5 WAQT NAMAZ ME SUSTI KARNA AUR WAZIFE PADNA

5 Waqt ki Namaz Padhna Farz Hai


5 WAQT NAMAZ ME SUSTI KARNA AUR WAZIFE PADNA.


Kafi Log Dekhe Gye hain Ki Woh Namazo Ka Khyal Nahi Rakhte or Padte Bhi hain.

To Waqt Nikal Kar Jaldi Jaldi Ya
Bager'Jamat Ke Aur Wazifo or Tasbihon Me Lage Rehte Hain.

Unke Wazife Unke Munh Par Mar Diye Jayenge, Kyuki Jiske Farz Pure Na ho Uska Koi Nafil Qubool Nahi
Islam Me Sabse Bada Wazifa Aur Amal Namaze Bajamat Ki Adaygi Hai.

Jab Tak jiske Zimme
Farz Baaki Rehta He Uski Koi Nafli
Ibaadat Kabul Nahi Kiya Jata
(Almlfuz Hissa Awwal Safha 77)


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Namaz Ka Tareeqa
° Ghusal-Ka-Tareeqa
° Wuzu-Ka-Tareeqa


Hadis Sharif Main He ki
Hazrate Umar Radiallahu Ta'ala Anhu
Ne Ek Din Farz Ki Jamat Main Hazrte Suleman Bin Abi Hasma Ko Nahi Paya Din Main Bazar Ko Jate Waqt Unke Ghar Ke Paas Se Guzre To Unki Maa Se Puchha Ki Aaj Suleman Jamat Me Kiyu Nahi The.

Unki Walida Hazrte Shifa Ne Arz Kiya Ki Raat Bhar Jag Kr Ibadat Karte Rahe Farz Ki Jamat Ke Waqt Nind Agayi Aur Jamat Main Sharik Hone Se Reh Gaye.

Amirul Momenin Hazrte Umar Faruke AZam Ne farmaya Ki Mere Najdik Saari Raat Jag Kar Ibaadat Krne Se Farz Ki Jamat Main Sharik Hona Zyada Behtar Ha
(Mishkat Babul Jamat Safa 67)

Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Namaz Ki Sharton Ka Bayaan
° Salatut-tasbih-ki-Namaz Ka Tarika
° Farz,Wajib,Sunnat,Makruh,kya hai
° Namaz Ka Tareeqa


Khulasa ye hai ki Insan par Allah ne Sabse
Pahle Namaz Farz ki hai
Uske baad Saari Ibaadaten hai
Allah ne takriban 700 Martawa Quraan me Namaz ka hukm
dia hai
Imaan k baad Sabse Zyada
Namaz par zor dia gya hai
Islie baaqi sab kaam baad me Pahli
Ibaadat Namaz hai
Allah  Hum Sabhi ko Amal kerne ki toufiq Ataa Farmaye Ameen


New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

0 Comments