AURAT SHADI KE BAAD
Ye Is Topic ki Pichhli Post Hai ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► AURAT KYA HAI
► AURAT-iSLAAM-SE-PAHLE
► AURAT-ISLAAM-AANE-KE-BAAD
► AURAT-KI-ZINDAGI-KE-4-DAUR
► AURAT-KA-BACHPAN
► AURAT-JAB-BALIGH-HO-JAYE
► AURAT-SHADI-KE-BAAD
👆👆 Inko Bhi Zaroor Padhen
NIKAH - Jab Ladki Baligh Ho Jaye Toh Maan Baap Par Lazim Hai Ki Jald Az Jald Munasib Rishta Talash Kar Ke Uski Shadi Kar Dein
Rishte Ki Talash Mein Khaas Taur Se Is Baat Ka Dhiyan Rakhna Behad Zaruri Hai Ki
Harghiz-Harghiz Kisi Bad Mazhab Ke Sath Rishta Na Hone Paye
Balki Deen Daar Aur Paband-e Shariyat
Aur Mazhabe Ahle Sunnat Ke Paband Ko Apni Rishtedari Ke Liye Muntakhib Karein
Bukhari Wa Muslim Ki Hadees Mein Hai Ki RASOOL ''ALLAH''
Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki Aurat Se Shaadi Karne Mein 4 Chizen Dekhi Jati Hain
(1) Daulat Mand
(2) Khandani Sharafat
(3) Khub Shurati
(4) Deendari
Lekin Tum Deendari Ko Ko In Sab Chizon Par Muqaddam Samjho
AURAT SHADI KE BAAD
Aulaad Ki Tamanna Aur Apni Jaan Ko Badkari Se Bachane Ki Niyyat Ke Liye Nikah Karna Sunnat Hai
Aur Bahut Bade Ajro Sawab Ka Kaam Hai
''ALLAH'' Ta-ala Ne Quraan Shareef Mein Farmaya Ki
Yani Tum Log Be Shauhar Wali Aurton Ka Nikaah Kar Do
Aur Apne Nek Chalan Ghulamon Aur Laundiyon Ka Bhi Nikaah Kar Do
Hadees Shareef Mein Hai Ki Tauraat>)))) Shareef Mein Likha Hai Ki
Jis Shakhs Ki Ladki Barah Baras Ki Umr Ko Pahunch Gayi
Aur Us Ladki Ka Nikaah Nahin Kiya
Aur Woh Ladki Badkari Ke Gunaah Mein Pad Gayi
Toh Is Ka Gunah Ladki Wale Ke Sar Par Bhi Ho Ga
Dusri Hadees Mein Hai Ki Huzoor ( Sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam ) Ne Farmaya Ki
''ALLAH'' Ta-ala Ne Teen Shakhson Ki Imdaad Apne Zimmae Karam Par Li Hai
( 1) Woh Ghulaam Jo Apne Aaqa Se Azad Hone Ke Liye Kisi Qadar Raqam Ada Karne Ka Ahad kare
Aur Apne Ahad Ko Pura Karne Ki Niyyat Rakhta Ho
(2) Khuda Ki Raah Mein Jihaad Karne Wala
(3) Woh Nikaah Karne Wala Ya Karne Wali Jo Nikaah Ke Zariye Haraam Kari Se Bachna Chahta Ho
AURAT - Jab Tak Uski Shaadi Nahin Hoti
Woh Apne Maan Baap Ki Beti Kahlati Hai
Magar Shaadi Ho Jane Ke Baad Aurat Apne Shauhar Ki Biwi Ban Jati Hai
Aur Ab Uske Faraiz Aur Uski Zimmedariyan Pahle Se Bahut Zyadah Badh Jati hain
Woh Tamam Huqooq Wa Faraiz Jo Baligh Hone Ke Baad Aurat Par Lazim Ho Gaye They
Ab Inke Alawah Shauhar Ke Huqooq Ka Bhi Bahut Bada Bojh Aurat Ke Sar Par Aa Jata Hai
Jiska Ada Karna Har Aurat Ke Liye Bahut Hi Bada Farizah Hai
Yaad Rakho Ki Shauhar Ke Huqooq Ko Agar Aurat Na Ada Karegi
Toh Uski Duniyawi Zindagi Tabah wa Barbad Ho Jayegi
Aur Aakhirat Mein woh Dozakh Ki Bhadakti Hui Aag Mein Jalti Rahegi
Aur Uski Qabr Mein Saanp Bichhu Usko Dastey Rahenge
Aur Donon Jahan Mein Zalilo Khwar Aur Tarah-Tarah Ke Azabon Mein Giraftar Rahegi
Is Liye Shariyyat Ke Huqm Ke Mutabiq Har Aurat Par Farz Hai
Ki Woh Apne Shauhar Ke Huqooq Ada Karti Rahe
Aur Umr Bhar Apne Shauhar Ki Farmaan Bardari Wa Khidmat Ghuzari Karti Rahe
Agli Post Zaroor Padhen👇👇
📝 SHAUHAR KE HUQOOQ
Allah Amal ki Toufeeq De Aameen
Is Post ko Whats App Facebook Par Zaroor Share Karen
JazakAllah
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Namaz-padhne-ka-tareeqa
► Ghusal-ka-tareeqa
► Wuzu-Ka-Tariqa
► Jannat-Me-Jane-Ka-Rasta
► ZUBAAN-KI-HIFAAZAT
0 Comments
Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe