Milad manane ka Sabse Acha or Bahtareen Tareeqa

 Milad manane ka Sabse Acha or Bahtareen Tareeqa Yahi hai ke Aap Roza rahe. 》 Agar Roza na rakh sake toh Jaiz tareeqe Se Milad manaye jaise:


Milad manane ka Sabse Acha or Bahtareen Tareeqa

1. Namaz Ko Na Chodhe , Ho sake toh Extra Namaze padhe Jo Qaza hochuki hai Unki pahle Ada kare.


2. Ghareebo Ki Madad Kijiye, Logo Ko khana Khilaye.


3. Ghar me Bachon ko saath lekar Milad ki mehfil sajaye usme Durood or Salaam padhe or apne Bachon Ko Nabi ki Shaan bataye.


4. Kisi Ba-sharah Julus me Jaye Jaha DJ waghaira Na Lagaya Jata ho or Adab ka khayal rakha jata ho or Jisme Ulama Kiraam bhi Shamil ho.


5. Asare Mubarak Ki Ziyarat ke liye jaye or Unki Ziyarat kare or Dua kare.


6. Kisi Qareebi Dargah me jaye waha jakar Bhi Ziyarat kare or Salam pesh kare Eisalesawab kare.

7. Jalse , Conferences , Programmes attend kare jisme Sahi Sunni Ulama aate ho or Wo log Jo Sahaba par laan taan karte hai Or Ahlebaith Ke ghustakh ke saath Milte Julte hai Unke bayanat sunne se bache.


8. Ladies harghiz harghiz Bahar na Jaye balke Apne Ghar me hi Mehfil Sajaye , Naate Shareef padhe , Durood padhe.


9. Mareezon Ki Ayadat kare , Yateemon Ki Madad kare or Apne Marhumeen ke Qabr Ki Ziyarat k liye jaye.


10. Aapse Jo Hosakta Hai Wo Logo me Taqseem kare Jaise Fruits, Juices, langar , Shirni , Mitahyi , Har Halal Chiz Khilaye Jo apke Istetaat me ho.


11. Yaad rahe Hamaare kisi bhi kaam Se kisi bhi Shaqs ko Takleef nahi honi chahiye khas taur se Non Muslims ko , Unko bhi hame Samjhana hai Dawat deni hai Islam ki or Hamare Aaqa ki Taleemat ki.


12. Aapke Ek Ghalat kaam se Yaad rahe Sari Sunniyat badnaam hogi , or Islam dusron ki nazr me Badnaam hoga lihaza Koi hamare kisi bhi kaam ko dekhe toh khush hojaye naa ke Bezaar.


12vi Shareef ki Nisbat se In 12 kaamo me se Jo apki sahulat ke hisab se ho use kare , or Jo Jo jaiz kaam hai kare or najaiz o haram kaam se bache. 


Hashr Tak Dalenge hum paidaish e Maula Ki Dhoom.

Misle Faras Najd ke qille Girate Jayenge.

Post a Comment

0 Comments