ZUBAAN KI HIFAAZAT KA BAYAAN

Baatcheet mein Hamesha is baat ka dhyan rakho ki
Tumhari Zubaan se koi Gunah ki Baat na nikal jaye

Hadees Shareef mein hai ki bahut se logo'n ko unki zubaanoñ se Nikli hui baatein jahannum mein le jayengi

Isiliye...

Baatcheet mein bahut dhyan se in baato'n ka khyal rakho
ZUBAAN KI HIFAAZAT

ZUBAAN KI HIFAAZAT


(1) Be-soche Samjhe hargiz koi baat mat kaho jab tumhe yaqeen hojae ye baat kisi trah buri nahi tab bolo warna bolne se chup rehna behtar hai


(2) Kisi ko be-imaan kehna ya yeh kehna ki fulañ par khuda ki maar,khuda ki laanat ,khuda ka ghazab ,khuda ki phitkaar ya fulañ ko dozakh naseeb ho

is trah se bolna Gunaah ki baat hai
Jisko aisa kaha gya aur waqai wo aisa na hua to yeh buri phitkaar Aur laanat laut kar Kehne wale par padhegi


(3) Agr tum ko kisi ne dukh dene wali baat kehdi hai
to tum sabar kro aur mu'aaf krdo tumhe bahut bada ajar sawaab milega
aur agr tum iska jawab dena chaho to tum bas itna hi keh sakte ho jitna usne tumko kaha hai
Agar isse zyada kahoge to gunahgaar hojaoge


(4) Daugli baat hargiz-hargiz na kaho
ki iske munh par iski si baat kro Aur dusre ke munh par uski si baat karo ki yeh dono jahaan mein ruswai ka samaan hai


(5) Na kisi ki chugli karo na kisi ki chugli suno ki yeh bade-bade fasaadoñ ki jadh aur gunaah-e-kabeera hai

(6) Jhoot bhi hargiz na bolo ki ye boht hi sakht gunaah-e-kabeera hai

(7) Khushaamad ke Taur par kisi ke munh par uski tareef na kro Peeth ke peeche bhi had se zyada kisi ki tareef na kro


(8) Na kisi ki gheebat kro na kisi ki gheebat suno
Gheebat gunaah-e-kabeera hai Aur
Gheebat yeh hai ki kisi ki peeth ke peeche uski koi aisi baat kehna ki agar wo sunle to usko ranj ho
Agarche wo baat sachhi hi ho aur agar wo baat hi ghalat ho to usko kehna ye bohtaan hai
isme gheebat se bhi zyada gunaah hai


(9) Jis shakhs ki Gheebat kari hai agar us shakhs se mu'aaf na kra sako to shakhs ke liye magfirat ki duaayeñ kiya kro
ummeed hai ki qayamat mein wo mu'aaf krde

(10) Kabhi hargiz kisi se jhoota waadaa na karo

(11) kebal apni baat ko oonchi rakhne ke liye kisi se behas na kro

(12) Kabhi kisi ki hansi mat kro jisse doosra zaleel ho jaye

(13) Suni sunai baato'n ko bina tehqeeq kiye hue mat kaha kro kyuki aksar aisi baatein jhooti hoti hain


(14) Kisi ki buri shurat ya buri baat ki naqal mat kro

(15) Hamesha achhi baatein logo'n ko btate raho aur buri baato'n se logo'n ko mana krte raho

Allah Ta'Ala Hamen Apni  Zubaan ki Hifaazat Ataa Farmaye Aameen

Is Post ko Sabhi Bhaiyi,Behno tak Zaroor Pahunchayen Share Karen




Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓

► JUNG-E-AZADI-AUR-MUSALMAN
► Mobile-Aur-Bachche
► AURAT-KYA-HAI
► Saitan-ki-aawaz-music

Post a Comment

0 Comments