HAZRAT IDRIS Alaihissalam

HAZRAT IDRIS Alaihissalam


(1) Hazrat Adam عَلَيـهِ السَّــلَام Ka Aalame Wisaal k Farmane Se 100 Saal Pahle Aap Duniya  Tasreef Laye
( Jalalain Jild 9 Page 276)

Ek Dusri Riwayat Ke Mutabik Hazrat Adam عَلَيـهِ السَّــلَام Ke Inteqaal Ke Waqt Aap Ki Umar Sharif 360 Saal Ki Thi
( Merajun Nabuwwat Jild 1 Page 67 )

(2) Aap Ka Asli Naam AKHNOOKH Hai
( Khazaenul Irfaan Jild 8 Page 15 )

Hazrat Wahab Bin Manba Kahte Hain KI Aap Ka Asli Naam Khanoon Hai
( Al Atqaan Jild 1 Page 175 )

(3) Allah ki Kitab KI Kasrate Dars Ki Wajah se Aap Ka Naam Idris Hua
( Khazaenul Irfan Jild 16 Page 7)

Ya Is Wajah Se KI Sab Se Pahle Aap Hi Ne Kitaab Ka dars Diya
( Tafseer SaaWi Jild 3 Page 32)

(4) Hazrat Aadam عَلَيـهِ السَّــلَام Tak Aap Ka Silsilae Nasb Is Tarah Hai  Idris Ibn Yaraw. Ibn Malahmil Il Ibn  Qinaan Ibn anoosh. Ibn sheesh  Ibn Aadam عَلَيـهِ السَّــلَام
( Tafsir Naimi Jild 1 Page 810 )

Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓

Allama Jalal Uddin Sayuti ( Rahmatullahi Alaih )
Ne Is Tarah Bayan Farmaya Hai
Idris Bin Yarad Ibn Mahla bil  ibn Anoosh Ibn Qinaan Ibn Sheesh Ibn Adam عَلَيـهِ السَّــلَام
( Al itqaan Jild 1 Page 175 )


(5) Aap Hazrat Nooh عَلَيـهِ السَّــلَام Ke Walid Ke Dada Hain
( Khzaenul Irfaan Mild 8 Page 15 )

Ek Riwayat Ye Bhi Hai KI Aap Ka Zamana Hazrat Nuh عَلَيـهِ السَّــلَام Ke Bad Hai
( Al itqaan Jild 2 Page 175)


(6) Aap Ne  65 Saal KI Umr Sharif Me Barukha Nami Aurat Se Nikah Farmaya
Aur Unse Ek Farzand Mutwalid ( Paida ) Hua Jiska Naam Matushalkh Rakha
(Merajun Nabuwwat Jild 1 Page 67)

(7) ALLAH' Taqaddus Wa TA- AALA Ne Apne Khzanae Kalaam Se 30 Sahife (kitabe) Aap Par Nazil Farmaye
( Khzaenul Irfan Jild 16 Page 7)

(8) Hazrat Kaab Ahbar Waghairah Se  Marwi Hai KI Hazrat Idris عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Malqul Maut Se Farmaya Mai Maut Ka Mazah Chakhna Chahta Hun Kaisa Hota Hai
TumMeri Ruh Qabz Kar Ke Dikhao Malqul Maut Ne Us Hukm Ki Tawil Ki Aur Ruh Qabz kar Ke Usi Waqt Aap KI Taraf Lauta Di

Aap Zindah Ho Gaye Fir Farmaya Mujhe Jahannum Dikhao Taaki Khaufe Ilaahi Zyadah Ho
Chunanche Ye Bhi Kiya Gaya  Jahannum Dekh Kar Aapne Daroghae Jahannum Hazrat Maalik Se Farmaya Darwazah Kholo Main Is Par Se Guzarna Chahta Hun

Darogae Jahannum Ne Aisa Hi Kiya Aap Us Par Se Guzre
Fir Aap Ne Malqul Maut Se Farmaya Mujhe Jannat Dikhao

Malqul Maut Aap Ko Jannat Le Gae
Jannat Ka Darwazah Khol Kar Aap Andar Dakhil Hue
Thodi Der Intezar Ke Baad Malqul Maut Ne Kaha Ab Aap Wapas Tashrif Laiye Aur Apne Maqaam Par Chaliye

Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓

Hazrat Idris عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Farmaya Ab Mai Yahan Se Kahin Na Jaunga

ALLAH' TA-AALA Ne Farmaya Hai ( Kullo Nafsin Zaeqatul Maut) Toh WO Mai Chakh Hi Chuka Hun

Aur ALLAH' Ka Farman( Wa An Minkum Ala wa Ardaha ) Ke Har Shakhs Ko Jahannam Par Se Guzarna Hai Toh Main Guzar Chuka

Ab Main Jannat Me Pahuch Chuka Hun Aur Jannat Me Pahuchne Walon Ke Liye Rabb TA-AALAA  Ne Farmaya Hai (Wamahum Minha Be Mukhrejin) Ke Wah Jannat Se Nikale Na Jaenge

Ab Tum Mujhse Jannat Se Chalne Ko Kyun Kahte Ho
ALLAH' TA-AALA Ne Malqul Maut Ko Wahi Farmai Hazrat Idris Ne Jo Kuch Kiya Mere Azn (Marzi) Se Kiya Aur Mere Hi Azn Se Jannat Me Dakhil Hue
Lihaza Unhe Chod Do Wah Jannat Me Hi Rahenge
(Khazaenul Irfan Jild 16 Page 7)


(9) Is Mutaalliq Kai Aqwaal Warid Hain Ki Aap Zahiri Hayaate Tayyaba Ke Saath Kahan Maujud Hain

(1) Hazrar Kaab Ahbar Waghairah Se Marwi Hai KI Aap Jannat Me Gain ( Jaisa KI Piche Ghuzra )

(2) Bukhari wa Muslim Ki Hadis Shareef Me Hai Saiyade Aalam ne Shabe Meraaj Me Aap Ko رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم Aasmaan Chaharam ( Chaute Aasmaan ) Me Dekha

(3) Aap Chhathe Aasmaan Me Hain

(4) Aap Satwen Aasmaan Me Hain
( Hashiya 16 Jalalain Page 275)


(10) Ibn Qateeba Ne Kaha Hai Ki Us Waqt Aap Ki Umar Sharif 350 Saal Thi
( Al itqaan Jild 2 Page 175 )

Aur Ek Riwayat Mei Hai KI Us Waqt Aap KI Umar 400 Saal Thi
( Jalalain Jild 9 Page 276 )

(11) Hazrat Idris عَلَيـهِ السَّــلَام Doshamba ( Monday ) Ke Din Aasmaan Par Uthae Gae They
(Nuzhatul Majalis Jild 4 Page 47)



Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
          www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

0 Comments