Iblees (Shaitan) Ka Bayaan

Iblees (Shaitan) Ka Bayaan


Iblees (Shaitan) Ka Bayaan


"ALLAH " Rabbuul izzat Ne Drkaye Sijjen Mein Do Suratein Paida Farmain

Ek Saanp Ki Shakl Mein Jiska Naam Khablees Tha

Aur Doosri Bhediye Ki Shaql Mein Jiska Naam Nablees Tha

Donon Ne Aapas Mein Jufti Khayi Toh Iblees Paida Hua

( Maarejun Nabuwwat Jild 1 Safah 15 )

Iblees Ki Biwi Ka Naam Raasul Hai

( Nuzhatul Majalis 6 Safah 117 )

Iblees Jinn Ki Qaum Se Hai Yaani Aag Se Paida Kiya Gaya Hai

 Isliye Shareer Jinnon Ko Bhi Shayateen Kaha Jata Hai

( Khaazin Jild 2 Safah 176 )
( Takmilul Imaan Safah 10 )


Pahle Aasman Par Iblees Ka Naam Aabid

Doosre Par Zaahid Teesre Par Aarif

 Chauthey Par Wali Panchwe Par Taqi

Chatey Par Khazin 

Santwein Par Azazeel Aur Lauhe Mahfooz Me Iblees Tha

Ye 40000 Saal Tak Jannat Ka Khzanchi Raha 14000 Saal Tak Arshe Azam Ka Tawaf Karta Raha

80000 Saal Tak Farishton Ke Sath Raha

Jisme Se 20000 Saal Tak Farishton Ko Waazo Nasihat Karta Raha

Aur 30000 Saal Karrbeen Farishton Ka Sardar Raha

Aur 1000 Saal Ruhaneen Farishton Ka Sardar Raha

( Zarqani Jild 1 Safah 59 )


Inke Yahan Shadi Byah Bhi Hoti Hai Aur Bachchey Bhi Magar Tariqe Kayi Hain

Kuch Ki Dahini Raan Mein Nar Ki Alamat

Aur Bayin Raan Mein Madah Ki Alamat Pai Jati Hai

Khud Hi Jimaa Karta Hai Aur Khud Hi Hamla Hota Hai Aur Khud Hi Bachcha Janta Hai

Aur Kuch Rozana Andey Diya Karte Hain

 Har Andey Se 70 Shaitaan Aur 70 Shaitaanya Paida Hote Hain

( Khaazin Jild 4 Safah 176 )
( Umdatul Qari Jild 7 Safah 271 )
( Tafseere Saavi Jild 3 Safah 35 )
( Tafseere Jamal Jild 3 Safah 35 )
( Tafseere Nayimi Jild 1 Safah 174 )

Pahle Shaitaan Aasmanon Par Jaya Karta Tha

Aur Wahan Farishton Ki Baatein Sunkar Yahan Kahinon Aur Najumiyon Ko Batata Magar

Jab Se Huzur Sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam Tashreef Laye Tab Se Inko Aasmanon Par Jane Se Rok Diya Gaya

( Mahahibul Laduniya Jild 1 Safah 398 )


Har Insaan Ke Sath Ek Shaitan Paida Hota Hai Jiska Naam Humzad Hai

Jab Musalman Ka Inteqal Hota Hai To Maula Ta-ala Uske Humzad Ko Qaid Kar Leta Hai

Magar Jab Koi Kaafir Marta Hai To Uska Humzad Qaid Nahin Kiya Jata Hai

Yahi Bhoot Kahlata Hai Ab Har Shaitaan Aapas Mein Ek Dusre Se Puch Rakhta Hai

Zinda Shakhs Ka Humzad Kisi Mare Hue Aadmi Se Uski Sari Zindagi Ki Saari Malumat Hasil Karta Hai

Aur Fir Zinda Shakhs Ke Munh Se Sari Baat Bolta Hai Taaki Un Logon Ko Gumrah Kar Sake

 Aur Log Is Ko Punarjanam Ya Aawa - Gawan Samajh Lete Hain

( Tafseere Nayimi Jild 1 Safah 674 )
( Almalfuz Hissa 3 Safah 28 )


Huzur Sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam Ka Humzad

Balki Tamam Nabiyo Ke Humzad Unki Sohbat Mein Rahkar Musalman Ho Gaye

( Tafseere Nayimi Jild 1 Safah 221)
(Tafseere Alam Nashrah Safah 199 )


Iblees Ka Parpota Haamma Bin Heem Bin Laqees Bin Iblees Bhi Huzur Sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam Ki Bargah Mein Hazir Ho Kar Aap Par Imaan Laya

Aur Apni Umar Ke Bare Mein Kaha Ki Jab Qaabeel Ne Habeel Ka Qatl Kiya Toh Main Us Waqt Bachcha Tha

( Kya Aap Jante Hain Safah 484 )
( Khulasatul Tagseer Safah 170 )


Muallemul Malakoot Hone Aur Lakhon Baras Ibadat Karne Ke Bawajud

Sirf Ek Sajdah Hazrate Adam ( Alaihis Salam ) Ko Na Karne Par Usko Raandaye Baargah Kar Diya Gaya

Uske Ek Sajdah Na Karne Mein 4 Kufr The Mulahiza Farmayein

( 1) Usne Kaha Ki Tune Mujhe Aag Se Banaya Aur Isko Mitti Se Main Is Se Behtar Hun

Ismein Mal'oon Ka Maqsad Ye Tha Ki Tu Behtar Ko Adna Ke Aage Jhukne Ka Huqm De Raha Hai Jo Ki Zulm Hai

Aur Usne Ye Zulm Ki Nisbat Khuda Ki Taraf Ki Jo Ki Kufr Hai

( 2 ) Ek Nabi Ko Hikarat Se Dekha Aur Nabi Ko BaNazre Hikarat Se Dekna Kufr Hai

( 3 ) Nabi ( Alaihissalam ) Ke Hote Hue Bhi Apna Falsafa Jhada

Matlab Ye Ki Jab Hukme Khuda Ho Gaya Ki Sajdah Kar Toh Uspar Apna Qaul Lana Ki Main Aag Se Hun Ye Mitti Se Hai Ye Bhi Kufr Hai

( 4 ) Jimaa Ki Mukhalfat Ki Yaani Jab Sare Ke Sare Farishtey Jhuk Gaye Toh Isko Bhi Jhuk Jana Chahiye Tha

Chahe Baat Samajh Mein Aaye Ya Nahin Kunki Jimaa Ki Mukhalfat Bhi Kufr Hai

( Nuzhatul Majalis Jild 2 Safah 34 )


Sochiye Jab Lakhon Baras Ibadat Karne Wala Ek Nabi Yani Hazrat adam ( Alaihis Salam ) Ki Tauheen

Karne Ki Banisbat Lanati Ho Gaya

Toh Jo Log Nabiyon Ke Sardar Huzur ( sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam ) Ki Tauheen Kar Rahe Hain Unka Kya Hoga

Ulmaye Ikram Farmate Hain Ki Jisne Huzur Ke Nalain Sharif Ki Tauheen Kar Di Wo Bhi Kafir Hai
( Ahkaame Tasweer Safah 20 )


To Jab Nalain Mubarak Ki Ya Sirf Uski Nakl Yani Tasweer Ki Tauheen Karne Wala Kafir Hai

To Jo Aapki Zaat Wa Ausaf Wa Haal Wa Aqwaal Ki Tauheen Karega Wo Kaise Na Kafir Hoga

Balki Wo Kafir Nahin Kafir Se Badtar Hai

Riwayat Mein Aata Hai Ki Ek Din Ye Hazrat Musa ( Alaihis Salam ) Ki Bargah Mein Hazir Hua

Aur Kaha Ki Rab Se Meri Sifarish Kar Dijiye Main Tauba Karna Chahta Hun

Aap Ne Uske Liye Dua Farmai

 Toh Maula Farmata Hai Ki Ai Musa Is Se Kah Do Ki Jakar Adam Ki Qabr Ko Sajdah Kar Le Main Ise Maaf Kar dunga

Ye Baat Jab Hazrat Musa ( Alaihis Salam ) Ne Mal'oon Shaitan Ko Batai

To Khabees Kahne Laga Ki Jab Maine Unko Unki Zindagi Mein Sajdah Nahin Kiya

To Ab Unko Unki Qabr Par Ja Kar Sajdah Karunga Ye Kahkar chala Gaya

Yahan Tak Ki Maula Usko Jahannam Mein 1 Lakh Saal Jalane Ke Baad Nikalega

Aur Kahega Ki Ab Bhi Adam Ko Sajdah Kar Le To Main Tujhe Maaf Kar Doon

Is Par Wo Inkar Karega Aur Hamesha Ke Liye Jahannam Mein Dala Jayega

( Tafseer Ruhul Bayan Jild 1 Safah 72 )
( Tafseere Aziz Jild 1 Safah 158 )