Sajda-e-Tilawat Karne Ka tareeqa

Sajda e Tilaawat ka bayaan


 Qur’an Majeed me 14 aayaten aisi hain ke us aayat ki tilaawat karne ya sunne se Sajda e Tilaawat karna waajib hota hai.


Quraan Ke 14 Sajde Yeh Hain


(1) Para 9, Rooku 14,
7 Soorah al-A’araaf, Aayat 206;
(2) Para 13, Rooku 8,
13 Soorah al-Ra’ad, Aayat 15;
(3) Para 14, Rooku 12,
16 Soorah al-Nahl, Aayat 49, 50;
(4) Para 15, Rooku 12,
17 Soorah Banee Isrāeel, Aayat 107, 108, 109;
(5) Para 16, Rooku 7,
19 Soorah Maryam, Aayat 58;
(6) Para 17, Rooku 9,
22 Soorah al-Hajj, Aayat 18;
(7) Para 17, Rooku 17,
22 Soorah al-Hajj, Aayat 77;
(8) Para 19, Rooku 3,
27 Soorah al- Furqaan, Aayat 60;
(9) Para 19, Rooku 17,
27 Soorah al-Naml, Aayat 25, 26;
(10) Para 21, Rooku 15,
32 Soorah al-Sajdah, Aayat 15;
(11) Para 24, Rooku 19,
41 Soorah Hā-Mīm As-Sajdah, Aayat 37-38;
(12) Para 27, Rooku 3,
53 Soorah al-Najm, Aayat 62;
(13) Para 30, Rooku 9,
84 Soorah al-Inshiqaaq, Aayat 21;
(14) Para 30, Rooku 21,
96 Soorah Alaq, Aayat 19.

Sajda-e-Tilawat Karne Ka tareeqa


*****************

Sajda-e-Tilawat Karne Ka tareeqa

‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Khade hokar ‘Allāhu akbar’ kehte hue Sajde me jaayen aur kam se kam 3 baar ‘Sub'hān Rabbiyal aala’ padhen, phir ‘Allāhu akbar’ kehte hue khade ho jaayen.

Sajda e Tilaawat me pehle aur pichhe ‘Allāhu akbar’ (Takbeer) kehna Sunnat hai.
Pehle khade hokar phir sajde me jaana aur sajde ke baad khada ho jaana ye dono Qayaam Mustahab hain.

Agar Sajda e Tilaawat se pehle ya baad me khada na hua ya ‘Allāhu akbar’ na kaha ya ‘Sub'hān Rabbiyal aala’ na padha to bhi Sajda ada ho jaayega. Magar Takbeer chhodna na chaahiye ke salf ke khilaaf hai.

Sajda e Tilaawat ke liye Takbeer (Allāhu akbar) kehte waqt na Rafa'a yadain (haath uthaana) hai aur na is me tashahhud hai na Salaam.

*****************

Sajda e Tilaawat ke muta’aaliq chand baaten

(1) Sajda e Tilaawat ki aayat padhne wale aur Sunne waale dono par Sajda Waajib ho jaayega chaahe sunne waale ne sunne ka iraada kiya ho ya na kiya ho. Ye zaroori nahi ke Sunne waale ko pehle se bataaye magar behtar hai ke padhne waala sunne waale ko bata de ke Aayat e Sajda ki tilaawat ki gai hai.

(2) Agar sunne waale sajde ke liye aamaada (raazi) ho aur sajda un par baar na ho to Aayat e Sajda zor se padhna behtar hai. Warna aahista padhen.
Aagr sunne waale ka haal ma’aloom nahi ke aamaada hain ya nahi to aahista padhna behtar hai.

(3) Aayat e Sajda ka Tarjuma padha to padhen wale aur sunne wale par Sajda Waajib ho gaya chaahe sunne wale ko ye Aayat e Sajda hone pata ho ya na ho. Albatta ye zaroori hai ke use bata diya jaaye ke ye aayat e sajda ka Tarjuma tha.

Haiz o Nifaas waali aurat ne Aayat e sajda padhi to khud us par Sajda Waajib na hoga magar sunne wale tamaam par sajda waajib ho jaayega.
Junub ya Be-wuzu ne Aayat e Sajda padhi ya suni to Sajda Wajib hai.

Nabaaligh ne Aayat e Sajda padhi to us par Sajda waajib nahi magar sunne waale par sajda waajib hai.

(4) Aayat e Sajda likhne ya us ki taraf dekhne se Sajda Waajib nahi.

(5) Jis waqt Aayat e Sajda padhi gai us waqt agar sajda nahi kar sake to padhne waale aur sunne waale ko ye keh lena mustahab hai ‘Sami'ana wa ata'ana ghufraanaka rabbana wa ilaykal maseer.’

(6) Agar Aayat e Sajda namaaz me padhe to Sajda e Tilaawat foran karna namaaz me Waajib hai, Agar der kare ya’ni 3 aayat se zyada padh liya to gunaahgaar hoga. Lekin agar Soorat ki aakhir me Sajda aata ho (Maslan - Soorah al-Inshiqaaq) to Soorah khatm karke Sajda kare jab bhi kuchh harj nahi.

Namaaz me Aayat e Sajda padhi to is ka sajda namaaz hi me Waajib hai, namaaz ke baahar alag se nahi ho sakta. Agar Qasdan na kiya tha to gunaahgaar hua, Tauba laazim hai.
Magar kisi wajah se namaaz tod di to Sajda e tilaawat alag se kare.

Namaaz me Aayat e Sajda padhi aur Sajda karna bhul gaya to Salaam pherne ke baad foran Sajda kare aur phir Sajda e Sahu bhi kare.

Imaam ne Aayat e Sajda padhi aur sajda na kiya to Muqtadi bhi us ki pairwi karte hue sajda na karega agarche aayat suni ho.

(7) Puri Soorat padhna aur Aayat e Sajda chhod dena Makrooh e Tehreemi hai.

(8) Ek Majlis me Aayat e Sajda ko baar baar padha ya suna to ek hi sajda waajib hoga agarche alag alag aadamiyo se suna ho.
Yunhi agar ek Aayat e Sajda padhi aur wahi aayat dusre se bhi suni jab bhi ek hi sajda waajib hoga.

(9) 3 lukma khaane se, 3 ghoont peene se, 3 lafz bolne se 3 qadam maidaan me chalne se, letkar so jaane se Majlis badal jaayegi.
Nikaah karne se aur Khrid o farokht karne se Majlis badal jaayegi.

1-2 lukme khaane se, 1-2 ghoont peene se, 1-2 baat karne se, Salaam ka jawaab dene se, Khade ho jaane se, 1-2 qadam chalne se Majlis na badlegi.

Ghar ke ek kone se dusre kone ki taraf chalne se Majlis na badlegi. Magar bahot bada makaan hai to us me ek kone se dusre kone me jaane se Majlis badal jaayegi.
Kashti ya Rail me hai aur wo chal rahi hai to Majlis na badlegi.
Jaanwar par sawaar hai aur jaanwar chal raha hai to Majlis badal rahi hai. Haan agar sawaari par namaaz padh raha hai to Majlis na badlegi.

Kisi Majlis me der tak baithne se ya Qir’at, Zikr, Dars, Wa’az me mashgool hone se Majlis na badlegi.

Agar dono baar Aayat e Sajda padhne ke darmiyaan dunya ka koi kaam kiya (Kapda seena wagairah) to Majlis badal gai.

(10) Sajda e Tilaawat ke liye 5 cheezen Shart hain :
Tahaarat, Istiqbaal e Qibla, Niyyat, Waqt aur Satr e aurat.
Badan, Kapde aur Sajde ki jagah paak hona zaroori hai.
Ba-wuzu hona chaahiye. Agar paani par qaadir ho to Tayammum karke Sajda jaaiz nahi.

Sajda eTilaawat ki Niyyat me ye shart nahi ke fulaan aayat ka sajda hai balke mutlaqan Sajda e tilaawat ki niyyat kaafi hai.

(11) Jo cheez namaaz ko faasid karti hain jaise hadas e amal, Kalaam wa Qahqaha, un se Sajda eTilaawat bhi faasid ho jaayega.

(12) Haalat e marz me ishaare se Sajda ada ho jaayega.
Yunhi safar me sawaari par ishaare se sajda ada ho jaayega.

***************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ko sahi tareeqe se kasrat se Tilaawat e Qur’an karne ki taufiq ata farmae.
Aur in baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aameen.

Read More Post👇👇

Post a Comment

0 Comments