Shauhar Ke Sath Zindagi Basar Karne Ka Tareeqa
Agar Aapne Pichhla Part-1 Nahi Padha hoto
YePadh Lijiye👇👇
Shauhar-ke-sath-zindagi-basar-karne-ka-Tareeqa Part-1
Shauhar-ke-sath-zindagi-basar-karne-ka-Tareeqa Part-1
(3) Aurat Ko Lazim Hai Ki Shauhar Ko Kabhi Jali Kati Batein Na Sunaye
Na Kabhi Us Ke Samne Ghussey Mein Chilla-Chilla Kar Boley
Na Uski Baton Ka Kadwa Teekha Jawab De Na Usko Kabhi Tanah Mare
Na Kosney De Na Uski Layi Hui Chizon Mein Aib Nikaley
Na Shauhar Ke Makaan Saamaan Waghairah Ko Haqeer Bataye
Na Shauhar Ke Maan Baap Ya Uske Khandaan Ya Uski Shaklo Surat Ke Bare Mein Koi Aisi Baat Kahe
Jis Se Shauhar Ke Dil Ko Theys Lagey Aur Khwahamkhwah Usko Sun Kar Bura Lagey
Is Qism Ki Baaton Se Shauhar Ka Dil Dukh Jata Hai
Aur Rafta -Rafta Shauhar Ko Biwi se Nafrat Honey Lagti Hai
Jis Ka Anjaam Ladai Jhagdey Ke Siwa Kuch Bhi Nahin Hota
Yahan Tak Ki Miyan Biwi Mein Zabardast Bigaad Ho Jata Hai
Jiska Nateeja Yeh Hota Hai Ki Ya To Talaq Ki Naubat Aa Jati Hai,
Ya Biwi Apne Maike Mein Baithe Rahne Par Majboor Ho Jati Hai
Aur Apni Bhawajon Ke Taaney Sun-Sun Kar Kuft Wa Ghutan Ki Bhatti Mein Jalti Rahti Hai
Aur Maike Aur Sasuraal Walon Ke Donon Khandanon Mein Bhi Isi Tarah Ikhtelaaf Ki Aag Bhadak Uthti Hai
Ki Kabhi Court Kachahri Naubat Aa Jati Hai
Aur Kabhi Maar Peet Ho Kar Muqaddmaat Ka Ek Na Khatm honey Wala silsilah Shurua Ho Jata Hai
Aur Miyan Biwi Ki Zindagi jahannam Ban Kar Reh Jati Hai
Aur Donon Khandaan Lad Bhid Kar Tabaah Wa Barbaad Ho Jatey hain
Ye Bhi Padhen ↓↓↓↓
- Haiz (Period) va Nifas ke Masail menstruation
- Kuchh Zaruri Masail
- Ghusal ka Tareeqa
- Sohbat (humbistari) ka Islamic Tariqa
Balki Jo Kuch Mile is Par Sabro Shukr Ke Sath
Apna Ghar Samajh Kar Hansi Khushi Ke Sath Zindagi Basar Kare
Agar Koi Zewar Ya Kapda Ya Saman Pasand Aa Jaye
Aur Shauhar Ki Maali Halat Aisi Nahin Ki Woh Is Ko La Sake
Toh Kabhi Harghiz Shauhar Se Is Ki Farmaish Na Kare
Aur Apni Pasand Ki Chizen Na Milne Par Kabhi Harghiz Shiqwah Shiqayat Na Kare
Na Ghussey Mein Munh Fulaye Na Tana Mare Na Afsos Zahir Kare
Balki Behtarin Tariqa Ye Hai Ki Aurat Shauhar Se Kisi Chiz Ki Farmaish Hi Na Kare
Kunki Baar -Baar Ki Farmaishon Se Aurat Ka Wazan Shauhar Ki Nigah Mein Ghat Jata Hai
Haan Agar Shauhar Khud Puche Ki Main Tumhare Liye Kya Laun
Toh Aurat Ko Chahiye Ki Shauhar Ki Maali Haisiyat Dekh Kar Apni Pasand Ki Chiz Talab Kare
Aur Jab Shauhar Chiz Laye Toh Woh Pasand Aaye Ya Na Aaye
Magar Aurat Ko Hamesha Yahi Chahiye
Ki Woh Is Par Khushi Ka Izhaar Kare
Aisa Karne Se Shauhar Ka Dil Badh Jayega
Aur Uska Hausla Buland Ho Jayega
Aur Agar Aurat Ne Shauhar Ki Laai Hui Chiz Ko Thukra Diya
Aur Us Mein Aib Nikala Ya Use Haqeer Samjha
Toh Is Se Shauhar Ka Dil Toot Jayega
Jis Ka Natijah Yeh Hoga Ki
Shauhar Ke Dil Mein Biwi Ki Taraf se Nafrat Paida Ho Jayegi
Aur Aage Chal Kar Jhagde Ladai Ka Bazar Garam Ho Jayega
Aur Miyan Biwi Ki Shadmani Wa Masarrat Ki Zindagi Khaaq Mein Mil Jayegi
(5) Aurat Par Lazim Hai Ki Apne Shauhar Ki Surat Wa Seerat Par
Na Tana Mare Na Kabhi Shauhar Ki Tahqeer Aur Uski Na Shukri Kare
Aur Harghiz -Harghiz Kabhi Is Qism Ki Jali Kati Boliyan Bole
Ki Haye "ALLAH" Main Kabhi Is Ghar Mein Sukhi Nahin Rahi
Haye Haye Meri Toh Sari Umr Musibat Hi Mein Kati
Is Ujdey Ghar Mein Aa Kar Main Ne Kya Dekha
Mere Maan Baap Ne Mujhe Bhaad Mein Jhonk Diya Ki Mujhe Is Ghar Mein Byah Diya
Mujh Nigodi Ko Is Ghar Mein Kabhi Aaram Naseeb Nahin Hua
Haye Main Kis Fakkad Aur Dalidar Se Byahi Gayi
Is Ghar Mein Toh Hamesha Ullu Hi Bolta Raha
Is Qism Ke Tanon Aur Kosnon Se Shauhar Ki Dilshikni Yaqeeni Taur Par Hogi
Jo Miyan Biwi Ke Nazuk Ta-allukat Ki Gardan Par Churi Fer Dene Ke Barabar Hai
Zahir Hai Ki Shauhar Is Qism Ke Tanon Aur Kosnon Ko Sun-Sun Kar Aurat Se Bezaar Ho Jayega
Aur Muhabbat Ki Jagah Nafrat Wa Adawat Ka Ek Aisa Khatarnaak Tufaan Uth Khada Hoga
Ki Miyan Biwi Ke Khush Gawar Ta-alluqaat Ki Naaw Doob Jayegi
Jis Par Tamam Umr Pachtana Padega
Magar Afsos Ki Yeh Adat Balki Fitrat Ban Gayi Hai
Ki Woh Shauharon Ko Taney Aur Kosne Deti Rahti Hain
Aur Apni Duniya Wa Akhrat Ko Tabah Wa Barbaad Karti Rahti Hain
Hadees Shareef Main Hai Ki "RASOOL ALLAH" (Sallallahu alaihi wasallam) Ne Farmaya
Ki Main Ne Jahannam Main Aurton Ko ba kasrat Dekha
Yeh Sun Kar Sahabae Ikraam Ne Poocha
Ki Ya Rasool Allah ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Iski Kya Wajah Hai
Ki Aurtein Ba Kasrat Jahannam Main Nazar Aain
Toh Aap ( Sallallahu alaihi wasallam) Ne Farmaya
Ki Aurton Main Do Buri Khaslaton Ki Wajah Se
Ek Toh Yeh Ki Aurtein Dusron Par Bahut Laan Taan Karti Rahti Hain
Dusri Yeh Ki Aurtein Apne Shauharon Ki Nashukri Karti Rahti Hain
Chunanchey Tum Umr Bhar In Aurton Ke Saath Achchey Se Achcha Sulook Karte Raho
Lekin Agar Kabhi Zara Ek Kami Tumhari Taraf Se Dekh Lengi
Toh Yahi Kahengi Ki Main Ne Tum Mein Koi Bhalai Dekhi Hi Nahin
Jald Hi Iska Agla Part Post kia Jayega Aap Hamari Web Dekhte Rahe Rozana Visit Kare
Aapko Kuch Na Kuch Naya
Zaroor Milega
Aur Post ko Share Karte Rahe Sawabe Zariya Hai
Aapko Kuch Na Kuch Naya
Zaroor Milega
Aur Post ko Share Karte Rahe Sawabe Zariya Hai
Ye bhi Padhen 👇👇
0 Comments
Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe