EIMAAN WA AQEEDE SE ZYADA AMAL KO AHMIYAT DENA


ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

    
EIMAAN WA AQEEDE SE ZYADA
AMAL KO AHMIYAT DENA



Hamare Kafi Awami Bhai Kisi Ki Zahirdari Neki Aur Koi Acha Kaam Dekh Kar Uski Tareef Karne Lagte Hain Aur usse Mutassir (prabhawit ) Ho Jate Hain

Jabki Islaami Nuktae Nazar Se Koi Neki Us Waqt Tak Kaar Aamad Nahi Hai Jab Tak Ki Uska Eimaan Wa Aqeeda Durust Na Ho

    Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓



رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم Ne Jab Ailaane Nabuwwat Farmaya Tha Toh Sab Se Pahle Namaz Rozah Zaqaat Hajj Aur Ahkaam Wa Aamaal Ka HukmNahi Diya Tha.      

Balki Yah Farmaya Tha Ki ALLAH' Ko Ek Maano Buton Ki Pooja Wa Parastish (Ibadat ) Se Baaz Aa Jao Aur Mujhko ALLAH' Ka Rasool Mano

Aaj Bhi Jab Kisi Ghair Muslim Ko Musalmaan Karte Hain Toh Sabse Pahle Usko Namaz Roze Ada Karne Aur Buraiyan Chodne Ka Hukm Nahi Diya Jata

Balki Kalima Padha Kar Musalman Kiya Jaata Hai Fir Baad Me Achai Burai Aur Ahkaame Islaam Se Usko Aagah Kiya Jata Hai

Hadees Shareef Me Hai ( رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم ) Ne Farmaya KI Agar Koi Shakhs Uhad Pahaad Ke Barabar Bhi Sona Raahe Khudaa Me Kharch Kare Toh Khudaae Ta-aala Qubul Nahi Karega Jab Tak KI Wah Taqdeer Par Eimaan Na Laae
( Mishqaat Shareef Page 23 ) 

    Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓

Is Hadees Se Khub Wazeh Ho Gaya KI Jo Islaam Ke Liye Zaruri Aqaid Na Rakhta Ho Uski Koi Neki Neki Nahi

Quraane Kareem Me Bhi Farmane Khudawandi Hai 'Yah Quraan Hidayat Hai
Muttakeen(Taqwe Walon ) Ke Liye Jo Baghair Dekhe Eimaan Lae Hain Aur Namaz Ada Karte Hain Aur Hamare Diye Hue Maal Me Se
( Hamari Raah Me ) Kharch Karte Hain
( Parah 1 Rukuh 1)


    Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓


Is Aayate Karima Me Bhi ALLAH TA- AALA  Ne Namaz Aur Raahe Khudaa Me Kharch Se Pahle Eimaan Ka Zikr Farmaya Hai

Khulaasa Yah KI Jis Shakhs Ka Eimaan Wa Aqeeda Durust Na Ho Wah Ghair Islaami Khayalat Wa Aqaid Rakhta Ho Usse  Kabhi Mutassir ( Prabhawit ) Nahi Hona Chahiye Na Uski Tareef Karna Chahiye Chahe Wah Kitne Hi Ache Kaam Kare


    Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓


Quraane Kareeme Me Ghair Islaami Aqaid Rakhne Walon KI Nekiyon Aur Unke Karnamon Ko Bekaar Wa Fizul Farmaya Gaya Hai

Aur Iski Misaal Us Ghubaar Se Di Gai Hai Jo Kisi Chattaan Par Lag Jaati Hai Fir Use Baarish Dho Kar Baha Deti Hai Aur Uska Naam Wa Nishaan Tak Baaki Nahi Rahta

ALLAH  Hum Tamam Musalmanon Ko Eimaan par Qaem Wa Daem Rakhe Aur Eimàan Par Hi Khatma Farmae AAMEEN

Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link


 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

0 Comments