Kya Quraan Ki Aayat Wale Msg Delete Karne Se Gunaah Milta Hai

Kya Quraan Ki Aayat Wale Message Delete Karne Se Gunaah Milta Hai


Kya Quraan Ki Aayat Wale Message Delete Karne Se Gunaah Milta Hai


Sawal: Quraan ki Aayat Msg Me Bhejni Jaiz Hai Ya nahi ??

Ye Sawal Bohat dino Se ghoom Raha hai
Aur mujhse Bhi Kai Sare Memberon Ne
Poocha
Mene Is Bare Me Kaafi Dino Pahle hi Ek Msg Likha tha Par Wo Is Website Par
Post Nahi kia Tha
Lekin Aaj Is Msg ki Kaafi Zaroorat Hai
kyu ki
Is Masle Me Hamare Bhai,Bahen Kaafi
Confusion Me Rehte Hain Ki
kisi ko Hadees Ya Quraan ka Msg Sent Karen
Ya Na Karen Kahin Hum Gunahgar To Nahi ho jaenge
Kabhi koi Us Hadees Ya Quraan ki Aayat ko Delete Karde To



Aayat Wale SmS Photos Ya Audio Video Clip Delete Karen Ya Na Karen


is Confusion aur Iske Pichhe ki Ek Shazish Ko Samajhne Ke Liye Hamare Is Msg
Ko Poora Zaroor Padhen

Aap mese Kai Sare Bhai,Bahen Shayed Is Wahem
Me Hongi ki Hamen Kayi Saare Log
Quraan ki Ayaten Aur Hadees Ke Msg Sent Karte hai
Jo ki Hamare Mobile ke Inbox me Aate hai
Jab Msg Inbox Full ho Jaata hai to Usey Delete karna Padhta hai

Ab kya Karen QAYAMAT ki Nishani Hai ki
Log Apne Hathon Se Quraan mitayenge

Jawab:
Pahli Baat to Ye Jawab De doon ki
Quraan ki Ayat Agar SmS Me Aajaye to
Usey Aap Delete Kar sakte hain



Kya Quraan Ki Aayat Wale Message Delete Karne Se Gunaah Milta Hai



Daleel > (1)
Nabi-e-Kareen Sallallahu Alaihi Wasallam Ke  Dour Me Jab Quraan ki Koi
Aayat Nazil hoti To Sahaba-E-Kiram
Us Aayat ko Patthar Par Ya Mitti Par Ya Darakhton ke Patto par
Aayate Likh dia Karte the
Ab Sochiye ki Us Dour Me hi Patthar Ya Ped ke Patton Par Aayaten likhi Jaati Aur Baad me
Wahin Se
Kisi Sakht Cheez Par Wapis Likhkar
us Patthar Ya Patton Par Likhi hui
Aayat ko mita dete the
To Ye Aayat ka Mitna to Us Dour Se hi
chaloo tha Aaj Se Nahi



Daleel > (2)
Us Dour Aur Hamare Aaj ke Madarson
Me Aaj bhi Black Board Par
Bachcho ko Quraan ki Aayaten Aur Hadeese Likhkar Sikhaya Jaata hai
Fir Naye Chapter Par Aane k lie Us likhe hue ko Mitana Padhta hai
to Ye Mitane Ka Silsila bhi Barso Se yun hi
Chala Aa Raha hai
 
Ab Asal Baat Ye Hai ki Jiski Hifazat Khuda Kare Usey koi Nahi Mita
Sakta

Quraan Me Allah Ta'Ala Irshad Farmata hai
Al-Hijr – الحجر
[Ayath:9]
إِنَّا نَحْنُ نَزَّلْنَا ٱلذِّكْرَ وَإِنَّا لَهُ لَحَافِظُونَ

TARJUMA
"Beshaq Hamne Utara Ye Quraan Aur Hum Hi Iski Hifazat Karenge"
Al-Hijr – الحجر
[Ayath:9]

Ab Aap Khud Socho Ki Jiski Hifazat Khud Allah Ta'Ala Kare Bhala Usey Koi Mita Sakta hai

To Fir Ye Log Aise SmS Failate Hain
Ki Quraan ki koi Bhi Aayat Ya Hadees Sent Na Karo
Wo Isliye Ki Ye Ek Badi Sazish Hai
Kyunki Jabse Media Aur Social Network
Aur Mobile Jaisi Chize Hamare Beech Aayi he
Tab Se Islam k lie Kaam Karna Hamare Lie Bada Asaan hogya hai

Kuch Islam ke Dushman Ye Nahi Chahte ki  Islam Me Inke Zariye Zyada Ilm phele Aur Islam ki Tarakki ho
Poori Dunia me Bol Bala ho

Is Liye Aayate Aur Hadeeson Ke Galat
Matlab Nikalkar phela Dete Hai
Unka Kaam Aise Hi Galat Msg Ko Failana hai
Ki Quraan Hadees Ke Msg Fwd Na kro
Gunah milega
Wo Delete Hojaate hain
Aur Qayamat ki Nishani hai ki
Log Apne Hathon Se Usey Mitayenge
Bas Unka Kaam Is Msg ko SenD Karna he
Uske Baad Is Galat Msg Ko
Log Padhkar Bina ilm ke phelana Shuru Kardete hain
Aur Dekhte hi Dekhte Sab Jagah
Wo Msg phel Jaata he Aur Log Quraan Hadees
Ke Zaroori Ilmi Msg Send Karna Band Kardete hai Aur Un logo ki
Shazish Kamyaab hojaati hai


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Jinn-aur-shaitan-ka-bayaan
► Kuchh-Mahino-Aur-Dino-Ko-Manhoosh-Samjhna
► Mobile-Aur-Bachche


Ab Aate Hai Asal Qayamat ki Nishani Par Kya Kehti he

Qayamat ki Nishani Me Lafz Mitna Nahi
Balki Ilm Ka Uth Jaana he
Yaani k ilm Uthalia jaega
Ye Nahi likha ki Log Apne Hathon Se Mitayenge

To Pata Chala ki Quraan ki Aayat Ya Hadees
 Msg  Me Hai To Aap Usey Delete bhi Kar Sakte Hain
Aur Iske Darr Se Ki Delete Karna Padega islie Usey Send Na karen To Ye Bhi  Darr Ab Nikal Gya
Yaani Ab Aap jo Bhi Quraan Ya Hadees Ke Achhe Ilmi Msg Aayate hon
Unko Zyada Se Zyada logo Tak Pahunchaye
Kyunki Hadees Me Hai ki Logo Tak Deen ki Baat Pahunchao Bhale hi Wo Thodi Si
Hi Kyun Na ho Ispar Apko Sawab Milta Rahega Qayamat Tak

Jo Log Kehte Hain Ki Hamen Quraan ki Aayat Mat Bhejo
Isko Mitana Padega Tab Aap unko Usi Waqt Hamara Ye Poora msg Bhej Den
Taaki Wo bhi Isko Thik Se Samjh Jaye Aur
Dowara Aisa Na Kahen
Is Msg Ko Sabhi ko Share Karen Aur Apne Paas Save Karke bhi Rakhen Taaki Kabi bhi Zaroorat ho to logo ki
Islaah Hojaye Aur Apko Sawab Milega Iska Zaroor
Allah Hafiz JazakAllah
• Forward To All •