ETIKAF KA TARIKA
Ibadat Ki Niyat Se ALLAH TA-ALA. Ke Liye Masjid Mein Thaharne Ka Naam Aetikaaf Hai
itikaf Ki Teen Kismein Hain
( 1 ) Etikaf Wajib
( 2 ) Etikaf Sunnat
( 3 ) Etikaf Mustahab
( Durre Mukhtaar Raddul Muhtar Kitabul Saum Baab Ul Aetikaaf
Jild: 3 Page 492-495 )
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Rozah-Todne-Wali-Chizen
° Roza-Kisse-Nahi-Totta
° Kab-Roza-Chhor-sakte-hain
ETIKAF WAJIB
Jaise Kisi Ne Yah Mannat Mangi Ki Mera Falan Kaam Ho Jaye Toh Main Ek Din Ya Do Din Ya Teen Din Ka Aetikaaf Karunga
Aur Us Ka Kaam Ho Gaya Toh Yeh Aetikafe Wajib Hai
Aur Is Ka Poora Karna Zaruri Hai
Yaad Rakho Ki Aetikafe Wajib Ke Liye Rozah Shart Hai Baghair Roze Ke Aetikafe Wajib Sahi Nahin
( Durre Mukhtar Radul Muhtar Kitabul Saum Baab Ul Aetikaaf
Jild 3 Page 495-496 )
ETIKAF SUNNATE MUAKKADAH
Ramzan Ke Akhri 10 Dinon Mein Kiya Jayega
Yani 20 Ramzan Ko Suraj Dubne Se Pahle Aetikaaf Ki Niyat Se Masjid Mein Dakhil Ho Jayen
Aur 30 Ya 29 Ramzan Ko Suraj Doobne Ke Baad
29 Ya 30 Ramzan Ko Chand Hone Ke Baad Masjid Se Nikle
Yad Rakho Ki Aetikafe Sunnat Muakkadae Kifayah Hai Yani Muhalle Ke Sab Log Chhod Dein
Ek bhi Na Bethe To Sab Akhirat Ke Muakhze Mein Giraftar Honge
Aur Kisi Ek Ne Bhi Aetikaaf Kar Liya Toh Sab Akhirat Ke Muakhze Se Bari Ho Jayenge
Is Aetikaf Mein Bhi Rozah Shart Hai Magar Wo Hi Ramzan Ke Roze Kaafi Hain
( Durre Mukhtar Radul Muhtar Kitabu Saum Baab Ul Aetikaaf
Jild 3 Page 495-496 )
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Eimaan-Wa-Aqeede-Se-Zyada-Amal-Ko Ahmiyat Dena
° FILMi GAANON ME KUFRIYAAT
° Allah-Taala-ko-Upar-Wala-kehna-kaisa-hai
ETIKAF MUSTAHAB
Aetikaafe Mustahab Yeh Hai Ki Jab Kabhi Bhi Din Ya Raat Mein Masjid Ke Andar Dakhil Ho Toh Aetikaaf Ki Niyat Kar Le
Jitni Der Tak Masjid Mein Rahega Aetikaaf Ka Sawab Paega
Niyat Mein Sirf Itna Dil Mein Khayal Kar Lena
Aur Munh Se Kah Lena Kaafi Hai Ki Maine Khuda Ke Liye Aetikafe Mustahab Ki Niyat Ki
Auraton Ka Etikaf
Mard Ke Liye Zaruri Hai Ki Masjid Mein Aetikaaf Kare
Aur Aurat Apne Ghar Mein Us Jagah Aetikaaf Karegi Jo Jagah Us Ne Namaz Padhne Ke Liye Muqarrar Ki Ho
( Durre Mukhtar Kitabul Saum Baab Ul Aetikaaf Jild: 3 Page: 493-494 )
⚘■• ⇒ Aurat Ko Masjid Me Aitekaf Karna Makrooh Hai Balki Wo Ghar Me Hi Us Jagah Aitekaf Kare Jo Usne Namaz Padhne Ke Liye Banai Ho Aurat Ke Liye Mustahab (Achcha) Ye Hai Ki Ghar Me Namaz Padhne Ke Liye Koi Jagah Muqarrar Kare Wo Jagah Chabutra Type Unchi Ho Aur Use Pak O Saf Rakhe
*📬 Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1021 📕*
⇩❏ *✫ Mas’ala ✫* ❏⇩
•──────•
⚘■• ⇒ Agar Aurat Ne Ghar Me Namaz Ke Liye Koi Jagah Muqarrar Nahi Kee To Ghar Me Aitekaf Nahi Kar Sakti Albatta Us Waqt Jab Aitekaf Ka Iradah Kiya Kisi Jagah Ko Aitekaf Ke Liye Khas Kiya To Us Jagah Aitekaf Kar Sakti Hai...✍
*📬 Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1021 📚*
Aetikaaf Karne Wale Ke Liye Bila Uzr Masjid Se Nikalna Haram Hai
Agar Nikla Toh Aetikaaf Toot Jayega Chahe Qasdan Nikla Ho Ya Bhool Kar
Isi Tarah Aurat Ne Jis Makaan Mein Aetikaaf Kiya Hai Usko Us Ghar Se Bahar Nikalna Haram Hai
Agar Aurat Us Makaan Se Bahar Nikal Gayi Toh
Khwah Woh Qasdan Nikli Ho Ya Bhool Kar Uska Aetikaaf Toot Jayega
( Durre Mukhtar Kitabul Saum Baab Ul Aetikaaf Jild: 3 Page: 501-503)
MASALA
Aetikaaf Karne Wala Sirf Do Uzron Ki Wajah Se Masjid Se Bahar Nikal Sakta Hai
( 1 ) UZRE TABAI
Jaise Peshaab Pakhana Aur Ghusle Farz Wa Wuzu Ke Liye
( 2 ) UZRE SHARAI
Jaise Namaze Juma-a Ke Liye Jana
In Uzron Ke Siwa Kisi Aur Wajah Se Agarche Ek Hi Minute Ke Liye Ho
Masjid Se Agar Nikla Toh Aetikaaf Toot Jayega
( Durre Mukhtar Radul Muhtar Kitabul Saum Baab Ul Aetikaaf
Jild: 3 Page: 501-503 )
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° CHAAND-DEKHNE-KA-BAYAN
° Radio-Taar-Telephon-ki-Khabar-Par-Chand Maan lena kaisa
° Eid-Ki-Namaz Ka Mukammal Tareeqa
° Eid-Ke-Baad-6-Roze-Rakhne Ka Sawab
MASALA
Aetikaaf Karne Wala Din Raat Masjid Hi Mein Rahega
Wahin Khaye Piye Soye Magar Yeh Ehtiyat Rakhe Ki Khane Pine Se Masjid Gandi Na Hone Paye
Moatakif ( Aetikaaf Karne Wala ) Ke Siwa Kisi Aur Ko Masjid Mein Khane Pine Aur Soney Ki Ijazat Nahin Hai
Is Liye Agar Koi Aadmi Masjid Mein Khana Pina Aur Sona Chahe Toh Usko Chahiye Ki Aetikafe Mustahab Ki Niyat Kar Ke Masjid Mein Dakhil Ho
Aur Namaz Padhe Ya Zikre Ilaahi Kare
Fir Uske Liye Khane Pine Aur Soney Ki Bhi Ijazat Hai
( Durre Mukhtar Wa Radul Muhtar Kitabul Saum Baab Ul Aetikaaf
Jild 3 Page:506)
MASALA
Aetikaaf Karne Wala Bilkul Hi Chup Na Rahe
Na Bahut Zyadah Logon Se Baat Cheet Kare
Balki Us Ko Chahiye Nafil Namazen Padhe Tilawat Kare Ilm Deen Ka Dars De
Auliya Wa Saliheen Ke Halat Sune Aur Dusron Ko Sunaye
Kasrat Se Durood Shareef Padhe Aur Zikre Ilaahi Kare Aur Aksar Ba Wuzu Rahe
Aur Duniya Dari Ke Khayalat Se Dil Ko Paak Saaf Rakhe
Aur Ba Kasrat Ro Ro Kar Gid Gida Kar Khuda Se Duayen Mange
New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge
Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.in
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣
31 Comments
Kya atikaf kay dino mai jab jumatul mubarak aayai. To kya hum kahi dusri Jamia masjid mai ja sakhtay hai namaz k liye Apni Nazdeekhi jamia Masjid ko chod kay.
ReplyDeleteAgar jis masjid me Etikaf ke lie betha hai usme juma nahi hota
DeleteTo ja sakta hai warna nahi
kia aik din ka b aitakaf hota h..
ReplyDeleteji han Aap chahe to kuchh der ke liye bhi masjid me rehkar Etikaf ki niyyat se beth sakte hai aapko etikaf ka sawab milega
DeleteAssalamuwalikum..
ReplyDeleteDuniya ka mahool tho carona virus se pehla huwa hai..
Yaha ki government sirf 4 log ka permission hai masjid me.. Ayise halath me itteqaf me kitne log reh sakte..
Aap khud Samjh sakte hain ki jitne logon ki permission hai utne hi beth sakte hain
DeleteItikaf m jo nawafil ada kerty h un nawafil ki neyat kya kerni h??
ReplyDeleteNafil ki niyyat aise hi karni hai jaise aur namazo ki karte hain
Delete3 din k aitkaf mn kis din or kis waqt bethna hota h auraton k liye
ReplyDeleteJis din aapko bethna ho tab bethe magrib baad
DeleteJazakallah hu khair 😇....itz help in alot... May Allah SAW bless u.... Ameen
ReplyDeleteKia eitqaf mein beth k mirror ni dekha ja skta or kia tasveer bnana gunah h
ReplyDeleteJi Aisa nahi mirror bhi dekh sakte hai aur han tasveer banana haraam hai
DeleteOr aurat k liye aitqaf py beth k kin bton ka khayal krna zruri h
ReplyDeleteSirf ibaadat krna h khana oina sb koi or laa ke dega..duniyawi kaam se parhez krna h
DeleteEtikaf ka Matlab hi hota hai Allah ki ibaadat karna aur duniya ke kaamo se bachna
DeleteKya ghar pe 3/ 4 ghante etikaf me baith sakte hai
ReplyDeletekiya aitiwaf mein jinat milne aaye hain...??
ReplyDeleteAise nahi hai
DeleteVery informative
ReplyDeleteEhtkaaf Mai sirf masjid Sy niklna par toot skta h ?
ReplyDeleteYa phir masjid kis jgh usne ihykaaf ki h us jagh Sy Hatt k masjid k Kisi r konny m Betha ya thak Kar halka fresh hony k chkr lagaye to b Kiya ihykaaf toot skta h ?
Ramzan Ke 20 Roza ke bad jo akhri 10 din ka ehtikaf hota hai.....usme agr ehtikaf mai baithne wala shaqs us din bina Roze k ho aur halakni wo 19 Roza rakhe hai aur 20 wa Roze me yani Ehtikaf ke din uska roza kisi wajah se tut gaya ho to wo wager roze k us din Ehtikaf me baith sakte hai ? Fir Ramzan ke bad wo kaja Ehtikaf rakhne se uska 10 Ehtikaf mukammal ho jayega?
ReplyDeleteEk kamray mein aitiqaf ka iraada kar k aurat agar bethay to kya wo us kamray se bahr apny ghr k andar hi kahin jasakti hai jese k kitchen wagera? Aur agar wo jaga badlna chahy aitiqaf ki, to kya badal skti hai?
ReplyDeleteAurat sirf Etikaf us jagah kar sakti hai jahan wo pahle se hi namaz padhti thi aur jagah nahi badal sakti aurat
DeleteItkaaf mai kb kb so skte hai plx rply
ReplyDelete20 roze k baad aitekaf kid bhi ek din karne ka tarika batayiye aurataun k liye
ReplyDeleteKya itikaf mai banda jamat apny hujray mai beth kar hi imam k sath namaz par sakta hai khua uska hujra imam sy agy mtlb masjid ky androni hisy mai ho or jamat bahir sehan mai ho rahi ho.
ReplyDeleteNahi jahan aur log namaz padhye hai. Unhi ke. Sath jamat se namaz padhe alag nahi padh sakta
Deletejazak'Allah..
ReplyDeletehamari masjid 2 floor ki hai kya motakif first aur second floor per aana jana kar sakta hai
ReplyDeleteNahi ja sakta bila sharai zarurat jaise toilet ya ghusal khana wagerah agar upar hai to ja sakta hai warna nahi
DeleteNiche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe