Juma Ki Namaz

Kisi bhi Musalman par Jum'ah farz hone ke liye 11 sharaa'it hain :


Juma Ki Namaz Farz Hone Ki Shartein


[1] Baaligh hona. (Na-baaligh par Jum'ah farz nahi.)
[2] Aaqil hona. (Paagal par farz nahi.)
[3] Mard hona. (Aurat par farz nahi.)
[4] Muqeem hona. (Musaafir par farz nahi.)
[5] Sehat hona. (Mareez aur Budhe jo masjid e Jum'ah tak na jaa sakte ho ya agar chala to jaayega lekin marz badh jaayega to us par farz nahi.)
[6] Ankhiyaara hona. (Andhe par farz nahi.)
[7] Chalne par qaadir hona. (Apaahij ya Faalij (Paralysis) waale par farz nahi.)
[8] Aazaad hona. (Ghulaam par farz nahi. Khaadim/ Nokar ko us ka maalik nahi rok sakta.)
[9] Qaid me na hona. (Qaidi par farz nahi.)
[10] Khauf na hona. (Agar haakim ka ya chor wagairah kisi zaalim ka dar hai ya muflis qarzdaar ko qaid hone ka dar hai to us par farz nahi.)
[11] Sakht baarish ya aule ya sailaab ya aandhi ya sardi ka na hona. (Agar ye cheeze itni sakht hai ke in se nuqsaan ka khauf ho to farz nahi.)

  1. Juma Ke Din Ke Kuchh Khas Amal  
  2. Juma ki Azan hone ke Baad Karobar Karna Haraam hai 
  3. Juma ki Namaz ka Tareeqa In Hindi Urdu

Juma Ki Namaz Ki Shartein


In me se 1 shart bhi na pai jaae to Juma hogi hi nahi.

[1] Misr wa fana e misr – Misr ya’ani shaher ho jisme kai gali- kooche aur bazaar ho aur woh zila ya tehsil ho ke uske muta’alliq dehat gine jaate ho aur waha uska koi hakim rehta ho.
Aur fana e misr ya’ani wo jagah jo misr ke aas-pas misr ki maslahato ke liye ho jaise Station, Kachehri, Qabrastan.

[2] Baadshaah ya haakim ya Aamir – Sultaan e Islaam ya us ka naa'ib Juma Qaim kar sakta hai.
Agar Islaami hukoomat na ho to sab se bada sunni sahih ul aqeeda aalim qaa'im kare.
Baghair is ki ijaazat ke juma qaa'im nahi ho sakta.
Aur agar yeh bhi na ho to aam log jis ko Imaam banaaye woh qaa'im kare.

[3] Waqt – Juma ki namaaz zohar ke waqt ke darmiyaan hi padhi jaaye.
Ya’ani Zawaal ke baad se lekar Asr ke waqt se pehle.

[4] Khutba – Khutba namaaz se theek pehle aur jama’at ke saamne padha jaaye.

[5] Jama’at – Imaam ke ilaawa kam se kam 3 mard shaamil hone chaahiye.
Sirf aurten aur bache ho to Juma na hogi.

[6] Izne aam – Masjid ka darwaaza khol diya jaaye taake jis musalman ko aana ho be-rok tok aaye.


Juma Ke Mutaallik Chand Masail 


(1) Juma ki namaaz Shehar (City) ya Kasba (Town) waalo par farz hai, Dehaat (Village) waalo par nahi.
Waha ke log Juma ke din bhi Zohar ki puri namaz ada karen
Aur agar dehaat ke log Juma ki namaz padhna chaahe to unhe shehar ki masjid me aakar padhni hogi.

(2) Namaze Juma ke liye Jamat shart hai
Tanha namaze juma nahi padh sakta
Agar jama’at me dusri rak'at ke Ruku se pehle shaamil ho gaya to Imaam ke salaam pherne ke baad khada hokar apni dusri rak'at ada kare aur agar dusri rak'at ke ruku ke baad shaamil hua to Imaam ke salaam pherne ke baad khada hokar dono rak'at  ada kare.
Jama’at me shareek na ho saka ya’ani Imaam ke salaam pherne ke baad namaze juma khatm hone ke baad pahuncha to puri Namaze Zohar padhe.

Yun hi Agar kisi wajah se shehar me juma ke liye na jaa saka ya masjid tak na pahunch saka to Zohar ki namaaz puri padhe. Woh tanha namaz e Juma nahi padh sakta

(3) Agar kisi khauf ki wajah se masjid me namaze juma ke liye nahi jaa saka to masjid me Namaze Juma Khatm ho jaane tak apne makaan par intazaar kare aur phir puri namaze zohar padhe

Kya Juma Ke Din Zohar Ki Namaz Jamaat Se Ada Kar Sakte Hain ?

Jin Logon Per Juma Ki Namaz Farz Ho Aur
Un Logon Ko Juma Na Mile To Vah Bagair Azan Aur Ikamat Zohar Ki Namaz Tanha Tanha Padhe Jamaat Unke Liye Makroohe Tehrimi Hai  Kisi Wajah Se Ya Lockdown Se Jumma Nahin Mila Aur Unhone Zohar ki Namaz Jamaat Se Ada Karli To Unhen chahie ki Vah Apni Namaz Dograye Yani Tanha Tanha Dowara Padhen
(Fatawa Shami Bukhari Kitabus'Salat Baab Juma Page 32,33)
(Qanoone Shariyat Hissa 1 Page 146)
(Sharah Hidaya jild 2 baad kitabul juma)

******************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur tamaam aafato, wabaao aur beemaariyo se hamari hifazat farmae aur hamaare jaan aur maal ki hifazat farmae aur aman o sukoon ata farmae.
Aur in baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aameen.


Ghar par juma ki namaz hogi ya nahi? || ghar par zohar ya juma || shehar aur dehaat ka masla Lockdown Me Juma ki Namaz Kaise Padhen Is video ko Zarur dekhen

Post a Comment

0 Comments