Azaan Ka Jawab Kaise Den

Azaan Ka Jawab Kaise Den ? Azaan ke waqt baten karna kaisa

Azaan Ka Jawab Kaise Den ?


Jab Azaan Ho To Hamko Uska Jawab Dena Chahiye,Aisa Karne Se Jitna Sawab Azaan Dene Wale Ko Mil Raha Hai Utna Hi Humko Bhi Milega


Azaan Ka Jawab Iss Tarah Dijiye


Azaan : Allahhu-Akber, Allahu-Akber

Iske Jawab Me Aise hi kahen
Yaani "Allahhu-Akbar, Allahu-Akbar"

Azaan : "Ash'Hadu Alla ilaaha illallah"

Jawab Me Yahi
Alfaz Dohraye
"Ash'Hadu Alla ilaaha illallah'

Aur Sath me Seedhe Hath ki Shahadat
Wali ungli bhi Uthaye


Azaan : Ash Hadu Anna Muhammadur Rasulallah
Jawab : Durood Sharif Padhen (Sallallahu Alaihi Wasallam)


Azaan : Hayya AlasSalah
Jawab : "La Haula Wala Kuwwata illa Billa Hil Aliyyil Azeem"
Kahen

Azaan : Hayya Alal Falah
Jawab : "La Haula Wala Kuwwata illa Billa Hil Aliyyil Azeem"
Kahen

Azaan : "Allahhu-Akber, Allahu-Akber"
Iske Jawab Me Aise hi kahen
Yaani "Allahhu-Akber, Allahu-Akber"

Azaan : Lailaaha illallah
Jawab : Lailaaha illallah

Kahen Ya Azaan ka jawab ho gya
Yaad Rakhen
Humne jo Azan ke Alfaz likhe hai
Wo ek ek baar Likhe hai
Apko unhi Alfaz ka jawab 2 Baar
dena hai jis Tarah se Azaan hoti hai
Usi Tarah Utni hi baar Jawab dena hai


  1. Juma ki Azan hone ke Baad Karobar Karna Haraam hai   
  2. Kohniyan kholkar Namaz Padhna Kaisa 
  3. Rizq me Barkat ka Wazifa

 

Azan ke Waqt baten Karna Kaisa ?


Azan Ke Waqt Banton Me Mashgul Rehna Ek Aam Baat Ho Gayi Hai.

Awaam To Awaam Baaz Khwas Ahle Ilm Tak Iska Khyal Nahi Rakhte Jab Ki Hadees Sharif Me Hain.

Jo Azaan Ke Waqt Baton Me Mashgul rahe Uspar Khatma Bura Hone Ka Khouff Hai


Mas'ala Yeh He ki Jab Azaan Hoto Utni Der Ke Liye Na Salam Kare Na Salam Ka Jawab De
Na Koi Aur Baat Kare Yahan Tak Ki Quran Majid Ki  Tilawat Me Agar Azaan Ki Awaz Aye To Tilawat Rok De Aur Azaan Gour se Sune Aur Azan Jawab De

Rasta Chalne Me Azaan Ki Awaz Aajaye To Utni Der Khade Hojaye, Sune Aur Jawab De Agar
Kayi Saari Azaane Sune To Sirf Pahli Ka Jawab Dena Sunnat Hai
or Sabka Dena Bhi Behtar Hai

Allah hamen Azaan Aur Namaz ko
Sahih Tarah se Adaa
karne ki Toufia Ataa Farmaye
Aameen

  1. Dayyus Kise Kehte Hai Aur Dayyus Mard Kon Hota Hai 
  2. Aaj ke Musalman babes lachar Akhir kyu  
  3. Raat ko der tak Jaagna Aur Subah ko der se Uthna 
  4. Social Media Aur Game Khelkar Waqt Guzarne Walo 



New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣