ALLAH TAALA KO UPAR WALA KEHNA KAISA HAI



ALLAH TA'ALA KO UPAR WALA KEHNA KAISA.


Kuch log ALLAH A'ALA ko naam
lene k bajaye upar
wala
bolte hain
ye nigayat galat baat hai
balki
agar yeh AQIDAH rakhkar yeh
lafz
bole ki ALLAH TA'ALA upar hai
to
ye kufr hai,
.
kyunki ALLAH zaat upar niche
aage,piche
dahine,bahyen
tamaam samto(dishaon) har
makaan aur har zaman
se
paak hai bartar wa baala hai,

must read

in sab dishaon purab pach'chhim
uttar dak'khin
upar niche dahine aage pichhe
zaman wa makaan ko usi ne
paida kia hai
to
ALLAH TA'ALA ke lie yeh nahi
bola ja sakta
ki woh upar hai ya niche
purab me hai
ya pach'chhim me hai
kyunki jab usne in chizo
ko
paida nahi kia tha wo tab
bhi tha
kahan tha aur kya tha iski haqiqat
ko uske alawa koi nahi janta
agar
koi kahe ki ALLAH TA'ALA arsh
par
hai to usse puchha jae ki
jab
usne arsh ko paida nahi
kia
tha tab woh kahan tha?




Yun hi agar koi kahe ki ALLAH
Upar
hai to usse pucha jae ki upar
ko
paida krne se pahle wo kahan tha?
.
Han agar koi shakhs ALLAH TA'ALA
ko upar wala is khayal se kahe
ki woh sabse buland wa baala
hai
aur uska martaba sabse upar hai
to ye KUFR nahi hai lekin fir
bhi
ALLAH TA'ALA ko aise alfaz
se
bolna sahi nahi jinse kufr
ka
shub'ha ho aur ALLAH TA'ALA
ko
upar wala kehna baher haal
mana hai
jisse bachna zaruri hai,

must read


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Islami Masail
► Namaz Ke MasaiL
► Ramzano ke MasaiL
► Nikah Ke Masail

Kuchh log ALLAH TA'ALA ko
MALIKE
kehte hai ki ye MALIK ne chaha
to aisa ho jaega ya MALIK
jo karega
woh hoga etc etc..
Yeh bhi achha tarika hai
sabse zyada sidhi
sachchi
aur achchhi baat ye hai ki
ALLAH ko ALLAH hi
kaha jae
kyunki uska naam lena sabse
achhi
ibaadat hai, aur uska zikr
karna
hi insan ka sabse bada maksad
aur musalman ki pehchan hi
ye hai
ki usko ALLAH TA'ALAA ka naam
lene aur sunne me mazaa
aane lage



Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
 ° Namazi-k-Saamne-se-Guzarna-Mana-hai Hatna Nahi
° 5 WAQT NAMAZ ME SUSTI KARNA AUR WAZIFE PADNA
° Azaan-ka-Jawab-Kaise-den


.
ALLAH AMAL KI TOUFIQ DE
AAMEEN SUMMA AAMEEN
.

For More Msgs Click This Link
          www.diniraah.in
 
.
Baraye Karam Is Paigham Ko uu ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

0 Comments