Sab Se Pahle Rasool Kaun Hain
SAWAL - Sab Se Pahle Rasool Kaun Hain
Jawab - Sab Mein Pahle Rasool Jo Kuffar Par Bheje
Gaye Hazrat NooH
( Alaihissalam ) Hain
( Sahih Muslim Kitabul Iman Hadees 193 Page 122 )
Unhon Ne 950 Baras Hidayat Farmaayi Unke Zamane Ke Kuffar Bahut Sakht They
Har Qism Ki Taqlifen Pahunchate
Pareshan Karte Itne Arse Mein Ginti Ke Log Musalman Hue
Jab Baqiyon Ko Mulahiza Farmaya Ki Harghiz Islah Pazir Nahin
Hath Dharmi Aur Kufr Se Baaz Na Aaen Gey
Majboor Ho Kar Apne Rabb Ke Huzur Unke Halaak Ki Dua Ki
Toofaan Aaya Aur Sari Zameen Doob Gayi
Sirf Wah Ginti Ke Musalman Aur Har Janwar Ka Ek- Ek Joda Jo Kashti Mein Le Liya Gaya Tha Bach Gaye