HAZRAT ISMAIL WA HAZRAT ISHAAQ (ALAIHIS SALAM)
SAWAL- Hazrat Ismail ( Alaihis Salam Ka Naam Ismail Kyun Rakha Gaya
JAWAB- Pirana Saali Tak Hazrat Ibrahim ( Alaihis Salam ) Ki Koi Aulade Pak Na Hui Aap Aulade Narina Ki Dua Mang Kar Kahte They 'Isma ILL" Isma Arbi Lafz
Hai
Aur i'LL Ibrani Zuban Me Khuda Ka Naam Hai
Jiske Maani Hue Aye Khuda Meri SunLe
ALLAH TA'ALA Ne AapKi Dua Ko
QUBOOL farmaya
Aur Aap Ke Yahan Ek Farzande Arjmand Ki Wiladat Hui
Us Dua Ki Yadgar Me Aap Ne Apne Us Farzande Dilband Ka Naam Ismaail Rakha
(Tafsir Naeemi Jild 1 Page 820 )
Ek Qaul Ye Bhi Hai Ki Aap Ka Naam Ismawil Rakha Gaya Tha Fir Kasrate Istemaal Se Ismaail Ho Gaya
( Merajun Nabuwat Jild 1 Page 110)
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Ramzano ke MasaiL
° Nikah Ke Masail
° Auraton Ke MasaiL
SAWAL- Hazrat Ismail ( Alaihis Salam ) KI Wiladat Ke Waqt Hazrat Ibrahim ( Alaihis Salam ) Ki umar Kitni Thi
JAWAB- Us Waqt Hazrat Ibrahim ( Alaihis Salam ) Ki Umar Shareef 99 Saal Ki Thi
( Jalalain Page 209 )
Ek Dusri Riwayat Ke Mutabik Us Waqt Aap Ki Umar Shareef 86 Saal Ki Thi
( Ibne Kasir Para 23 Ruku 7 )
SAWAL- Us Waqt Hazrat Ismail (Alaihis Salam ) Ki Umar Kitni Thi Jis Waqt Aap Ki Qurbani Pesh Ki Gai
JAWAB- Us Waqt Aap KI Umar Shareef 7 Saal Ki Thi
( Jalalain 377 )
Ek Riwayat 13 Saal Ki Bhi Hai
( Tafsir Naeemi Jild 1 Page 845 Jalalain Page 377 Nuzhatul Majalis Q 5 Page 24 )
SAWAL- Jis Waqt Hazrat Ismail ( Alaihis Salam ) Ki Qurbani Pesh KI Gai Thi Us Waqt Aap Ke Jism Par Kaisa Libaas Tha
JAWAB- Us Waqt Aap Ke Jism
Par Safed Rang Ki Chadar Thi Jis Ke Mutaalliq Aap Ne Hazrat Ibrahim ( Alaihis Salam ) Se Kaha Tha Abba Huzur Ise Utar Lijiye Taa Ki Isme Aap Mujhe Kafna Saken
( Ibne Kasir Para 23 Rukua 7 )
Taarikh Tibri Me Hai Ki WO Safed Rang Ki Qameez Thi
( Jild 1 Page 174 )
SAWAL- QURBANI Ka Ye Waqya Kis Jagah Pesh Aaya Tha Aur Ye Jagah Baitullah Se Kitni Doori Par Hai
JAWAB- Mahle Zabah Minah Hai Jo Makka Muazzama Me Baitullah Sharif Se DO Meel Ki Doori
Par Hai
( Khazaenul Irfan Para 23 Rukua 7 Tarikh Tibri Jild 1 Page 174 )
SAWAL- Hazrat Ibrahim ( Alaihis Salam ) Ne Gardan e Ismail Par Kitni Bar Churi Chalai Thi
JAWAB- Ek Riwayat Me Hai Ki Jab Hazrat Khaleel ( Alaihis Salam ) Ne Tegh Tez ( Churi ) Se
Gardan Ismail Katna Shuru Kiya To Sattar Bar Churi Chalai
Magar
Gardan Par Zara Bhi Asar Na Hua
Hazrat Khaleel ( Alaihis Salam ) Ghusse Me Aaye Churi Hath Se Faink Di
Aur Farmaya Tu Mera Hukm Kyun Nahin Manti
Churi Ne Zubaane Haal Se Arz Kiya
Aye Khaleel Ghussa Na Farmaiye
Aap Katne Ka Huqm Farma Rahe Hain
Aur Rabbe Jaleel Mumanat
( Mana ) Farmata Hai
Main Hairan Hun Ki Kya Karun Kis Ka Huqm Baja Laun Mujhe Aap Ke Hukm Ke Muqable Me Khuda Ka Huqm Manna Zaruri Hai
Hazrat Khaleel ( Alaihis Salam ) Ne Farmaya Tera Kaam Hai Katna Tu Katne Ko Banaui Gayi Hai
Chhuri Ne Arz Kiya Aag Bhi Jalane Ko Banai Gayi Hai Fir Aatishe Namrood Ne Aap Ko Kun Nahin Jalaya
( Merajun Nabuwwat Page 118 Auraqe Gham Page 20 Nuzhatul Majalis Q 5 Page 24 )
SAWAL- Us Mendhe Ka Kya Naam Tha Jo Hazrat Ismail Ke Fidye Me Zibah Hua
Aur Uska Rang Kaisa Tha
JAWAB- Uska Naam Jarir Tha
Uska Rang Safed Qadre Surkhi Mael Tha
( Ibne Kasir Para 23 Ruku 7 )
SAWAL- Ye Mendha Jannat Me Kaise Pahuncha Tha
JAWAB- Ye Wahi Mendha Tha Jise Hazrat Habeel Ne Rahe Khuda Me Qurbaan Kiya Tha Aur Wah Maqbool Ho Kar Jannat Me
Tha
(Jalain 377 Ibne Kasir Para 23 Ruku 7 Nuzhatul Majalis Q 5 Page 25 )
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Namaz me Takbir Khade Hokar Sunna Kaisa
° Namaz Ki Sharton Ka Bayaan
° Namazi-k-Saamne-se-Guzarna-Mana-hai Hatna Nahi
SAWAL- Ye Mendha Jannat Me Kitne Dinon Se Tha
JAWAB- Tarjumane Quraan Hazrat Ibne Abbas ( Radiallaho Anhuma ) Farmate Hain
Ye Mendha Chalis Salon Se Murghzare Jannat Me Pal Raha Tha ( Ibne Kasir Para 23 Ruku 7 )
Ek Riwayat Me Chalis Hazar Saal Hai Aur Ye Bhi Kaha Gaya Hai Ki Assi Hazar Saalon Se Gulistane Bahisht Me Char Raha Tha
( Merajun Nabuwat Jild 1 Page 118)
Aur Ek Qaul Me Char Hazar Saal Hai
( Nuzhatul Majalis Q 5 Page 25 )
SAWAL-
Jismani Aitbaar Se Ye Mendha Kaisa Tha
JAWAB- Wah Bahut Hi azimul Habsha ( Lamba Chaunda )
Tha
Baaz Kahte Hain Ki Wah Hathi Ke Barabar Tha
Aur Baaz Ye Bhi Kahte Hain Ki Us Ke Badan Me Gosht Hi Gosht Tha
Baal Post Haddi Khoon Aur Pet Me Najasat Wa Ghilazat Waghairah Kuchh Na Tha
Uske Tamam Ajzae Aaza Maa Kool They
( Merajun Nabuwat Jild 1 Page 119)
SAWAL- Hazrat Ibrahim ( Alaihis salam ) Ko Ye Mendha Kis Haal Me Aur Kis Jagah Mila Tha
JAWAB- Wah Mendha Mina Hi Me Sabeer Naami Chattan Se Mutasal Ek Babool Ke Darakht Se Bandha Hua Mila
Nida Aayi Ke Ai Ibrahim Beshak Tum Ne Khwab Sach Kar Diya
ita'At Wa Farma Bardari Kamal Ko Pahuncha Di
Bas Itna Hi Kafi Hai
Ye Fidya Hum Ne Diya Hai Ise Zibah Farmaiye
Aap Ne Palat Kar Dekha Toh Wah Mendha Nazar Aaya
Fir Aap Ne Bahukme Ilaahi Use Zibah Farmaya
( Ibne Kasir Para 23 Ruku 7 )
SAWAL- Hazrat Ibrahim ( Alaihis Salam ) Ne Us Mendhe Ko Kis Jagah Zibah Farmaya Tha
JAWAB- Us Mendhe Ko Aap Ne Mina Hi Me Sabir Se Mutasal Chattan Me Zibah Farmaya
Baaz Kahte Hain Muqame Ibrahim Par Aap Ne Use Zibah Kiya
Aur Baaz Kahte Hain Ki Mina Me Minhar Par
( Ibne Kasir Para 23 Ruku 7 )
SAWAL- Hazrat Ibrahim ( Alaihis Salam ):Ne Us Mendhe Ke Gosht Ka Kya Kiya Tha
JAWAB- Use mendhe Ke Gosht Ko Hazrat Ibrahim ( Alaihis Salam ) Ne Parindon Ko Khila Diya Tha
Kyunki Jannati Hone Ki Wajah se
Us Par Aag Asar Nahi Karti Thi Aur Uske Donon Seeng Sar Samet Kaaba Shareef Par Latka Diye They
Hazrat Ibne Zuber ( Radi allahu Anhuma ) Ke Daure Huqumat Me Jab Baitullah Shareef Me Aag Lagi Thi Us Waqt Tak Sar Aur Seeng Latke Hue They
( Ibne Kasir Para 23 Ruku.7 Hasiya 21 Jalalin Page 377 )
SAWAL- Hazrat Ismail ( Alaihis Salam ) Ne Kitni Shadiyan Ki Aap ki Biwiyon Ke Naam Kya Kya Hain
JAWAB- Aap Ne Do Nikah Farmae
Pahle Qaum Jurham Ke Sardar Ki Beti Amarah Binte Saad Bin Usama Jarahmiya Se Farmaya Kuchh Dinon Bad Use Talaq De Di
Fir Hala Binte Haris Ko Apni
bivi banakar Sharf Bakhsha
Join Free SmS Service On Mobile
Baaz Ne Dusri Zauja Ka Naam Binte Mazaz Bin Umru Al Jurhami Kaha Hai Aur Baaz Ne Salma Bint Al Haris Bin Mazaz
( Merajun Nabuwat Jild 1 Page 137 To 138 )
Pahli Biwi Ko Talaq Dene Ka Waqya Ulmaye Tawarikh Wa Fazlae Awali Shamarikh Yun Bayan Karte Hain
Ki Ek Din Aap Ke Walid Majid Hazrat Ibrahim ( Alaihis Salam ) Aap Ko Dekhne Tashrif Laye
Us Waqt Aap Shikar Ko Tashrif Le Gae They Kun Ki Aap Ki Guzar Auqaat Shikaar Ke Gosht Aur Aabe Zam Zam Par Thi
Hazrat Ibrahim ( Alaihis Salam ) Ne Aap Ki Biwi Ko Darwaze Par Bula Kar Halat Daryaft Farmai
Biwi Boli Hum Bahut Ghareeb Miskeen Hain
Bahut Hi Israt Wa Mushqqat Se Guzaran Karte Hain
Biwi Ne Aap Ki Tawazo Khatir Naa Ki
Hazrat Ibrahim ( Alaihis Salam ) Ne Farmaya Tum Apne Shauhar Se Hamara Salaam Kahna Aur Kahna Ki Apne Darwaze Ki Chaukhat Badal Do
Ki Aisi Chaukhat Is Ghar Ke Layaq Nahin
Shaam Ke Waqt Hazrat Ismail ( Alaihis Salam ) Ne Shikar Se
Aye Toh Makka Ki Gali Kuchon Me Nuraniyat Nabuwat Rahmat Wa Barkat Dekhe
Samajh Gae Ki Walid Muhtaram Tashrif Lae Honge
Apni Biwi Se Daryaft Kiya Kya Aaj Koi Aaya Tha
Biwi Ne Sara Waqya Kah Sunaya
Aap Ne Farmaya Wo Buzurg Mere Walid Muhtaram They Aur Tu Mere Ghar Ki Chaukhat Hai
Wah Mujhe Tujh Ko Talaq Dene Ka Huqm Farma Gaye
Chunanche Aap Ne Use Talaq De Kar Ghar Pahuncha Diya
( Tafsir Naeemi Jild 1 Page 844 )
SAWAL-Hazrat Ismail ( Alaihis Salam ) Ki Umar Shareef Kitni Hui
JAWAB- Aap Ki Umar Shareef 130 Saal Aur Ba Qaule Digar 137 Saal Hui ( Tarikh Tabri Page 208 Merajun Nabuwat Page 138 )
SAWAL- Hazrat Ismail ( Alaihis Salam ) Ki Qabre Anwar Kahan Hai
JAWAB- Aapki Qabre Anwar Baitullah Me Rukn Yamani Aur Rukn Aswad Ke Darmiyan Is Buqae Me Hai Jisko Rozae Min Riyazul Jannat Kahte Hain
Ek Dusre Qaul Ke mutabiq
Aap Ki Qabr Shareef Maqame Jabrun Me Hai
( Albadaya Page 175,220 )
SAWAL- Hazrat Ishaque ( Alaihis Salam ) Hazrat Ismail ( Alaihis Salam ) Se Kitne Chote Hain
JAWAB- Aap HazratcIsmail ( Alaihis Salam ) Se 14 Saal Chote
The
( Tafsir Naeemi Jild 1 Page843 Al itqaan Jild 2 Page 176 )
Dusra Qaul 13 saal Ka Hai
(Hashiya 21 Jalalain Page 185 )
Aur Teesra Qaul 3 Saal Ka Hai
( Ibne Kasir Para 1 Ruku 15 )
SAWAL- Hazrat Ishaque ( Alaihis Salam ) Ke Nana Ka Naam Kya Hai
JAWAB- Aap Ke Nana Jaan Ka Naam Haraan Tha Jo Hazrat Ibrahim ( Alaihis Salam ) Ke Cha Cha They
( Tafsir Naeemi Jild 1 Page 840 )
SAWAL- Hazrat Ishaque ( Alaihis Salam ) Ki Umar Shareef Kitni Hui
JAWAB- Aap Ki Umar Shareef 180 Baras Hui
(Al itqaan Jild 2 Page 176 )
SAWAL- Hazrat Ishaque ( Alaihis Salam ) Ki Qabr Shareef Kahan Hai
JAWAB- Aap Ki Qabr Shareef Baitul Muqaddas Me Hai
( Tafsir Naeemi Jild 1 Page 871 Khazaenul Irfan Para 13 Ruku 5 )
Dusra Qaul Ye Hai Ki Aap Ki Qabr Shareef Jabroon Me Hai
(Albadaya Wal Nihaya Jild 1 Page175-220 )
New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Post ko Like Share Karna Na bhoole
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.in
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣
0 Comments
Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe