Namaz Ki Fazilat Aur Benamazi ki Sazaa

Namaz Ki Fazilat Aur Benamazi ki Sazaa



Namaz Ki Fazilat Aur Benamazi ki Sazaa


* bachcha jab 7 saal ka ho jaaye to use namaz ka hukm do aur aur jab 10 saal ka ho jaaye to maarkar padhao

📕 Abu daood,jild 1,safah 77

* Momin aur kaafir ke darmiyan farq sirf namaz ka hai

📕 Nisaayi,jild 1,safah 81

* Qayamat ke din bande se aamal me sabse pahle poochh namaz ki hogi

📕 Kanzul ummal,jild 2,safah 282

* JIski asr ki namaz faut ho gayi uska amal zaaya ho gaya

📕 Bukhari,jild 1,safah 78

* Jo shakhs jaanbujhkar ek waqt ki namaz chhod de to uspar se ALLAH ka zimma uth gaya

📕 Alithaaf,jild 6,safah 392

* Namaz me susti karne waale qayamat ke din suwar ki surat me uthenge

📕 Kya aap jaante hain, safah 439

* Jahannam me ek waadi hai jiska naam wail hai uski garmi ka ye haal hai ki usse jahannam bhi panaah maangta hai usme be namazi daale jayenge

📕 Paara 30,surah maoon,aayat 4
📕 Bahare shariyat,hissa 3,safah 7

* Jo namazo ko unke waqt par padhe aur uske aadab ki hifazat kare to maula par ahad hai ki usko jannat me daakhil kare
*
aur jisne namazo ko chhoda ya padhne me uske aadab o arkaan sahi na rakha to maula par koi ahad nahin chahe to use bakhshe aur chahe azaab de

📕 Majmauz zawayed,jild 1,safah 302

* Hazrat Moosa Alaihissalam ki baargah me ek aurat haazir huyi aur kaha ki aap ALLAH  se meri sifarish farma dijiye ki mujhse bahut bada gunah sarzad ho gaya hai*

Aapne poochha ki kya to kahne lagi ki maine zina karaya aur usse jo bachcha paida hua use qatl kar diya,

hazrat moosa alaihissalam farmate hain ki ai faasika faajira aurat nikal yahan se kahin teri nahusat ki wajah se hum par bhi azaab naazil na ho jaaye wo wahan se chali gayi,

hazrat jibreel alaihissalam haazir hue aur farmaya ki aapne us tauba karne waali Aurat ko kyun wapas kar diya to aap farmate hain ki maine usse zyada burayi waala koi na dekha to hazrat jibreel alaihissalam farmate hain ki jo shkahs jaanbujhkar namaz chhodta hai
wo is aurat se bhi zyada badkaar hai

📕 Kitabul kabayer,safah 44

Jo Shakhs Namaz Nahin Padhta Use Duniya Aur Aakhirat Me kya Sazayen Milti Hai Wo bhi Mulaheza Farma Lein


5 duniya ki saza

! Uski umr me barqat khatm ho jayegi
! Uske chehre se noor hat jayega
! Uske kisi aamal ka ajr nahin milega
! Uski koi dua qubool nahin hogi
! Use nekon ki dua se bhi faiz nahin milega

3 marte waqt ki saza

! Wo zaleel hokar marega
! Bhookha marega
! Pyasa marega aisa ki agar duniya ke tamam samandar ka bhi paani pila diya jaaye tab bhi uski pyas na bujhegi

3 qabr ki saza

! Uspar qabr tang ho jayegi aisi ki uski pasliya tootkar us doosre me paiwast ho jayengi
! Uske neeche aag jala di jayegi
! Uski qabr me ASH SHUJAUL AQRA naam ka ek ganja saamp muqarrar kiya jayega jo use saza dega,uski aankhen aag ki aur naakhun lohe ke hain aur uski aawaz bijli ki garaj ki tarah hai,to agar fajr ki namaz nahin padhi to wo fajr se lekar zuhar tak maarta rahega agar zuhar padh li to chhod dega warna zuhar se asr tak maarega aur yunhi hamesha chalta rahega,aur uski ek zarb se murda 70 gaz zameen me dhans jayega

3 hashr ki saza

! Usse sakhti se hisab liya jayega
! Rub taala usse naaraz hoga
! Use jahannam me daakhil kiya jayega

📕 Muqashifatul quloob,safah 392

* Aur ab namaz ke faayde bhi padh lijiye


! Kashayish rizq milega
! Azabe qabr se mahfooz rakhega
! Namaye aamal daahine haath me milega
! Pul sirat se bijli ki tarah guzar jayega
! Jannat me daakhil hoga

📕 KItabul kabayer,safah 41

*Ab inaam chahiye ya saza faisla aap khud karen marzi aapki kyunki jism hai aapka*

Agar in sabko padhkar dil me kuchh khauff paida ho gaya ho aur tauba ka iraada rakhte hon to fauran ye kaam karen ki ek achchhe haafiz ko lagakar sabse pahle Quran ko makhraj se padhna seekhen aur namaz ke tamam masayal ko Sikhen
Aur sabse pahle apni namaz sahih kar lijiye in sha ALLAH duniya aur aakhirat dono sahi ho jayegi

AAj se balki abhi se namaz shuru kar dijiye aur jo namazein qaza ho chukin unhein ada karna shuru karen

Allah Amal ki Toufeeq Ataa Farmaye Aameen




Post a Comment

0 Comments