Namaz Me Takhno Ka Dhaka Hona

*Hadees* - Jo Azaar Takhno Ke Neeche Hai Wo Jahannam Me Hai
📕 Bukhari,Jild 7,Hadees 678
📕 Attargeeb Wattarheeb,Jild 3,Safah 88
📕 Sunan Kubra,Jild 2,Safah 244

*Hadees* - Allah Uspar Rahmat Ki Nazar Nahin Farmayega Jo Apne Kapdo Ko Latkata Hai
📕 Bukhari,Jild 7,Hadees 679

Namaz Me Takhno Ka Dhaka Hona


*Hadees* - Ek Shakhs Namaz Padh Raha Tha Jiski Azaar Takhno Se Neeche Thi To Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ne Usko Bulaya Aur Farmaya Ki Jaakar Phir Se Wuzu Kar Aur Namaz Padh Ki Teri Namaz Nahin Huyi
📕 Abu Daood,Jild 1,Safah 100

*Ⓩ Yahan Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ka Maqsad Sirf Usko Tambeeh Karna Tha Warna Namaz Is Soorat Me Bhi Ho Jaati Hai, Jaisa Ki Doosri Hadise Paak Me Hai Ki*
*Hadees* - Jab Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Ne Ye Farmaya Ki Jiski Azaar Takhno Ke Neeche Hai To Wo Jahannam Me Hai To Hazrat Abu Bakr Siddique Raziyallahu Taala Anhu Farmate Hain Ki Ya Rasool Allah Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Agar Main Apni Tahband Ka Khaas Khayal Rakhun To Aksar Wo Takhno Ke Neeche Hi Rahti Hai To Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Farmate Hain Ki Ai Abu Bakr Tum Unme Se Nahin Ho Jo Takabbur Se Aisa Karte Hain
📕 Bukhari,Jild 7,Hadees 675
📕 Ibne Abi Shaiba,Jild 8,Safah 199
📕 Fatawa Razviya,Jild 3,Safah 449

Namaz Me Paint Modkar Namaz Padhna


*Ⓩ Matlab Saaf Hai Ki Jo Ghamand Ki Wajah Se Aisa Karega To Ye Najayaz Hai Warna Makruhe, Ab Yahan Ek Masla Ye Samajh Lijiye Ki Namaz Me Takhna Kholne Ke Liye Kuchh Log Paint Modkar Namaz Padhte Hain Unka Ye Fail Hargiz Jaayaz Nahin Jaisa Ki Hadise Paak Me Aata Hai Ki*

*Hadees* - Huzoor Sallallaho Taala Alaihi Wasallam Irshad Farmate Hain Ki Hamein Ye Hukm Diya Gaya Hai Ki Namaz Me Apne Kapdo Ko Na Sametein
📕 Muslim,Jild 4,Hadees 993


*Fuqha* - Kapdo Ka Modna Isko Kahte Hain Khilafe Motaad Yaani Ki Kapda Jis Faision Par Sila Gaya Hai Usi Taur Par Rakhkar Namaz Padhi Jaaye Ki Agar Usme Kuchh Bhi Badlaav Kiya To Namaz Makruhe Tahreemi Hogi,Goya Takhna Kholne Ke Liye Paint Modna Aisa Hi Hai Jaisa Ki Koi Baarish Ki Chund Boondo Se Bachne Ke Liye Kisi Parnaale Ke Neeche Khada Ho Jaaye Ki Pahle To Shayad Kuchh Hi Hissa Bheegta Par Ab To Poori Tarah Bheeg Gaya,
Matlab Ye Ki Takhna Khula Rakhna Sunnat Zaroor Hai 
Aur Har Waqt Khula Rakhna Sunnat Hai Naa Ki Khaali Namaz Me Aur Isi Tarah Namaz Padhna Makruhe Tanzeehi Yaani Karahat Hai Magar Namaz Ho Gayi Lekin Agar Takhne Ko Kholne Ki Garz Se Kapde Ko Mod Liya To Ye Makruhe Tahreemi Yaani Najayaz Hai Ki Ab Namaz Ko Dohrana Waajib Hai,

Phir Ye Modna Chahe Paint Ki Mohri Ho Ya Shirt Ki Aasteen Dono Ka Ek Hi Hukm Hai Aur Ye Hukm Sirf Mardon Ke Liye Hai Warna Aurton Ke Liye Yahi Hukm Hai Ki Wo Apni Azaar Takhno Se 1 Baalisht Ya 2 Baalisht Badhakar Hi Rakhen Taaki Satr Khulne Ka Koi Amkaan Na Rahe*
📕 Fatawa Razviya,Jild 9,Safah 284


Post a Comment

0 Comments