ROZEY KE MASAIL

ROZEY KE MASAIL

ROZEY KE MASAIL     

ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

Namaz Ki Tarah Rozah Bhi Farze Ain Hai
Iski Farziyyat Ka Inkar Karne Wala Kafir
Aur Bila Ujar(majboori) Chodney Wala Sakht Gunahgar Aur Azaabe Jahannam Ka Sazawar Hai

MASALA-

Shariyat Mein Rozey K Maanah Hai   ALLAH TA-AALA  Ki Ibadat Ki Niyyat Se

Subhey Saadique Se Lekar Suraj Doobney Tak Khane Pine Aur Jimaa Se Apne Ko Roke Rakhna
( Fatawah Hindya Kitabul Saum Baabul Awwal Fi Tareef Alaakh Jild 1 Page 194)



Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
 ° Rozah-Ke-Masail
° Rozah-Todne-Wali-Chizen
° Roza-Kisse-Nahi-Totta
° Kab-Roza-Chhor-sakte-hain

MASALA-
Jis Tarah Aur Ibadaton Mein Bataya Gaya Hai
Ki Niyyat Dil Ke Iradey Ka Naam Hai

Zubaan Se Kahna Kuch Zaruri Nahin
Isi Tarah Rozey Mein Bhi Niyyat Se Muraad Dil Ka Pukhtah Iradah Hai

Lekin Zubaan Se Bhi Kah Lena Achcha Hai

Agar Raat Mein Niyyat Kare Toh Yun Kahe Ki
( NAWAITO AN ASUMA GHADAN LILLAAHI TA-AALA MIN FARZE RAMAZAN )

Aur Agar Din Mein Niyyat Kare Toh Yun Kahe Ki
( NAWAITO AN ASUMA GHADAL YAUMA MIN FARZE RAMZAN )

( FATAWAH HINDYA KITABUL SAUM BAB UL AWWAL JILD 1 PAGE 195 )



Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
 ° CHAAND-DEKHNE-KA-BAYAN
° Radio-Taar-Telephon-ki-Khabar-Par-Chand Maan lena kaisa
° Eid-Ki-Namaz Ka Mukammal Tareeqa
° Eid-Ke-Baad-6-Roze-Rakhne Ka Sawab

MASALA-
Qazae Ramzan Waghairah Jin Rozon Mein Raat Se Niyyat Kar Leni Zaruri Hai

Un Rozon Mein Khaas Us Roze Ki Niyyat Bhi Zaruri Hai Jo Roza Rakha Jaye

Maslan Yun Niyyat Kare Ki Kal Main Apne Pahle Ramzan Ke Roze Ki Qaza Rakhunga

Ya Maine Jo Ek Din Roza Rakhne Ki Mannat Mani Thi Kal Main Woh Roza Rakhunga
( Fatawah Hindya Kitabul Saum Bab Awwal Jild 1 Page 196 )


MASALA-
Eid Wa Baqar Eid Aur Zill Hajj Gyarah Barah Terah Taareekh In Panch Dinon Mein Roza Rakhna Makruhe Tahrimi Hai Aur Gunah Hai
( Fatawh Hindya Kitabul Saum Jild 1 Page 201 )


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
 ° Namaz Me Dahine Pair Ka Angutha Sarak jene Se Kya Namaz Nahi Hoti
° Namazi-k-Saamne-se-Guzarna-Mana-hai Hatna Gunah Nahi
° Wuzu-Ka-tareeqa
° Har Napaaki Par-Gusal Karna Zaroori Nahi


MASALA-
Kisi Kaam Ki Mannat Mani Toh Kaam Poora Ho Jane Par Us Roze Ko Rakhna Wajib Ho Gaya
( Fatawah Hindya Kitabul Saum Jild 1 Page 209 )


MASALA-
Agar Nafli Roza Rakh Kar Is Ko Tod Diya Toh Ab Is Ki Qazaa Wajib Hai
( Durre Mukhtar Wa Raddul Mohtar Kitabul Saum Jild 3 Page 478 )


MASALA-
Aurat Ko Nafli Roza Bila Shauhar Ki Ijazat Ke Rakhna Manaa Hai
( Fatawah Hindya Kitabul Saum Jild 1 Page 201 )

Rozon ke Ta'alluk se Aur bhi masail
Pesh kie Jayenge uske lie Agli post Zaroor padhen
New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
            www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

0 Comments