SHAUHAR KE HUQOOQ
''ALLAH'' Ta-ala ne Shauharon Ko Biwiyon Par Haakim Banaya Hai
Aur Bahut Badi Buzurgi Di Hai
Is Liye Har Aurat Par Farz Hai Ki Woh Apne Shauhar Ka Huqm Mane
Aur Khushi-Khushi Apne Shauhar Ke Har Huqm Ki Tabe Dari Kare
Kyunki ''ALLAH'' Ta-ala Ne Shauhar Ka Bahut Bada Haq Banaya Hai
Yaad Rakho Ki Apne Shauhar Ko Razi Wa Khush Rakhna Bahut Badi Ibadat Hai
Aur Shauhar Ko Na Khush Aur Naraz Rakhna Bahut Bada Gunah Hai
Rasool Allh ( Sallallhu Ta-ala Alaihi Wasallam ) Ne Farmaya Ki
Agar Main Khuda Ke Siwa Kisi Dusre Ke Liye Sajdah Karne Ka Huqm Deta
Toh Main Aurton Ko Huqm Deta Ki Woh Apne Shauharon Ko Sajdah Kiya Karen
(Tirmizi Sharif Vol 2 page 386)
Aur Rasool Allah ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Ye Bhi Farmaya Hai
Ki Jis Aurat Ki Maut Aisi Halat Mein Aae
Ki Marte Waqt Uska Shauhar Us Se Khush Ho
Toh Woh Aurat Jannat Mein Jayegi
(Sunan Ibne Majah Vol 2 page 412)
Aur Ye Bhi Farmaya
Ki Jab Koi Mard Apni Biwi Ko Kisi Kaam Ke Liye Bulaye
Toh Woh Aurat Agar Chulhe Ke Paas Baithi Ho
Usko Lazim Hai Ki Woh Uth Kar Shauhar Ke Paas Chali Aaye
(Tirmizi Sharif Vol 2 page 386)
Hadees Shareef Ka Matlab Ye Hai Ki
Aurat Chahe Jitne Bhi Zaruri Kaam Mein Masghul Ho
Magar Shauhar ke Bulane
Par Sab Kaamon Ko Chod Kar Shauhar Ki Khidmat Mein Hazir Ho Jaye
Aur Rasool Allah ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Aurton Ko Ye Bhi Huqm Diya Ki
Agar Shauhar Apni Aurat Ko Ye Huqm De Ki
Piley Rang Ke Pahad Ko Kaale Rang Ka Bana De
Aur Kaale Rang Ke Pahad Ko Safed Bana De
Toh Aurat Ko Apne Shauhar Ka Ye huqm Bhi Baja Lana Chahiye
(Sunan Ibne Majah Vol 2 page 411)
Hadees Ka Matlab Ye Hai Ki
Mushkil Se Mushkil Aur Dushwar se Dushwar Kaam Ka Bhi Agar Shauhar Huqm De
Toh Jab Bhi Aurat Ko Shauhar Ki Nafarmani Nahin karni achahiye
Balki Us Ke Har Huqm Ki Farma Bardari Ke Liye
Apni Taqat Bhar Kamar Basta Rahna Chahiye
Aur Rasool Allah ( Sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam) Ka Ye Bhi Farman Hai Ki
Shauhar Biwi Ko Apne Bichaune Par Bulaye Aur Aurat Aane Se Inkaar Kar De
Aur Uska Shauhar Is Baat Se Naraz Ho Kar So Jaye
Toh Raat Bhar Khuda Ke Farishtey Us Aurat Par Lanat Karte Hain
(Sahih Muslim Kitabul Nikaah Page 753)
Pyari Bahnon! In Hadison Se Sabaq Milta Hai Ki Shauhar Ka Bahut Bada Haq Hai
Aur Har Aurat Par Apne Shauhar Ka Haq Ada Karna Farz Hai
Shauhar Ke Huqooq Bahut Ziyadah Hain
In Mein Se Nichey Likhey Hue Chand Huqooq Bahut Ziyadah Qabile Lihaaz Hain
SHAUHAR KE HUQOOQ
(1) Aurat Baghair Apne Shauhar Ki Ijazat Ke Ghar Se Kahin Bahar Na Jaye
Na Apne Rishtey Daron Ke Ghar Na Kisi Dusre Ke Ghar
(2) Shauhar Ki Ghair Maujudgi Mein Aurat Par Farz Hai
Ki Shauhar Ke Makaan Aur Maalo Saman Ki Hifazat Kare
Aur Baghair Shauhar Ki Ijazat Kisi Ko Bhi
Na Makaan Mein Aane De
Na Shauhar Ki Koi Choti Badi Chize Kisi Ko De
(3) Shauhar Ka Makaan Aur Maal Wa Saman Yeh Sab Shauhar Ki Amanatein Hain
Aur Biwi in Sab Chizon Ki Ameen Hai
Agar Aurat Ne Apne Shauhar Ki Kisi Chiz Ko Jan Bujh Kar Barbad Kar Diya
Toh Aurat Par Amanat Mein Khayanat Ka Gunah Lazim Hoga
Aur Is Par Khuda Ka Bahut Bada Azaab Hoga
(4) Aurat Harghiz-Harghiz Koi Aisa Kaam Na Kare Jo Shauhar Ko Na Pasand Ho
(5) Bachchon Ki Nigahdasht unKi Tarbiyyat Aur Parwarish
Khususan Shauhar Ki Ghair Maujudgi Mein Aurat Ke Liye Bahut Bada Farizah Hai
(6) Aurat Ko Lazim Hai Ki Makaan Aur Apne Badan
Aur Kapdon Ki Safai Suthrai Ka Khas Taur Par Dhyan Rakhey
Fuhad Maili Kuchaili Na Bani Rahe Balki Banaw Singhar Se Raha Kare
Taaki Shauhar Is Ko Dekh Kar Khush Ho Jaye
Hadees Shareef Mein Hai Ki Behtarin Aurat Woh Hai
Ki Jis Ka Shauhar Us Ki Taraf Dekhe Toh Woh Apne Banaw Singhar
Aur Apni Adaon Se Shauhar Ka Dil Khush Kar De
Aur Agar Shauhar Kisi Baat Ki Qasam Kha le
Toh Woh Us Qasam Ko puri Kar De
Aur Agar Shauhar Ghayeb Rahe Toh Woh Apni Zaat
Aur Shauhar Ke Maal mein Hifazat
Aur Khair Khwahi Ka Kirdar Ata Karti Rahe
( Sanan Ibne Majah Kitab Fin'nikah Baab Fazlun Nisaa Vol 2 Page 414 )
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► AURAT KYA HAI
► AURAT-iSLAAM-SE-PAHLE
► AURAT-ISLAAM-AANE-KE-BAAD
► AURAT-KI-ZINDAGI-KE-4-DAUR
► AURAT-KA-BACHPAN
► AURAT-JAB-BALIGH-HO-JAYE
► AURAT-SHADI-KE-BAAD
6 Comments
Ajkl kaha koi itni izzat krta hai apne shauhr Ki sab ulta hi hota hai
ReplyDeleteShariyat par amal karna sabhi ke lie farz hai
Deletehamare number par koi massege nahi deene raah ka
ReplyDeleteAap hamare no. Par msg karen join likhkar aapko msg milne lagenge whats app psr
Deleteapke sare masail hame whatsapp ya msg me cahiye
ReplyDeleteNiche Whats App no. Dia hua hai uspar join karen
DeleteNiche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe