AURAT ISLAAM SE PAHLE

AURAT ISLAAM SE PAHLE kya thi uski haalat


AURAT ISLAAM SE PAHLE



Islaam Dunia Ka Sabse Purana Mazhab Hai Kyunki Pahle Insan Musalman The Saare Dunia Ke Maap Aadam Alaihissalam hai jo Ki Musalman the

Yahan Us Dour Ka Zikar Kia Ja Raha Hai
Jab Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam
Tasreef Nahi Laaye The Yaani Doure Jahiliyat Ka Zikar kia Jaega

Islaam Se Pahle Aurton Ka Haal Bahut Kharab Tha

Duniya Mein Aurton Ki Koi Izzat Wa Wuqat Hi Nahi Thi

Mardon Ki Nazar Mein Is Se Zyadah Aurton Ki Koi Haisiyat Hi Nahin Thi

Ki Woh Mardon Ki Nafsani Khwahish Puri Karne Ka Ek Khilauna Thi

Aurat Din Raat Mardon Ki Qism-Qism Ki Khidmat Karti Thin

Aur Tarah-Tarah Ke Kamon Se yahan Tak Ki Dusron Ki Mehnat Mazduri Kar ke Jo Kuch Kamati Thi Wo Bhi Mardon Ko De Diya Karti Thin

Magar Zalim Mard Fir Bhi In Aurton Ki Koi Qadr Nahin Karte The

Balki Janwaron Ki Tarah In Ko Maarte Pit Tey The

Zara-zara Si Baat Par Aurton Ke Kaan Naak Waghairah Azah Kaat Liya Karte They
Aur Kabhi Qatl Bhi Kar Dalte They


AURAT ISLAAM SE PAHLE


Arab Ke Log Ladkiyon Ko Zindah Dafan Kar Diya Karte They
Aur Baap Ke Marne Ke Baad Uske Ladkey Jis Tarah Baap Ke Samaan Jayedaad Ke Maalik Ho Jaya Karte They

Isi Tarah Apne Baap Ki Biwiyon Ke Maalik Ban Jaya Karte They
Aur In Aurton Ko Zabardasti Laundiyan Bana Kar Rakh Liya Karte They

Aurton Ko In Ke Maan Baap Bhai Bahan Ya Shauhar Ki Meeraas Mein Koi Hissa Nhin Milta Tha

Na Aurtein Kisi Chize Ki Maalik Hua Karti Thin

Arab Ke Baaz Qabilon Mein Ye Zalimana Dastoor Tha Ki Bewa Ho Jane Ke Baad
Aurton ko Ghar Se Bahar Nikaal Kar Ek Chhotey Se Tang Wa Tareeq Jhopdey Mein Ek Saal Tak Qaid Rakha Jata Tha

Woh Jhopdey Se Baahar Nahin Nikal Sakti Thin
Na Ghusl Karti Thin Na Kapdey Badal Sakti Thin

Khana Pani Apni Saari Zaruraten Isi Jhopdi Mein Pura Karti Thin

Bohat Si Aurten Toh Ghut Ghut Kar Mar Jaya Karti Thin

Aur Jo Zindah Bach Jaatin Ek Saal Baad Inke Aanchal Mein Oonth Ki Mengniyan Daal Di Jaati Thin

Aur Inko Majboor Kiya Jaata Tha Ki Woh Kisi Janwar Ke Badan Se Apne Badan Ko Ragdeyn

Fir Sare Shaher Ka Isi Libaas Mein Chakkar Lagayen
Aur Udhar Oonth Ki Mengniyan Fenkti Hui Chalti Rahen

Yeh Is baat Ka Elaan Hota Tha Ki In Aurton Ki Iddat Khatm Ho Gai

Isi Tarah Dusri Bhi Tarah-Tarah Ki Kharab Aur Taqleef Deh Rasmein Thin

Jo Ghareeb Aurton Ke Liye Musibataon Aur Balaon KI Pahad Bani Hui Thin

Aur Bechari Museebat Ki Mari Aurtein Ghut-Ghut Kar Aur

 Ro-Ro Kar Apni Zindagi Ke Din Guzarti Thin


AURAT ISLAAM SE PAHLE



Hindustan Mein Toh Bewa Aurton Ke Saath Aise-Aise Dardnaak Zalimana Suluk Kiye Jate They

 Ki Jin Ko Soch Kar Kaleja Munh Ko Aa Jata Hai

Hindu Dharm Mein Har Aurat Ke Liye Farz Tha Ki Woh

 Zindagi Bhar Qism-Qism Ki Khidmatein Karke Pati Puja          ( Shauhar Ki Puja ) Karti Rahe

Aur Shauhar Ke Marne Ke Baad Uski Chitaa Ki Aag Ke Sholon

 Par Zindah Lait Kar Sati HoJaye

Yani Shauhar Ki Laash Ke Sath Zindah Aurat Bhi Jal Kar Raakh Ho Jaye

Gharz Puri Duniya Mein Zalim Beraham Mard Aurton Par

Aise -Aise Zulmo Sitam Ke Pahad Todte They

Ki In Zalimon Ki Dastaan Sun Kar Ek Dardmand Insaan

Ke Seeney Mein Ranjo Gham Se Dil Tukdey-Tukdey Ho Jata Hai

In Mazlum Aur Bekas Aurton Ki Majboori Wa Lachari Ka Yeh Aalam Tha

Ki Samaj Mein Na Aurton Ke Koi Huqooq They Na Inki
 Mazlumiyat Par Daado Fariyad Ke Liye Kisi Qanoon Ka Koi Sahara Tha

Hazaron Baras Tak Ye Zulmon Sitam Ki Mari Ye Dukhyari

 Aurtein Apni Is Be Kasi Aur Lachari Par Roti Bilbilati Aur Aansun Bahati Rahin

Magar Duniya Mein Koi Bhi In Aurton Ke Zakhmon Par Marham Rakhne

Wala Aur Inki Mazlumiyat Ke Aansuon Ko Ponchne Wala

 Door-Door Tak Nazar Nahin Aata Tha

Na Duniya Mein Koi Bhi Inke Dukh Dard Ki Fariyad Sunne Wala tha

Na Kisi Ke Dil Mein In Aurton Ke Liye Baal Barabar Bhi Rahmo Karam Ka Jazba Tha

Aurton Ke Is Haale Zaar Par Insaniyat Ranjo Gham Se Bechain Aur Be Qarar Thi

Magar Iske Liye Iske Siwa Koi Charah Kaar Nahin Tha Ki Woh Rahmate Khudawandi Ka Intezar kare

Ki Arhamar-Rahimeen Ghaib Se Koi Aisa Saman PaidaFarma De

Ki Achanak Sari Duniya Mein Ek Anokha Inqelaab Namudaar Ho Jaye

Aur Lachar Aurton Ka Sara Dukh -Dard Door Ho Kar In Ka Beda Par Ho Jaye

Chunanchey Rahmat Ka Aaftaab Jab Tulu-a Ho Gaya

 Toh Sari Duniya Ne Achanak Mahsus Kiya Ki

"JAHAN TAAREEQ THA ZULMAT QADA THA SAKHT KAALA THA
KOI PARDEY SE KYA NIKLA
 KI GHAR-GHAR MEIN UJAALA THA"

Agli Post
Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► AURAT KYA HAI
► AURAT-ISLAAM-AANE-KE-BAAD

Post a Comment

2 Comments

  1. meri biwi bahot nek or paband he vo 5 waqt ki namaz pabandi ke saath padhti he aur quran ki tilavat bi der rat tak karti he vo bahut dharmik he vo apne sohar ko wqt nahi de pati ab is masle me use kuch bi keh nahi sakta vo mere sath bistar bi ser nahi karti aur pabandi se namaz padhti he to ese me me kya karu ke vo muje wqt de paye ky islam me sohar ko naraz karke khuda ki bandagi ki ja sakti he

    ReplyDelete
  2. Sabse Zyada Aurat Par Haq Uske Shouhar ka hai
    Ek Hadees me likha hai ki Aurat Pahle Apne Shouhar Ka Haq Adaa Kare Nafli Roze Namaz Ke lie Shouhar ko Naraz Karna jaiz Nahi Pahle Shouhar ka Haq Zaroori

    ReplyDelete

Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe