akber
Iske Jawab Me Aise hi kahen
Yaani "Allahhu-Akbar, Allahu-Akbar"
Azaan : "Ash'Hadu Alla ilaaha illallah"
Jawab Me Yahi
Alfaz Dohraye
"Ash'Hadu Alla ilaaha illallah'
Aur Sath me Seedhe Hath ki Shahadat
Wali ungli bhi Uthaye
Azaan : Ash Hadu Anna Muhammadur Rasulallah
Jawab : Durood Sharif Padhen (Sallallahu Alaihi Wasallam)
Azaan : Hayya AlasSalah
Jawab : "La Haula Wala Kuwwata illa Billa Hil Aliyyil Azeem"
Kahen
Azaan : Hayya Alal Falah
Jawab : "La Haula Wala Kuwwata illa Billa Hil Aliyyil Azeem"
Kahen
Azaan : "Allahhu-Akber, Allahu-Akber"
Iske Jawab Me Aise hi kahen
Yaani "Allahhu-Akber, Allahu-Akber"
Azaan : Lailaaha illallah
Jawab : Lailaaha illallah
Kahen Ya Azaan ka jawab ho gya
Yaad Rakhen
Humne jo Azan ke Alfaz likhe hai
Wo ek ek baar Likhe hai
Apko unhi Alfaz ka jawab 2 Baar
dena hai jis Tarah se Azaan hoti hai
Usi Tarah Utni hi baar Jawab dena hai
- Juma ki Azan hone ke Baad Karobar Karna Haraam hai
- Kohniyan kholkar Namaz Padhna Kaisa
- Rizq me Barkat ka Wazifa
Azan ke Waqt baten Karna Kaisa ?
Azan Ke Waqt Banton Me Mashgul Rehna Ek Aam Baat Ho Gayi Hai.
Awaam To Awaam Baaz Khwas Ahle Ilm Tak Iska Khyal Nahi Rakhte Jab Ki Hadees Sharif Me Hain.
Jo Azaan Ke Waqt Baton Me Mashgul rahe Uspar Khatma Bura Hone Ka Khouff Hai
Mas'ala Yeh He ki Jab Azaan Hoto Utni Der Ke Liye Na Salam Kare Na Salam Ka Jawab De
Na Koi Aur Baat Kare Yahan Tak Ki Quran Majid Ki Tilawat Me Agar Azaan Ki Awaz Aye To Tilawat Rok De Aur Azaan Gour se Sune Aur Azan Jawab De
Rasta Chalne Me Azaan Ki Awaz Aajaye To Utni Der Khade Hojaye, Sune Aur Jawab De Agar
Kayi Saari Azaane Sune To Sirf Pahli Ka Jawab Dena Sunnat Hai
or Sabka Dena Bhi Behtar Hai
Allah hamen Azaan Aur Namaz ko
Sahih Tarah se Adaa
karne ki Toufia Ataa Farmaye
Aameen
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge
Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣