Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya Part-4



​Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya Part-4

* Ek din aap ne samundar ke kinare ek mare hue shakhs ko dekha jiski laash ko machhliyan kha rahi thi phir kuchh deir baad usi laash par kuchh parinde bhi aa gaye aur unhone bhi us laash ko khaana shuru kar diya 

phir kuchh jangli jaanwar aaye aur unhone kuchh khaaya,jab aapne ye manzar dekha to aapke dil me ye shauq paida hua ki main apni aankh se dekhna chahta hoon ki maula taala kis tarah murdo ko zinda farmayega aur aapne baargahe khudawandi me apni aarzu pesh kar di

khayal rahe ki aapko khuda ki qudrat par shaq nahin tha kyunki aapne kaafiro se khuda ki yahi sifat bayaan ki thi "ki mera rab wo hai jo maarta hai aur jilaata hai" 

agar aapko is baat me shaq hota to hargiz aap aisa nahin kahte balki sirf apni aankhon se rab ki qudrat ka mushahda karna chahte the,aur ye bhi khayal rahe ki agar aapko is baat me shaq hota to yaqinan aap par khuda ka etaab hota 

magar hargiz aisa nahin hua balki maula farmata hai "ai khaleel tum 4 parindo ko milakar alag alag pahado par rakh do phir unko bulao to wo tumhare paas daudte hue aayenge" hazrat ibraheem alaihissalam ne mor-kabutar-murg-kawwa in chaaro ko keema banakar sabko ek saath mila diya phir un sab me se 4 hisse karke 4 alag alag pahadiyon par rakh diye aur sabka sar apne paas rakh liya,ab jis parinde ko aap aawaz dete to uske poore ajza chaaro pahadiyon me se udte hue aate aapki aankhon ke saamne sab ikattha hota aap us par jaise hi sar ka tukda lagate wo zinda hokar ud jaata

📕 Khazayenul irfan,safah 66

* Maula ki qudrat ki baat chali to ye riwayat bhi zahan me aa gayi padh lijiye,

bukhari wa muslim sharif me hai ki ek shakhs bahut hi gunahgar tha jab wo marne laga to apni aulaad ko wasiyat ki mere marne ke baad mujhe dafn na karna balki jala dena aur meri raakh ke 2 hisse karna ek hisse ko hawaon me uda dena aur doosre hisse ko paani me baha dena,

uski aulaad ne aisa hi kiya maula ne hawa ko hukm diya ki iske saare zarrat ko mila do aur paani ko hukm diya ki iske saare zarrat ko mila do to dono ne aisa hi kiya,jab uske jism ke do hisse ban gaye to maula ne dono ke milakar usme rooh lautayi aur farmaya ki teri aisi wasiyat karne ki kya wajah thi 

halaanki wo sab jaanta hai,to banda arz karta hai ki maula main bahut hi gunahgar tha mujhe yahi khauf tha ki agar mujhe azaab diya gaya to duniya ka sabse zyada azaab mujhi par hoga to tere isi khauf se maine aisa faisla kiya to maula farmata hai

ki tere isi khauf ne aaj tujhe bacha liya aur wo bakhsha gaya kyunki khuda se darna hi to saari ibadat ki asl hai

📕 Ahwaale barzakh,safah 12

* Insaan ke reedh ki haddi me kuchh aise maheen ajza yaani kan hote hain jo kisi doorbeen se bhi nahin dikhayi dete aur na hi use miiti gala sakti hai aur na aag use jala sakti hai,insaan ka poora badan khatm ho jaata hai magar ye ajza qayamat tak sahi salamat rahte hain isko AJABUZ ZANB kahte hain,roze qayamat yahi ajabuz zanb apne poore jism ko ikattha karke phir se usi surato haibat par khada ho jayega

📕 Bahare shariyat,hissa 1,safah 28

Hazrat ibraheem alaihissalam hijrat karke apni dono biwiyon ke saath filisteen me bas gaye,wahan ke logon ne aapki khoob kadro manzilat ki jab ALLAH ne aapko khoob maalo daulat se nawaz diya to aapka imtihan liya 

aur aapki zauja hazrate haajra raziyallahu taala anha wa masoom bete hazrat ismayeel alaihissalam ko haram ki zameen par chhodne ka hukm diya,us waqt wahan par na to kaaba tha na zamzam na hariyali aur na koi insaan biyabaan registan tha jahan koso door tak koi nahin dikhta tha,

aapne ek thaile me kuchh khajurein aur ek paani ka mashkeeza dekar unhein chhodkar jaane lage to hazrat bibi haajira aapke peechhe peechhe aati rahin aur yahi poochhti thin ki hame yahan kiske bharose chhodkar jaate hain 

jab koi jawab nahin mila to aap farmatin hain ki kya khuda ka yahi hukm hai is par aap farmate hain ki haan to aap wapas laut jaati hain,kuch din tak to wo khajoor aur paani saath dete hain phir wo bhi khatm ho jaate hain 

jab hazrate haajira ka doodh banna bhi khatm ho gaya to bachcha bhook aur pyas se bilbilane laga,aap uski bhook aur pyas ko bardaasht na kar sakin to qareeb hi do pahadiyan thi safa aur marwa aap kabhi safa par daud kar jaatin ki kahin se paani dikh jaaye

 jab kahin kuchh nadikhta phir daud kar marwa par jaatin ki shayad yahan se kuchh nazar aa jaye isi pareshani ke aalam me aapne safa aur marwa ke 7 chakkar laga liye,ALLAH ko aapki ada itni pasand aa gayi ki qayamat tak ke liye use haajiyon ka arkaan bana diya,idhar jab pyas se masoom bachche hazrat ismayeel alaihissalam ko pareshani huyi to wo apni ediyon ko ragadne lage ALLAH ki aisi qudrat ki jahan aapne apni ediyan ragdi wahan se paani ka chashma ubal pada jab hazrate haajira wapas aayi to dekha ki paani se poori waadi gark huyi jaa rahi hai to aapne apni zabaan me jo ki suryani thi 

paani ko farmaya ZAM ZAM yaani thahar ja to paani ka nikalna bund ho gaya,aur paani chashme me qaid ho gaya huzoor salllalaho taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki ALLAH hazrat ismayeel ki waalida par raham kare agar aap use thaharne ka hukm na deti to zam zam ka chashma nahar ki tarah jaari ho jaata,

jab wahan paani ka intezaam ho gaya to parinde bhi aane lage aur raah se guzarne waale bhi wahan rukne lage phir qabeele dar qabeele usi zameen par basna shuru ho gaye,sabse pahla jo qabeela wahan basa uska naam jarham tha isi qabeele ki ek ladki se hazrat ismayeel alaihissalam ka nikah hua
📕 Tazkiratul ambiya,safah 103

Part 1,2,3 yahan Se Padhen👇👇
► Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya Part-1
► Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya Part-2
► Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya Part-3

Aur Isko Share Karna Na bhoolen

Post a Comment

0 Comments