Haabeel Aur Qabeel ka Qissa Qurano Hadees Ki Roshni Me


HAABEEL AUR QAABEEL SE
MUTAALLIQ KUCHH SAWAL JAWAB


SAWAL: Haabeel Aur Qaabeel Ke saath jo ladkiyan Paida Hui Thi Unke Naam Kya They


JAWAB: Hazrate HAWWA
( Radiallahu Ta'ala Anha )
Ke Har Hamal Me Ek Ladka Aur Ek Ladki Mutwallid ( Paida )
Hote They
Qaabeel Ke Saath Jo Ladki Hui Uska Naam Aqlima Tha Aur Haabeel Ke Sath Jo Ladki Hui Uska Naam Layuda Tha
(Khazaen Paara 6 Ruku 9)


Ek Riwayat Ye Bhi Hai Ki Haabeel Ke Saath Paida Hone Wali Ladki Ka Naam Yaluda Tha
( Jalalain Hashiya 17 Page 98)


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓

°hazrat-idris-Alaihissalam
°Nabiyon Ka Zikar
°Hazrat-Yusuf-aur-Hazrat-Zulekha-ka-Qissa


SAWAL: Haabeel Aur Qaabeel Ne Qurbaani Ke Liye Kya Kya Pesh Kiya Tha


JAWAB: Qaabeel Ne
Gandum ( Gehun)
Aur Haabeel Ne Ek Bakri Qurbani Ke Liye Pesh Ki Thi
( Khazaenul Irfaan PAARA 6 RUKU 9)


Ek Riwayat Ye Bhi Hai Ki Haabeel Ne Ek Gae ( cow ) Pesh KI THi
( ibne Kaseer PARA 6 RUKU 9 )


Us Qurbaani Ka Mukhtasar ( Short ) Waqiya Yun Hai
Hazrat HAWWA
( Radiallahu Anha ) ke Har Hamal Me Ek Ladka Aur Ek Ladki Paida Hote They
Aur Tariqae Aqad ( Nikaah )
Yun Tha Ki Ek Hamal Ka Ladka Dusre Hamal Ki Ladki Se
Mansub ( Engage ) Kiya Jata Tha
Chunki Aadmi Sirf  AADAM
( Alaihis Salaam ) KI Aulaad Me Munahsar They Toh Munakhat Ki Aur Koi Sabeel Na Thi

Chunanche Qabeel Ke Saath Aqlima Paida hui Jo Husno Jamaal Me Be Mishal Thi
Aur Haabeel Ke Saath Layuda Paida Hui Ye Is Qadar Haseen Na Thi
Jab Ye Charon Baligh (jawan)
Hue Toh Usi
Dastoor Ke Mutabiq Hazrat AADAM ( Alaihis Salam ) Ne

Layuda Ko Qaabeel Ke Liye Namzad Kiya Aur Aqlima Ko Haabeel Ke Liye

Qaabeel Ne Is Tarah nikah Se inkar Kiya Aur Kaha Meri Bahen Haseen Hai Aur Mere Saath Raham ( Maa Ke Pet) Me Rahi Hai Main Uska Haqdaar Hun


Hazrat AADAM ( Alaihis Salaam ) Ne Farmaya Wah Tere Saath Paida Hui Lihaza Teri Bahen Hai
Uske Sath Tera Nikah Halal Nahi
Qaabeel Ne Sarkashi Kar Ke Kaha Ye Aap Ki  Raye Hai

ALLAH TA-AALA Ne Ye Huqm Nahi Diya
Aap Ne Farmaya Acha Dono Ek Ek Qurbaani Karo
Jiski Qurbani Maqbul Ho Jae Wahi Aqlima Ka Haqdar Hai
Us Zamane Me Jo Qurbai Maqbul Hoti Thi Aasman Se Ek Aag Aa Kar Use Kha Leti Thi
Haabeel Qurbani Ke Liye Ek Bakri Laya Ki Wah Bakriyan Hi Paala Karta Tha Aur Qabeel Chunki Kaasht Karts Tha Ek
GanDum(Gehu) Laya

Nagaah Ek Bijli Aai Aur Bakri Ko Le Gai Aur Qaabeel Ki Qurbani Chod Gayi
Qaabeel Ka Ghazab Josh Me Aya
aur Hasad (gelesy )
Me Aaya Aur Qatal Haabeel Ka
Qatal Kar Diya
( Khazaenul Irfan para 6 Ruku 9)


SAWAL: Jis Waqt Qaabeel Ne Haabeel Ko Qatl Kiya Tha Us Waqt Dono Ki Umar Kitni Thi
Aur AADAM ( Alaihis Salam ) Ki Umar Kitni Thi


JAWAB: Qaabeel Ne Jab Haabeel Ko Qatl Kiya Us Waqt Qaabeel Ki Umar 25 Saal Aur Haabeel Ki umar 20 Saal Thi
(alkamil Fil Tarikh Jild 1 Page 18 
Ajaibul Quraan Page 95 )


Aur Hazrat AADAM ( Alaihis Salam ) Ki Umar Sharif 125 Saal Thi
( RuhUl Bayan Jild 2 Page 555)


SAWAL: Qaabeel Ne Haabeel Ko Kis Jagah Qatl Kiya Tha


JAWAB: Qatl Ka Ye Saneha MAKKA Mukarrama Me
Jable Soor Ke Pas Ya Hira Ki ghati Me Waqe Hua tha Aur Baaz Ka Qaul Hai
Basrah Me Jis Jagah Masjide Aazam Bani Hui Hai
( Ajaibul Quraan Page 95 Ruhul Bayan Page 555)


SAWAL:  Qaabeel Ne Haabeel Ko Kis Tarah Qatl Kiya Tha


JAWAB: Iske Mutaaliq Mukhtalif Aqwaal Warid Hain
Ki Qaabeel Ne Haabeel Ko Kis Tarah Qatl Kiya

( 1 ) Hazrat Haabeel Soye Hue They ki Qaabeel Ne Ek Bhari Patthar Se Aap Ka Sar Kuchal Diya

( 2 ) Qaabeel Ne Aap Ko Lohey Se Waar Kar Ke Maara

( 3 ) Baz Kahte Hain Misl Darinde Ke Kat Kat Kar Aap Ko Shaheed kiya

( 4 ) Baz Ye Bhi Kahte Hain Ki Qaabeel Ne Gala Ghount Kar Aap  Ki Jaan Li

( 5 ) Ye Bhi Kaha Gaya Hai Ki Shaitaan Ne Jab Dekha Ki Use Qatl Karne Ka Dhang Nahi Aata Toh Us Lain Ne Ek Janwar Ko Pakda Aur Uska Sar Ek Patthar Par Rakh Kar Oopar Se Dusra Patthar De Mara

Jisse Wah Janwar Using Waqt Mar Gaya
Ye Dekh Kar Qaabeel Ne Bhi Apne Bhai Ke Saath Yahi Kiya

( 6 ) Ye Bhi Marwi Hai Ki Chunki Ab Tak Zameen Par Koi Qatl Nahin Hua Tha Toh Qaabeel Ne Apne Bhai Ko Zameen Par Gira Kar akabhi Uski Aankhen Band Karta Air Kabhi Use Thappad Aur Ghunse Marta

Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓

°Aulia Allah Ka Bayaan
°Nabiyon Ka Zikar
°baitul-khula (Toilet) me Qible-ki-taraf munh-ya Peeth Karne ka Masala

Ye Dekh Kar Iblis Khabees Us Ke Paas Aaya Aur use Batla
Diya Ki Ek Patthar Lekar Us Ka Sar Kuchal Dal
Chunanche Usne Aisa Hi Kiya
Iblis LaYeen Ne Jab Dekha Ki Usne Haabeel Ko Kuchal Dala Toh Ye Malun Daudta Hua
Hazrate HAWWA ( Radiallahu Anha ) Ke Paas Aaya Aur Kaha Qaabeel Ne Haabeel Ko Qatl Kar Diya
Hazrate HAWWA
( Radiallahu Anha ) Ne Pucha Qatl Kya Hota Hai
Usne Kaha Wah Na Khata Pita Hai Na Bolta Chalta Hai Aur Na Hilta Julta Hai
Hazrate Hawwa Ne Kaha Shayad Use Maut Aa Gayi
( Ibne Kaseer Para 6 ruku 9 )


SAWAL: Qaabeel Ne Haabeel Ko Kis Din Qatl Kiya Tha


JAWAB: Qatl Ka Ye Hadsa Mangal Ke Din Waqiya Hua Tha


SAWAL:  Jis waqt Qaabeel Ne Haabeel Ko Qatl Kiya Us Waqt Hazrat AADAM ( Alaihis Salam ) Kahan They


JAWAB: Us Waqt Hazrat AADAM
( Alaihis Salam ) Hajj Baitullah Ke Liye Makka Muazzama Tashrif Le Gae They
Ek Riwayat Ye Bhi Hai KI Haabeel Jungal Me Bakriyan Chara Raha Tha
Toh Usko Aane Me Der Lag Gai Toh Unhen Bulane Ke Liye Hazrat AADAM ( Alaihis Salam ) Ne Qaabeel Ko Bheja
ye Ek Chhuri Apne Saath Chupa Kar Chala Aur Raste Me Hi Dono Bhaiyon Ki Mulaqaat Ho Gai

Qaabeel Ne Kaha Ki Main Tujhe Maar Dalunga Ki Teri Qurbani Qubul Hui Meri Na Hui
Is Par Habeel Ne Kaha ALLAH Mittaqiyon hi Ki Qurbani Qubul Karta Hai
Is Par Wah Jhagda Aur Churi Se Hamla Kar Diya
( Ibne Kaseer Para 6 Ruku 9)


SAWAL: Qaabeel Haabeel Ki Lash Kitne Dinon Tak Lekar Firta Raha


JAWAB: Qatle Haabeel Ke Baad Qaabeel Ko Ye Fikr Hui Ki Ab Is Laash Ko Kya Karun Isi Fikr Me
40 Roz Tak Laash Ko Pusht Pe Lade Biya Ban Me Firta Raha
( Ruhul Bayan Jild 1 Page 555 )


Ek Riwayat Ye Bhi Hai Ki Saal Bhar Tak Laash Ko Apne Kandhon Par Le Kar Firta Raha
( Ibne Kaseer Para 6 Ruku 9 )


NOTE:
koi isse ye na soche ki wo itne din kyu liye firta raha kyunki ye
dunia ka pahla Qatal tha islie usko ilm nahi tha ki iska kya karna haAur jism islie kharab nahi hua kyunki
Alkah k nek bando ka jism
Sadta galta nahi wo to nabi k bete the
Aur Alkah k Wali


SAWAL:  Qaabeel Ne Haabeel Ki Laash Ko Kis Tarah Dafan Kiya


JAWAB: Qaabeel Bad Qatl Haabeel
Hairan Hua Ki Ab Is Laash Ko Kya Karun Kunki Us Waqt Tak Koi Insaan Mara Hi Nahi Tha
Har Taraf Firta Raha
Bill Aakhir  Usne Ek Roz Ye Manzar Dekha Ki Do Kawwe Aapas Me Lade Unme Ek Ne Dusre Ko Mar Dala
Fir Zindah Kawwe Ne Apni Chonch Se  Aur Panjon Se Gad'Dha Kar Ke Murdah Kawwe Ko Laya Aur Usme Rakh Kar Us
Par Khaak Dal Di Ki Murdah Kawwe Ki Laash Chhup Gayi

Ye Dekh Kar Qaabeel Ko Malum Hua KI Murde Ki Laash Ko Dafan Karna Chahiye
Chunanche Usne Bhi Usi Tarah Haabeel Ko Khaak Me Daba Diya
(Khazaenul Irfan Para 6 Ruku 9 )


SAWAL: Hazrat AADAM ( Alaihis Salam ) Ko Qatl Haabeel Ka Ilm Kitne Dinon Ke Baad Hua Aur Kaise


JAWAB: Hazrat AADAM ( Alaihis Salam ) Ziyarate Haram Se Muraj At Farmai Toh
Tamam Sahabzade Isteqbaal Ko Hazir Áae Magar Haabeel Na
Aaya
Aap Ne Haabeel Ko Na Pa Kar Uski Justju Ki Magar Kahin Pata Na Chala
Aap 7 din tak
har jagah Talash kerte
rahe
8 We Shab Ko Aap Ne Khwab Me Dekha Ki Haabeel Khada Pukar Raha Hai Mujhe
Aap Ghabra Kar Chaunk Pade Aur Ek Cheekh Maar Kar Behosh Ho Gaye
Jab Hosh Aaya Toh Ruh Ul Amin Ko Dekha Ki Tashrif Farma Hain

Aap Ne Farmaya
JIBRAIL Haabeel Ki  Kaifiyat Se Kuchh Waqif Ho
Main Abhi Khwab Me Use Bahale Mazlum Wa Bechara Use Dekh Chuka Hun
Aur Wah Fariyad Rasi Chahta Hai

JIBRAIL Ne Kaha Rab TA- AALA Farmata Hai ( Azam Ajrak )
Tumhara Sawab Zabardast Ho Gaya Ki Qaabeel Ne Haabeel Ko Qatl Kar Diya

Aur Wah Usi Wajah
Se Fariyad Karta Hai
Magar Us Waqt Se Ab Tak Koi Uski Fariyad Ko Na Pahuncha Aur Isi Tarah Wah Fariyad karta

Roze Qayamat Uthega
Aadam ( Alaihis Salam ) Jibrail Ko Sath Le Kar Qabre Haabeel Par Pahunche
Aur Is Qadar Ashqe Gham Se
behaal hue
( Auraaqe Gham Page 12 ) 


SAWAL: Hazrat AADAM ( Alaihis Salam ) Haabeel Ke Gham Me Kitne Saal Rote Rahe


JAWAB: Hazrat AADAM ( Alaihis Salam ) Qatle Haabeel Ke Gham Me 40 Saal Tak Rote Rahe
( Albadaya Jild 1 Page 80 )


Aur 100 Saal Tak Aap Ko Hansi Na Aai
( Ajaibul Quraan Page 96 )


SAWAL: Qaabeel Ko Qatle Haabeel Ki Saza Duniya Me Kya Mili Aur Aakhrat Me Kya Milegi


JAWAB: Hazrat Mujahid Ka Qaul Hai Ki Qaabeel Ke Ek Pair Ki Pindli Ko Raan Se Latka Diya Gaya Hai
Aur Uska Munh Suraj Ki Tarf Kar Diya Gaya Hai Ki Suraj Ke Ghumne Ke Sath Ghumta Rahe
Jadon Aur Garmiyon Me Aag
Aur Barf Ke Gadhe Me WOH MuAzzib Hai
( Ruhul Bayan Jild 1 Page 556 )


Hazrat Abdullah Se Marwi Hai Ki Aakhirat Me Use Qatl Ke Kaifare Kirdar Me Tamam Azabe Jahannam Ka Nisf(Adha) Hissa Uske Liye Makhsus Hai
Aur Sabse Bada Azab Ye Hai KI Zameen Ke Har Qatl Ka Gunah Uske Zimme Hai
(Ibne kaseer Para 6 Ruku 9 )


SAWAL: Qaabeel Ki Halakat Kaise Hui


JAWAB: Qaabeel Ko Usi Ke Bete Ne Jo Ki Andha Tha Patthar Mar Mar Kar Halak Kar Diya
( Ruhul Bayan Jild 1 Page 554 )


New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
          www.diniraah.in

Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

0 Comments