Ghusl Ka Bayan Aur Masnoon Tariqa Wa Masle Masail
Ghusl Mein Teen Chizen Farz Hain
Agar Inme Se Kisi Ek Ko Chod Diya Ya In Me Se Kisi Me Koi Kami Kardi Toh Ghusl Nahin Hoga
( Durre Mukhtar Radul Muhtar Kitabul Taharat Jild 1 Page 311 )
( 1 ) KULLI
Karna ke
Munh Ke Purze Purze Mein Pani Pahuch Jae Farz Hai
Yani Honth Se Halaq Ki Jad Tak Pure Talu Danton Ki Jard Zuban Ke Niche
Zuban Ki Karwaten Munh Ke Andar Ke Purze Purze Ke Zarre Zarre Mein Pani Pahuch Kar BehJaye
Aksar Log Yeh Jante Hain Ki Thoda Sa Pani Munh Mein Dal Kar Ugal Dene Ko Kulli Kahte Hain
Yad Rakho Ki Ghusl Mein Is Tarah Kulli Kar Lene Se Ghusl Nahin Hoga
Balki Ghusl Mein Farz Hai Ki Bhar Munh Pani Lekar Khub Zyadah Munh Ko Harkat Dein Taki Munh Ke Andar Har Hisse Mein Pani Pahunch Jaye
Agar Rozedar Na Ho Toh Ghusl Ki Kulli Mein Gharahra Bhi Kare Han Roze Ki Halat Mein Gharahra Na Kare Ki Halaq Ke Andar Pani Chale Jane Ka Khatra Hai
( Durre Mukhtar Radul Mohtar Kitabul Taharat Jild 1 Page 312 )
( 2 ) NAAK MEIN PANI CHADHANA-
Ghusl Mein Is Tarah Naak Mein Pani Chadhana Farz Hai Ki Sans Oopar Ko Khinch Kar Naak Ke Nathunon Mein Jahan Tak Narm Hissa Hai Us Ke Andar Pani Chadhe Ki Nathunon Ke Andar Har Jagah Aur Har Taraf Pani Pahunch Kar Bah Jae
Aur Naak Ke Andar Ki Khaal Ya Ek Bhi Baal Sukha Na Rah Jaye Warna Ghusl Nahin Hoga
( Durre Mukhtar Radul Muhtar Kitabul Taharat Jild 1 Page 312 )
( 3 ) TAMAM BADAN PAR PANI BAHANA-
Yani Sar Ke Balon Se Pawon Ke Talwon Tak Badan Ke Aage Piche Dayen Bayen Oopar Niche Har Har Zarre Mein Har Har Rongte Aur Har Ek Baal Ke Purey Hisse Par Pani Bahana Ghusl Mein Farz Hai
Baz Log Sar Par Pani Dal Kar Badan Par Idhar Udhar Hath Fira Lete Hain Aur Pani Badan Par Poat Letey Hain Aur Samajhte Hain Ki Ghusl Ho Gaya
Halanki Badan Ke Bahut Se Aise Hissey Hain Ki Agar Ehtiyat Ke Sath Ghusl Mein Inka Dhyan Na Rakha Jaye Toh Wahan Pani Nahin Pahunchta Aur Woh Sukha Hi Rah Jata Hai
Yad Rakho Ki Is Tarah Nahane Se Ghusl Nahin Hoga Aur Admi Namaz Padhne Ke Qabil Nahin Hoga
Lihaza Zaruri Hai Ki Ghusl Karte Waqt Khas Taur Par In Chand Jaghon Par Pani Pahuchane Ka Dhyan Rakhen
Sar Aur Dadhi Munchh Bhawon Ke Ek Ek Baal Aur Badan Ke Har Har Rongtey Ki Jad Se Nok Tak Dhul Jane Ka Khayal Rakhen
Isi Tarah Kaan Ka Jo Hissa Nazar Aata Hai Is Ki Girariyon Aur Surakh
Isi Tarah Thodhi Aur Galey Ka Jod Pet Ki Balten Baghlen Naaf Ke Ghar Raan Aur Pedu Ka Jod Jangasa Dono Surinon Ke Milne Ki Jagah Khusiyon Ke Niche Ki Jagah Zakar Aur Khusiyon Ke Milne Ki Jagah Aurat Ke Dhalke Hue Pistan Ke Niche Ka Hissa
Aurat Ki Sharm Gaah Ka Har Hisaa In Sabko Khayal Se Pani Baha Baha Kar Dhoyen Taki Har Jagah Pani Pahunch Kar Bah Jaye
( Durre Mukhtar Raddul Muhtar Kitabul Taharat Jild 1 Page 312 Bahare Shariyat Jild 1 Hissa 2 Page 35 )
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Ghusal-Ka-Tareeqa
° Wuzu-Ka-Tareeqa
Ghusl Ka Bayan Aur Masnoon Tariqa Wa Masle Masail
Ghusl Karne Ka Tariqa Yeh Hai Ki Niyyat Yani Dil Mein Nahane Ka Irada Kar Ke Pahle Gatton Tak Donon Hathon Ko Teen Martaba Dhoye
Fir Istinjah Ki Jagah Ko Dhoye Khwah Najasat Lagi Ho Ya Na Lagi Ho
Fir Badan Par Agar Kahin Najasat Lagi Hi Toh Is Ko Bhi Dhoye
Is Ke Bad Wuzu Kare
Kulli Karne Aur Naak Mein Pani Chadhane Mein Khub Mubalgha Kare
Fir Hath Se Pani Le Le Kar Sare Badan Par Hath Fira Fira Kar Badan Ko Male
Khususan Jaadon Mein Taaki Badan Ka Koi Hissa Pani Bahne Se Na Rah Jaye
Fir Dahiney Kandhey Par Teen Bar Pani Bahaye
Fir Teen Bar Bayen Kandhey Par Pani Bahaye
Fir Sar Par Aur Purey Badan Par Teen Bar Pani Bahaye Aur Tamam Badan Ke Har Har Hisse Ko Khub Mal Mal Kar Dhoye
Aur Achchi Tarah Dhyan Rakhen Ki Kahin Zarrah Barabar Badan Ki Khal Ya Koi Rongta Aur Baal Pani Bahney Se Na Rah Jaye
ZARURI TANBIH-
Bahut Se Log Aisa Karte Hain Ki Najis(Napak) Tahband Ya pant payjama Bandh Kar Ghusl Karte Hain
Aur Yeh Khayal Karte Hain Ki Nahane Mein Napak Tahband Aur Badan Sab Pak Ho Jayega
Halanki Aisa Nahin Balki Pani
Dal Kar Tahband Aur Badan Par Hath Ferney Se Tahband Ki Najasat Aur Ziyadah Failti Hai
Aur Sare Badan Balki Nahane Ke Bartan Tak Ko Napaak Kar Deti Hai
Is Liye Nahaney Mein Lazim Hai Ki Pahle Badan Ko Aur Us Kapdey Ko Jisko Pahen Kar Nahatey Hain Dho Kar Paak Kar Len
Warna Ghusl Toh Kya Hoga Is Tarah Hath Se Jin Chizon Ko Chuenge Woh Bhi Na Paak Ho Jayegi
Aur Sara Badan Aur Tahband Bhi Napak Hi Rah Jayega
MASALA- Ghusl Mein Sar Ke Baal Bandhe Hue Na Hon Toh Har Baal Par Jad Se Nok Tak Pani Bahana Zaruri Hai
Aur Agar Gundhey Hue Hon Toh Mard Par Farz Hai Ki Inko Khol Kar Jad Se Nok Tak Har Baal Par Pani Bahaye
Aur Aurat Par Sirf Balon Ki Jadon Ko Tar Kar Lena Zaruri Hai Gundhey Hue Baalon Ko Kholna Zaruri Nahin
Haan Agar Choti Itni Sakht Gundhi Hui Ho Ki Be Khole Jadeb Tar Na Hongi Toh Choti Ka Kholna Zaruri Hai
( Durre Mukhtar Radul Muhtar Kitabul Taharat Jild 1 Page 315-316 )
MASALA- Ghusl Mein Kanon Ki Baliyon Aur Naak Ki Keel Ke Surakhon Mein Baliyon Aur Keel Ko Fira Kar Pani Pahunchana Zaruri Hai
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Ramzano ke MasaiL
° Nikah Ke Masail
° Auraton Ke MasaiL
Ghusl Ka Bayan Aur Masnoon Tariqa Wa Masle Masail
KIN KIN CHIZON SE GHUSL FARZ HOTA HAI
Jin Chizon Se Ghusl Farz Ho Jata Hai Woh Paanch Hain
( 1 ) Mani(Sperm) Ka Apni Jagah Se Shahawat Ke Sath Juda Ho Kar Nikalna
( 2 ) Ehtelam Yani Sotey Me Mani(Sperm) Nikal Jana
( 3 ) Zekar(Mard ki sharm ghah) Ke Sar Ka Aurat Ke Aagey Pichey Ya Mard Ke Pichey Dakhil Hona Donon Par Ghusl Farz Kar Deta Hai
( 4 ) Haiz Ka Khatm Ho Jana
( 5 ) Nifaas Se Faarigh Hona
( Fatawah Hindya Kitabul Taharat Jild 1 Page 14,16 )
MASALA- Jumaa Eid Baqra Eid Arfe Ke Din Aur Ehraam Bandhte Waqt Ghusl Kar Lena Sunnat Hai
( Fatawah Hindya Kitabul Taharat Jild 1 Page 16 )
MASALA- Maidane Arafat Aur Mujdalifa Me Thaharne Harame QAABA . MINAH . Mein Dakhil Hone Jamron Ko Kankariyan Marne Ke Liye Ghusl Kar Lena Mustahab Hai
Isi Tarah Shabe Qadr Shabe Barat Arfey Ki Raat Mein Murdah Nahlane Ke Bad Junoon Aur Ghashi Se Hosh Mein Aaney Ke Baad Gunaah Se Taubah Karne Ke Liye
Namaze Istiqa Ke Liye Garhan Ke Waqt Namaz Ke Liye Khauf Tariki Aandhi Ke Waqt In Sab Suraton Mein Ghusl Kar Lena Mustahab Hai
( Durre Mukhtar Raddul Muhtar Kitabul Taharat Jils 1 Page 342-342 )
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Namaz Ki Sharton Ka Bayaan
° Salatut-tasbih-ki-Namaz Ka Tarika
° Farz,Wajib,Sunnat,Makruh,kya hai
MASALA- jis Par Ghusl Farz Ho Usko Baghair Nahaye
( 1 ) Masjid Mein Jana
( 2 ) Tawaaf Karna
( 3 ) Quraane Majeed Ka Chuna
( 4 ) Quraan Sharif Ka Padhna
( 5 ) Kisi Aayat Ko Likhna Haraam Hai Aur
Fiqha Wa Hadees Aur Dusri Dini Kitabon Ka Chuna Makruh Hai Magar
Aayat Ki Jaghon Par In Kitabon Mein Bhi Hath Lagana Haraam Hai
( Durre Mukhrar Radul Muhtar Kitabul Taharat Jild 1 Page 346-356 )
MASALA- Durood Shareef Aur Duaon Ke Padhney Mein Koi Harj Nahin Magar Behtar Hai Ki Wuzu Ya Kulli Kar Le
( Bahare Shariyat Jild 1 Hissa 2 Page 43 )
MASALA- Ghusl Khane Ke Andar Agarchey Chhat Na Ho Nange Badan Nahaney Mein Koi Harj Nahin
Haan Aurton Ko Bahut Ehtiyat Ki Zarurat Hai Magar Nangey Nahaye Toh Qibley Ki Taraf Munh Na Kare Aur Agar Tahband Bandhey Hue Ho Toh Nahate Waqt Qiblah Ki Taraf Munh Karne Me Koi Harj Nahin
MASALA- Aurton Ko Baith Kar Nahana Behtar Hai
Mard Khade Ho Kar Nahaye Ya Baith Kar Donon Me Koi Harj Nahin
( Bahare Shariyat Jild 1 Hissa 2 Page 37 )
MASALA- Ghusl Ke Baad Fauran Kapdey Pahan Le
Der Tak Nangey Badan Na Rahey
(Bahare Shariyat Jild 1 Hissa 2 Page 37 )
MASALA- Jis Tarah Mardon Ko Mardon Ke Samne Sitar Khol Kar Nahana Haram Hai Isi Tarah Aurton Ko Bhi Aurton Ke Samne Site Khol Kar Nahana Jayez Nahin Kunki Dusron Ke Samne Bila Zarurat Sitr Kholna Haram Hai
( Radul Mukhtar Kitabul Taharat Matlab Fi Abhasul Ghusl Jild 1Page 318 Bahare Shariyat Jild 2 Page 38 )
MASALA- Jis Par Ghusl Wajib Hai Use Chahiye Ki Nahaney Mein Takhir(der) Na Karein Balki Jald Se Jald Ghusl Karey
Kunki Hadis Shareef Mein Hai Jis Ghar Mein Junub Yani Aisa Aadmi Ya Aurat Ho Jis Par Ghusl Farz Hai
Us Ghar Me Rahmat Ke Farishtey Nahin Aatey
Aur Agar Ghusl Karney Mein Itni Der Kar Chuka Ki Namaz Ka Akhir Waqt Aa Gaya Toh Ab Fauran Nahana Farz Hai
Ab Takhir Karega Toh Gunahgar Hoga
( Bahare Shariyat Jild 1 Hisaa 2 Page 42 )
Join Free SmS Service On Mobile
MASALA- Jis Shakhs Par Ghusl Farz Hai Agar Woh Khana Khana Chahta Hai
Ya Aurar Se Jimaa(humbistari) Karna Chahta Hai Toh Usko Chahiye Ki Wuzu Karle Ya Kam Se Kam Hath Munh Dho Le Aur Kulli Kare
Aur Agar Waise Hi Kha Pi Liya Toh Gunah Nahin Hai Magar
Muhtaji Lata Hai Aur Be Nahaye Ya Be wuzu Kiye Jimaa Kar Liya Toh Bhi Kuch Gunah Nahi
Magar Jis Shakhs Ko Ehtelam Hua Ho Usko Be Nahaye Aurat Ke Pas Nahin Jana Chahiye
( Fatawah Hindys Kitabul Taharat Jild 1 Page 16 )
Is video ko dekhen 👇👇🎬
Aur yahan se Download karen👇👇
New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge
Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.in
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣