JINN AUR SHAITAN KA BAYAAN

JINN AUR SHAITAN KA BAYAAN

JINN AUR SHAITAN KA BAYAAN


Allah Ta'ala ne Kuchh makhlooq ko aag se paida farmakar inko yeh taaqat di hai
ki woh jo si shakal chahe ban jaye
Is makhlooq ka naam jinn hai

ye bhi humko dikhai nahi dete
Yeh insano ki trah
khate, peete,jeete, marte hain.

Inke bachhe bhi paida hote hain.
Aur inme Musalman bhi hain kaafir bhi ,Nek bhi hain faasiq bhi
lekin isme Musalmano ke muqable kafir Aur fasiq zyada hai

Jinn ke wujood ka inkaar krne wala kaafir hai

Kyuki jinn ek makhlooq hai jo Qura'an majeed se sabit hai,Lihaaza jinn ke wajood ka inkaar darhaqeeqat Qura'an majeed ka inkaar hai.
Allah Ne Jinn ke Naam Par Ek Poori
Surah Naazil ki hai
Jo Ki 29 paara me hai
Jinn Hamare Pyaare Nahi
Sallallahu Alaihi Wasallam
ke Hathon Par Imaan bhi Laaye hai

Sath me Rehne Wale Jinn

Hazrat Ayesha Radiallahu Ta'ala Anha
ne Arz Kia Ya Rasool Allah
Sallallahu Taala Alaihi Wasallam
Kya mere Sath Shaitan hain
Aapne Farmaya han Har Insan ke Sath
Ek Shaitan hota hai
Hazrat Ayesha Radiallahu Ta'ala Anha
Ne poocha
 Ya Rasool Allah
Sallallahu Alaihi Wasallam
Aapne Farmaya han hai lekin
Mere rab ne Meri Dashtagiri Farmayi
Aur wo musalman hogya
Subhan Allah ye Wo Nabi hai jinki
Sohbat me aakar Shaitan bhi musalman ho jaata hai
Fir hum ummatio Par kitna karam hoga unka
Hazrat ibne Mas'ood Radiallahu Anhu
Farmate hai ki
Rasool Allah
Sallallahu Taala Alaihi Wasallam
Ne Farmaya
Tum mese  koi Shakhs Aisa nahi ke
Uske Sath ek Sathi jinnat mese Aur
Ek sathi aur Farishton mese Sath Lagadia
Jaata hai
Sahaba_e_kiraam Ne Arz kia
Ya Rasool Allah
Sallallahu  Alaihi Wasallam
Kya Apke Sath bhi

Aapne Farmaya han mere Sath bhi hai
Magar
Allah Ta'ala
ne Iske Mukable me meri madad
Farmayi
Aur Wo Musalman hogya
hai
Aur Ab wo mujhe neki ke ilawa kisi Aur chiz ki baat nahi karta


Jinnat Ke Mutallik Kuchh Sawal Aur Jawabat



Sawal:
Jinnat Ki Kitni Qisme Hain??

Jawab:
Jinnat ki 3 Qisme hain
1-Wo Jinn Jinke Par Hote hain Aur Wo Hawa me Udte Bhi hain

2-Wo jinn Jo Sanpon Ki Shaql me Rehte Hain

3-Wo jinn Jo Insaano ki Tarah Hain

(Hayaatul Haiwan)

Sawal:
Kis Qisam ke Jinnat Se Hisabo kitab hoga??

Jawab:
Tisri Qisam ke Jinnat Se Yaani jo Insano
ki Tarah hai unse hisabo kitab Hoga
Akhirat me


Sawal:
 jinnat Zameen Par Kab Aabad kie
Gaye??

Jawab:
Allaha Ta'ala ne Jinnat ko Hazrat Aadam
Alaihissalam ki paidaish Se 60000 Hazaar
Saal Pahle jinnat ko Zameen Me Basaya tha
(Tafseere Naimi jild 1 page 279)

Sawal:
Jinnat zameen Par kitne Saalon Tak Abaad Rahe??

Jawab:
Jinnat Zameen Par 7 Hazaar Saalon
Tak Abaad Rahe
(Tafseere Naimi jild 1 page 279)


Sawal:
Jinnat ko Zameen Se Kyu Bhagaya Gya Aur Kisne Bhagaya??

Jawab:
jinnat jab Zameen Par Abaad hue
To Unka Apas me Hasad Shuru hua
Unhone Zameen Me Fasaad kia
Khoon Bahaya  Aur Qatal wa Gharat kia
Iblees Us Waqt Tak Bohat Maqbool Bargaahe ilaahi Tha
usey Hukm hua
Apne Sath Farishton ki
Ek jamaat leja Aur jinnat ko
Zameen Se nikalkar Pahaadon Aur Jaziron
ki Taraf Dhakel de

Chunache Iblees Ne Aisa kia Usne Apne Sathiyon
ke Sath jinnat ko Maar Maarkar Pahaadon
Aur Jaziron mein Bhaga dia,
(Tafseer Naimi Jild 1 Page 179
Tafseer Ibne Kaseer Paara 1 Ruku 4)


Sawal:
jinnat  ko Zameen Se Bhagane Ka Waqiya
Hazrat Aadam
Alaihissalam ki paidaish Se kitne Saal Pahle Ka Hai??

Jawab:
Ye Waqiya Hazrat Aadam
Alaihissalam ki paidaish Se 2 Hazaar Saal
Pahle Ka Hai
(Tafseer Ibne Kaseer Paara 1 Ruku 4)


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Ruhaani Ilaaj Quran Se
► Dini Knowledge
► Nabiyon Ka Bayaan

Sawal:

Shaitan Farishta Tha Ya Jinn


Jawab Kuchh log Kam ilmi ki Wajah Se
Ye kehte hain
ki Shaitan Yaani Iblis jo Tha Wo Ek
Farishta Tha Islie Allah ne
Usey Farishto ka Sardar Banaya Tha
Jabki Ye Ek Galat Aqeedah hai
Iski Daleel Hum Quraan Se Dete Hain
ji Shaitan Ek jinn Hai
Surah Kahaf Aayat No. 50 main hai
ki Shaitan Ek jinn Tha


Hamen Quraan ki Manni Chahye Na ki kisi insan ki
Usko Farishton ka Sardar kyu banaya Gya kyunki
Wo us Waqt bohat Ibaadat  Guzar tha
Islie Usko Saare Farishyon ka Saradar banaya gya
lekin jab Hazrat Aadam Alaihissalam
ki paidaiah hui
Tab Wo khudpar ghuman Karne Laga Aur
Jab Usko Allah ne hukm
dia ki


Hazrat Aadam Alaihissalam Ko Sajda karo
To Sab Farishton ne Sajda kia
lekin usne Takabbur me Aakar manaa kardia
Aur bola Me Inse Zyada Fazilat Rakhta hun
kyunki


Me Aag Se Banaya Gya hoon Aur
Ye Mitti se Fir Wo Mardood Hogya Aur
Uspar Qayamat Tak Allah ki
Laanat Barasti Rahegi
Aur Jahannam me jaega

Jab Haqeeqat Aap khud Dekh Sakte Hain
Aag Se Mitti Behtar hai
kyunki Aag motti ko nahi mita Sakti lekin Mitgi ko Paani Zaroor Bujha Sakta hai
Ye Usko Kab Aqli Thi jo Allah ki Banayi Hui
SabSe Behtar Makhlooq ko Khudse
Afzal Samjha

Allah Ta'ala Hum Sabhi ke Imaan ki Hifazat Farmaye Aur
Takabbur Aur Ghamand Jaisi Burayio Se Mahfooz
Farmaye Aameen



New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣