Shauhar Ke Sath Zindagi Basar Karne Ka Tareeqa
Agar Aapne Pichhle Parts 1 aur 2 Nahi Padhe hoto
YePadh Lijiye👇👇
Shauhar-ke-sath-zindagi-basar-karne-ka-Tareeqa Part-1

Part-3
(6) Biwi Ko Lazim Hai Ki Hamesha Uthtey Baithtey Baat Chit Mein Har Halat Mein Shauhar Ke Samney Ba Adab Rahe
Aur Uske Aizaz Wa Iqraam Ka Khayal Rakhey
Shauhar Jab Kabhi Bhi Bahar Se Ghar Mein Aaye
Toh Aurat Ko Chahiye Ki Sab Kaam Chod Kar Uth Khadi Ho
Aur Shauhar Ki Taraf Mutwajjah Ho Jaye
Uski Mijaz Pursi Kare Aur Fauran Hi Us Ke Aram Wa Rahat Ka Intezam Kare
Aur Us Ke Sath Diljoi Ki Batein Kare
Aur Harghiz Koi Aisi Baat Na Sunae Na Koi Aisa Sawal Kare Jis Se Shauhar Ka Dil Dukhey
(7) Agar Shauhar Ko Aurat Ki Kisi Baat Par Ghussa Aa Jaye
Toh Aurat Ko Lazim Hai Ki Us Waqt Khamosh Ho Jaye
Aur Us Waqt Harghiz Koi Aisi Baat Na Bole Jis Se Shauhar Ka Ghussa Aur Zyadah Badh Jaye
Aur Agar Aurat Ki Taraf Se Koi Qusur Ho Jaye
Aur Shauhar Ghusse Mein Bhar Kar Aurat Ko Bhala Bura Kah De
Aur Naraz Ho Jaye Toh Aurat Ko Chahiye
Ki Khud Rooth Kar Aur Gaal Fula Kar Na Baith Jaye
Balki Aurat Ko Lazim Hai Ki Fauran Hi Ajizi Aur Khushamad Kar Ke Shauhar Se Muaafi Mangey
Aur Haath Jod Kar Paon Pakad Kar
Jis Tarah Wo Maney Use Manaye
Agar Aurat Ka Koi Qusur Na Ho Balki Shauhar Ka Hi Qusur Ho
Jab Bhi Aurat Ko Tan Kar Aur Munh Bigad Kar Baith Nahin Rahna Chahiye
Balki Shauhar Ke Samne Ajizi Wa Inkasari Zahir Kar Ke Shauhar Ko Khush Kar Lena Chahiye
Kunki Shauhar Ka Haq Bahut Bada Hai
Uska Martaba Bahut Buland Hai
Apne Shauhar Se Muaafi Talafi Karne Mein Aurat Ki Koi Zillat Nahin Hai
Balki Yeh Aurat Ke Liye Izzat Aur Fakhr Ki Baat Hai
Ki Woh Muaafi Mang Kar Apney Shauhar Ko Razi Kar Le
(8) Aurat Ko Chahiye Ki Woh Apne Shauhar Se Uski Amdani Wa Kharch Ka Hisab Na Liya Kare
Kunki Shauharon Ke Kharch ParAurton Ke Rok Tok Lagane Se Amuman Shauharon Ko Chidh Paida Ho Jati Hai
Aur Shauharon Par Ghairat Sawar Ho Jati
Hai Ki Meri Biwi Mujh Par Huqumat Jatati Hai
Aur Meri Amdani Aur Kharch Ka Hisab Leti Hai
Is Chidh Ka Anjam Yeh Hota Hai Ki
Rafta-Rafta Miyan Biwi Ke Dilon Mein Ikhtelaf Paidah Ho Jaya Karta Hai
Isi Tarah Aurat Ko Chahiye Ki Apne Shauhar Ke Kahin Ane Jane Par Rok Tok Na Kare
Shauhar Ke Chal Chalan Par Shubha Aur Badghumani Kare
Ki Is Se Miyan Biwi Ke Ta-alluqat Mein Fasad Wa Kharabi Paida Ho Jati Hai

(9) Jab Tak Saas Aur Sasur Zindah Hain
Aurat Ke Liye Zaruri Hai Ki In Donon Ki Bhi Ta-a bedari Aur Khidmat Ghuzari Karti Rahe
Aur Jahan Tak Mumkin Ho Sake In Dono Ko Raazi Aur Khush Rakhe
Warna Yaad Rakho Ki Shauhar In Donon Ka Beta Hai
Aur Agar In Donon Ne Apne Bete Ko Daant Dapat Kar Chaanp Chdha Di
Toh Yaqeenan Shauhar Aurat Se Naraz Ho Jayega
Aur Miyan Biwi Ke Darmiyan Bahmi Taalluqaat Tahas Nahas Ho Jayenge
Isi Tarah Apne Jethon Dewaron Aur Nandon Bhawajon Ke Sath Bhi Khush Akhlaqi Barte
Aur In Sabhon Ki Diljoi Mein Lagi Rahe
Aur Kabhi Harghiz-Harghiz In Mein Se Kisi Ko Naraz Na Kare
Warna Dhyan Rahe Ki In Logon Se Bigaad Ka Nateejah
Miyan Biwi Ke Ta-alluqaat Ki Khrabi Ke Siwa Kuch Bhi Nahin
Aurat Ko Sasural Mein Saas Sasur Se Alag Thalag Rahne Ki Harghiz Kabhi Koshish Nahin Karni Chahiye
Balki Mil Jul Kar Rahne Mein Hi Bhalai Hai
Kunki Saas Sasur Se Bigaad Aur Jhagde Ki Yahi Jad Hai
Aur Yeh Khud Sochne Ki Baat Hai
Ki Maan Baap Ne Ladke Ko Pala Posa Aur Is Ummeed Par Uski Shadi Ki
Ki Budhape Mein Hum Ko Bete Aur Uski Dulhan Se Sahara Aur Araam Milega
Lekin Dulhan Ne Ghar Mein Qadam Rakhte Hi Is Baat Ki Koshish Shurua Kar Di
Ki Beta Apne Maan Baap Se Alag Thalag Ho Jaye
Toh Tum Khud Hi Socho Ki Dulhan Ki Is Harqat Se Maan Baap Ko Kis Qadar Ghussa Aayega
Aur Kitni Jhunjhlahat Paida Hogi
Is Liye Ghar Mein Tarah-Tarah Ki Badghumaniyan
Aur Qism-Qism Ke Fitna Wa Fasad Shurua Ho Jate Hain
Yahan Tak Ki Miyan Biwi Ke Dilon Mein Foot Paida Ho Jati Hai
Aur Jhagde Taqrar Ki Naubat Aa Jati Hai
Aur Fir Poore Ghar Walon Ki Zindagi Talkh Aur Taalluqat Darham Barham Ho Jate Hain
Lihaza Behtari Isi Mein Hai Ki Saas Aur Sasur Ki Zindagi Bhar Harghiz Kabhi Aurat Ko Alag Rahne Ka Khayal Bhi Nahin Karna Chahiye
Haan Agar Saas Aur Sasur Khud Hi Apni Khushi Se Bete Ko Apne Se slag Kar Dein
Toh Fir Alag Rahne Mein Koi Harj Nahin
Lekin Alag Rahne Ki Soorat Mein Bhi Ulfat Wa Muhabbat
Aur Mel Jol Rakhna Intehai Zaroori Hai
Taki Har Mushkil Mein Poore Kunbe Ko Ek Dusre Ki Imdaad Ka Sahara Milta Rahe
Aur It-tefaq Wa It-tehaad Ke Sath Poore Kunbe Ki Zindagi Jannat Ka Namoona Bani Rahe

Jald Hi Iska Agla Part Post kia Jayega Aap Hamari Web Dekhte Rahe Rozana Visit Kare
Aapko Kuch Na Kuch Naya
Zaroor Milega
Aur Post ko Share Karte Rahe Sawabe Zariya Hai

Ye bhi Padhen 👇👇
1 Comments
Assalamu alaikum..Mai bangaloresa bol rahi hum. Jab meri shaadi huva jab sa lekar mera shauhar ku koi rozi ghat huva.. meri sasural ghar kae log muja tudakar mera shauhar ku saudi ku bhej kar unka kamai mein aas karai.. meri shauhar koi meri naat nahi sunrahin. Pls muja help kariyae.. meri shauhar meri baat sunnaka liya mai kya dua padna? Aur meri shauhar rozi ma khayal rakk kar rozi peh chalnae mai kaisa kya namaaz aur dua padna hai?
ReplyDeleteNiche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe