Qurbani Karne Wale Baal Aur Nakhoon Na Katen

Qurbani Karne Wale Baal Aur Nakhoon Na Katen

Qurbani Karne Wale Baal Aur Nakhoon Na Katen



*SAWAL*

Sawal:
jin mard Aurat Par Qurbaani Wajib hai
Unke lie Chand Raat se Pahle konsa Amal hai
Baal Wa Nakhoon ka
Aur jinke Zimme Nahi Unke
Lie kya hukm

Jawab:
Baal Va Nakhoon Katwane ka hukm
Hadees
Nabi-e-kareem ﷺ
Ne Farmaya jisne Zilhijja(Bakra Eid) ka chand dekh lia
Aur Uska Iraada Qurbani ka hai to
jabtak Qurbani na karle
Baal Aur Nakhoon kate
(Muslim Sharif, Tirmizi Sharif, Nasai Sharif)

Mas'Ala:
jiska Qurbani Karne ka Iraada hai to Uske liye Mustahab hai Chand dikhne ke baad
Nakhoon Aur Baal na katwaye

Mas'Ala
Agar kisi Shakhs ne 31 din se
Kisi Uzar(majboori) ki Wajah se
Chahe bila majboori ke Sharmgaah (Gupt Jagah) Aur Bagal ke baal
na kate hon
Aur Bakra Eid ka Chand dikh gya ho
Aur Wo Qurbani ka Iraada rakhta ho
To Is Mustahab Amal par bhi Amal
Na Kare kyunki Jabtak Eid hogi Usey baal kaate hue
41 Din hojaenge Aur 40 Din se
Zyada  Deri  Karna Haraam hai
(Fatwa e RazVia Vol 8 Page 358)

Mas'Ala jise Dusre Ya Teesre Din
Qurbani karni hai
Uske lie Behtar yeh hai ki
Dusre Ya tisre Din Qurbani ke baad Baal wa Nakhoon Kaate

Mas'Ala
Eid ki Namaz Ke Baad Aur
Aur Qurbani Se Pahle Nakhoon Aur
Baal Katwa liye Tab bhi koi harj nahi


Masail
Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Namaze-Janaza-Mai-Takbir-Ke-Waqt-Aasman-Ki-Taraf-Munh-Uthana
► Janaze-Ko-Kandha-Dene-Ka Tareeqa

Jo Qurbani ki Taqat na rakhta ho
Uski Qurbani


Hadees
Raawi Hazrat Abdullah bin Umar (Radiallahu taala Anhu)
Ek Shakhs ne Arz kia
Ya Rasool Allah ﷺ
Mujhe Ye Bataye ki Agar Mere Paas Menha ke
Siwa koi Janvar Na ho to
kya uski Qurbani kardu
(Menha Us Janvar ko kehte hain
Jo dusre ne Usey isliye dia hai ki Kuchh dino
Uske Doodh Vagerah Se Fayda uthaye fir Uske Malik ko Wapis Karde)
Nabi-e-Kareem ﷺ Nahi,
Lekin Tum Apne Baal Aur Nakhoon
Katwao Aur
Moye zaire Naaf(Gupt Ang) ke baal
Kato Isme Tumhari Qurbani
Khuda E Taala ke Nazdiq Poori hojaegi
Yani Jisko Qurbani ki Tofeeq Na ho to Usey In chizon ke Karne Se Qurbani ka Sawab Milega
(Abu Dawd Sharif , Nasai Sharif)

Allah hum Sabhi ko In
Sabhi Islami Masail Par Amal Karne ki toufeeq Ataa Farmaye Aameen