Hikayat Rahemdili

Hikayat Rahemdili Hazrat Farookh-A-Aazam Radi-Allahu-Anhu

Hikayat Rahemdili

    
🌺Hazrat Farookh-A-Aazam Radi-Allahu-Anhu Ne Ek Shaks Ko Ek Ilake Ka Haakim Mukarrar Farmane Keliye Kaatib Se Farmaya, Ki Uski Imarat Keliye Kagaz Likho! Kaatib Likh Hi Raha Tha Ki Ek Chota Baccha Aaya! Hazrat Farookh-A-Aazam Radi-Allahu-Anhu Ki Goadh May Aa Baitha Aur Hazrat Farookh-A-Aazam Usse Pyar Karne Lage! Wahi Naam-Zadh Shaks Jiski Imarat Keliye Kagaz Likha Jaraha Tha! Kehne Laga, Aye Amirul Momineen! Mere 10 Bacche Hain! Magar Maine Aajtak Kisi Bacche Ko Karib Nahi Phatakne Diya! Aapne Us Bacche Ko Goadh May Bitha Liya Hain!
🌺Hazrat Farookh-A-Aazam Yeh Sunte Hi Hukm Diya Ki Kagaz Fhaad Diya Jaye! Uske Takarrar Ko Mansukh Samjha Jaye! Yeh Haakim Banne Ke Layek Nahi! Usne Pucha Ki Mera Kasoor?
🌺To Farmaya, Jo Shaks Apni Aulaad Per Rahem Nahi Karta Wo Riyaya Per Kab Rahem Karega?
(Sacchi Hiqayat Hissa-5 Pg-803)
****************

Ye Bhi Padhen ↓↓↓↓
  1. Haiz (Period) va Nifas ke Masail menstruation
  2. Kuchh Zaruri Masail
  3. Ghusal ka Tareeqa
  4. Sohbat (humbistari) ka Islamic Tariqa
🌷SABAK🌷
     ****
🌸Haakim Ke Dil May Rahem Wa Shafakat Hona Zaruri Hain! Sangdil Is Kaabil Nahi Ki Wo Haakim Bane Aur Yeh Bhi Malum Hua Ki Hazrat Farookh-A-Aazam Bade Rahem Dil The! Riyaya Ka Uneh Bada Khayal Tha!
🌸Riyaya Ka Khayal Wahi Rakhta Hain Jiske Dil May Khuda Ka Khauf Ho! Fir Aisi Mubarak Hasti Ka Dushman Wahi Hosakta Hain Jiske Dil May Khuda Ka Khauf Na Ho!

Post a Comment

1 Comments

Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe