NAJAASATON (NAPAAKI) KA BAYAN


NAJAASATON KA BAYAN



Najasat Ki Do Qisme Hai

( 1 ) Najasate Ghaliza ( Bhari Najasat )

( 2 ) Najasate Khafifa ( Halki Najasat )
(Fatawa-e-Hindiya)

NAJASATE GHALIZA- 

Jaise Peshab Pakhana Bahta Hua Khoon Peep Munh Bhar Ulti(Womating) Dukhti Hui Aankh Ki Kichad Ka Pani

Doodh Pine Wale Ladke Ya Ladki Ka Peshab Bachey Ne Jo Munh Bhar Ulti(Womating) Ki Mard Ya Aurat Ki Mani( Sperm )

Haraam Janwaron Jaise Kutta Sheir Suar(Pig) Wagairah Ka Peshaab Pakhana

Aur Ghode Gadhe Khachchar Ki Leed

Aur Halal Janwaron Ka Pakhana Jaise Gaye (Cow) Bhains Waghairah Ka Gobar Oonth ( Camel) Ki Mengni

Murghon Aur Batakh Ki Beet
Haathi Ke Soond Ka Pani

Darinda Janwaron Ka Thook
Sharaab Nasha Dilane Wali Taadi Saanp Ka Pakhana

Murdaar Ka Gosht Ye Sab Najasate Ghaliza  Hai
(Fatawa-e-Hindiya)

NAJASATE KHAFIFA-

Jaise Gaye Bhains Bhed Bakri Waghairah Halaal Janwaron Ka Peshaab Yun Hi Ghode Ka Aur Haraam Parindon Ki Beet Ye Sab Najasate Khafifa Hai
(Fatawa-e-Hindiya)



Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Aulia Allah Ka Zikar
► Hidayat Post
► Join Free SmS Service On Mobile

MASALA- Najasate Ghaliza Ka hukm Ye Hai Ki

Agar Kapde Ya Badan Par
Ek Dirham Se Zyada Lag Jaye Toh Is Ka Paak Karna Farz Hai

NOTE: Dirham jo Huzoor
Sallallahu Alaihi Wasalallam
ke Zamane me jo Rupya chalta tha usko kehte hai
Dirham Ka Wazan Sadhe char Masha Hai

Be Paak Kiye Agar Namaz Padh Li Toh Ho Gi Hi Nahi Aur Jankar Padhi Toh Gunah Bhi Hua

Aur Agar Namaz Ko Haqeer Chiz Samajhte Hue Aisa Kiya Toh Kufr Hua

Aur Agar Dirham Ke Barabar Hai Toh Paak Karna Wajib Hai Ki Be Paak Kiye  Namaz Padhi Toh Namaz Makruhe Tahrimi Hui Yani Aisi Namaz Ka Dohra Lena Wajib Hai

Aur Hankar Padhi Toh Gunahgar Bhi Hua
Tobah karen

Aur Agar Dirham Se Kam Hai Toh Paak Karna Sunnat Hai Ki Be Paak Kiye Namaz Ho Gayi Magar Khilafe Sunnat Hui

Aur Is Namaz Ko Dohra Lena Behtar Hai
( Radul Mohtar kitabul Taharat Baab Al Nahas Jild 1 Page 571 ).

MASALA- Najasate Ghaliza Agar Gaadhi Ho Jaise Pakhana Leed Gobar Toh Dirham Ke Barabar Ya Kam Zyada Hone Ke Maana Yeh Hai KI Wazan Me Dirham Ke Barabar Ya Kam Ya Zyadah Ho

Dirham Ka Wazan Sadhe char Masha Hai

Aur Agar Najasate Ghaliza Patli Ho Jaise Peshab Aur Sharab Waghairah Toh Dirham Se Murad Is Ki Lambai Chaudai Hai      
                                     
Aur  Shariyat Ne Dirham KI Lambai Chaudai Ki Miqdaar Hatheli Ki Gahrai Ke Barabar Batai Hai

Yani Hatheli Khub Failakar Hamwar Rakhen Aur Is Par Ahista Ahista Itna Pani Dalen Ki Is Se Zyadah Pani Ruk Na Sake

Ab Jitna Pani Ka Failaw Hai
Itni Badi Dirham Ki Lambai Chaudai Hoti Hai Yani Rupae Ki Lambai Chaudai Ke Barabar
(durre Mukhtar
Jild 1 Page 211)


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Islami Masail
► Namaz Ke MasaiL
► Ramzano ke MasaiL
► Nikah Ke Masail

MSALA- Najasate Khafifa Ka Huqm ye Hai Ki Kapde Ya Badan Ke Jis Hisse Me Lagi Hai Agar Uski chauthai Se Kam Hai

Maslan Aasteen Me Lagi Hai Toh UsKi Chauthai se Kam Me Lagi

Hath Me Hath Ki Chauthai Se Kam Lagi Hai Toh Muaaf Hai
( Ki Isse Namaz Ho Jaegi )

Aur Agar Puri Chauthai Me Lagi Ho Toh Baghair Dho Kar Paak Kiye Namaz Na Hogi
(durre Mukhtar Jild 1 Page 214 )


MASALA- Jo Najasat Kapde Ya Badan Me Lagi Hai Usko Paak Karne Ka Tarika Ye Hai

Ki Agar Najasat Dal Wali Ho Jaise Leed Gobar Pakhana Toh Uske Dhone Me Koi Ginti Mukarrar Nahi

Balki Is Najasat Ko Door Karna Zaruri Hai
Agar Ek Bar Dhone Se Door Ho Jaye Toh Ek Hi Martaba Dhone Se Badan Ya Kapda Paak Ho Jayega

Aur Agar char Panch Martaba Dhone Se Door Ho Toh Char Panch Martaba Dhona Padega

Han Agar Teen Martaba Se Kam Me Najasat Door Ho Jaye Toh Teen Bar Dho Lena Behtar Hai

Aur Agar Najasat Daldar Na Ho Balki Patli Ho Jaise Peshab Wagairah Toh Teen Martaba Dhoyen

Aur Teenon Martaba Taaqat Ke Sath Nichodne Se Kapda Paak Ho Jaega
(durre Mukhtar Jild 1 Page 218-221 )


MASALA- Najasate Ghaliza Aur Khafifa Ke Jo Alag Alag Huqm Batae Gaye Hain Ye Usi Waqt Hai Ki Badan Aur Kapde Me Najasat Lagi Ho

Aur Agar Kisi Patli Chiz Doodh Ya Sirka Ya Pani Me Najasat Pad Jaye

Toh Chahe Najasate Ghaliza Ho Ya Khafifa Bahar Haal Patli Chiz Napak Ho Jaegi
Agarche Ek Hi Qatra Najasat Pad Gai
( BAHARE SHARIYAT jild 2 page 97)


MASALA- Najasa
te Khafifa Najasate Ghaliza Me Mil Jae Toh Kul Najasate Ghaliza Ho Jaegi
( durre Mukhtar Jild 1 Page 213 )


MASALA- Haraam Janwaron Ka Dudh Najis Hai
Albatta Ghodi Ka Dudh Pak Hai Magar Khana Jaiz Nahi
( Bahare Shariyat Jild 1 Hissa 2 Page 99 )


MASALA- Chuhe Ki Mengni Gehun Me Mil Kar Pis Gai Ya Tel Me Pad Gai Toh Aata Aur Tel Pak Hai

Han Albatta Agar Is Qadar Zyada Mengniyan Pad Gain Ki Aata Aur Tel Ka Maza Bigad Gaya Toh Atta Tel(Oil) Napaak Ho Jaega
Aur Is Ka Khana Jaiz Nahin
( Raddul mohtar jild 1 page 212)


MASALA- Aadmi Ka Chamda Nakhun Ke Barabar Agar Thode Pani Me ( Yani Dirham Se Kam ) Me Pad Jaye Toh Wah Pani Napak Ho Jaega

Aur Agar Aadmi Ka Kata Hua Nakhun Ya Baal Pani Me Pad Gaya Toh Pani Napak Nahi Hoga
( Bahare Shariyat Jild 2 Page 101 )


MASALA- Najis Janwar Namak Ki Kaan Me Gir Kar Namak Ho Gaya Toh Woh Namak Paak Wa Halal Hai
( durre Mukhtar vol 1 page 217)


MASALA- Uple(Kande) KI Rakh Paak Hai Aur Agar Rakh Hone Se Pahle Bujh Gaya Toh Napak Hai
( Bahare Shariyat Jild 2 Page 102 )


MASALA- Napak Zameen Agar Sukh Jae Aur Najasat Ka Asar
Yani Rang Wa Boo Jati Rahe Pak Ho Gai
Chahe Woh Hawa Se Sukhi Ho Ya Dhoop Se Ya Aag Se
Us Zameen Par Namaz Padh Sakte Hain

Magar Us Zameen Se Tayammum Nahi Kar Sakte
Kunki Tayammum Aisi Zameen Se Karna Jaiz Hai Jis Par Kabhi Bhi Najasat Na Padi Ho
(Raddul Mohtar Jild 1 Page 208
Alamgiri Page 41)


MASALA- Napak Mitti Se Bartan Banae Toh Jab Tak Kachche Hain Napak Hain
Bad Pukhta Kar Lene Ke Pak Ho Gaye
( Raddul Mohtar jild1 Page 210 )


MASALA- Jo Chiz Sukhne Ya Ragadne Se Pak Ho Gai Is Ke Bad Bhig Gai Toh Napak Na Hogi
Maslan Zameen Par Peshab Pad Gaya Fir Zameen Sukh Gai Aur Nijasat Ka Asar Khatam Ho Gaya

Aur Woh Zameen Pak Ho Gai
Ab Agar Woh Zameen Bhig Gai Toh Napak Nahi Hogi

Yun Hi Agar Churi Lagne Se Napak Ho Gai Aur Churi Ko Zameen Par Khub Ragd Ragad Kar Khoon Ka Asar Khatam Kar Diya Toh Churi Pak Ho Gai
Ab Agar Woh Churi Bhig Gai Toh Napak Nahi Hogi
( Bahare Shariyat Jild 2 Page 107 )


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Ruhaani Ilaaj Quran Se
► Dini Knowledge
► Nabiyon Ka Bayaan

MASALA- Jo Zameen Gobar Se Lipi Gai Agarche Sukh Gai Ho Us Par Namaz Jaiz Naehi

Ha Agar Woh Sookh Gai Aur Us par Koi Mota Kapda Bichaya
Toh Is Kapde Par Namaz Padh Sakte Hain

Agarche Kapde Me Tari Ho Magar Itni Tari Na Ho Ki
Zameen Bhig Kar Is Ko Tar Kar De Ki Is Surat Me Kapda Najis Ho Jaega Aur Namaz Na Ho Gi
( Bahare Shariyat Jild 2 Page 108 )


Hamare Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen

Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
          www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

0 Comments