Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya Part-3

Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya Part-3



Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya Part-3


* Nasaara ke ek firqa hai jiska naam saayba hai usi kabile ke baadshahon ka laqab namrood hai,ab tak 6 aise baadshah guzre hain jinka laqab namrood hua

1. namrood bin kunaan bin haam bin nooh,yahi hazrat ibraheem alaihissalam ke zamane ka namrood hai

2. namrood bin kosh bin kunaan bin haam

3. namrood bin sanjaar bin garoor bin kosh bin kunaan

4. namrood bin maash bin kunaan

5. namrood bin saarog bin argu bin malikh

6. namrood bin kunaan bin masaas bin nuqta

๐Ÿ“• Umtadul qaari,jild 1,safah 93
๐Ÿ“• Hayatul haiwan,jild 1,safah 98

* Ab tak 4 aise baadshah guzre hain jinhone poori duniya par huqumat ki hai 2 momin hazrat sikandar zulqarnain aur hazrat suleman alaihissalam aur 2 kaafir namrood aur bakhte nasr,aur anqareeb paanchwe baadshah hazrat imam menhdi raziyallahu taala anhu honge jo poori duniya par huqumat karenge

๐Ÿ“• Alitqaan,jild 2,safah 178

* Namrood ne 400 saal huqumat ki,namrood ke paas kuchh tilismati chizen thi jiski bina par usne khudayi ka daawa kiya

! taambe ka ek butt tha,jab bhi koi chor ya jasoos shahar me daakhil hota to us butt se aawaz aati jisse wo pakda jaata

! ek naqqarah tha,jab kisi ki koi cheez gum ho jaati to uspar chob maara jaata to wo gumshuda cheez ka pata batati

! ek aaina tha,agar koi shakhs gum ho jaata to usme nazar aa jaata ki kahan par is waqt hai

! ek darakht tha,jiske saaye me log baithte aur uska saaya badhta jaata yahan tak ki 1 laakh log baith jaate the magar jaise hi 1 laakh se 1 bhi zyada hota to saaya hat jaata aur sab dhoop me aa jaate

! ek hauz tha,jisse muqadme ka faisla hota yun ki muddayi aur muddaa alaih dono ko us hauz me utara jaata jo sachcha hota uske naaf se neeche paani rahta aur jhoota usme dubki khaata

๐Ÿ“• Tafsire nayimi,jild 1,safah 677

* Namrood ne shahre babul me ek imarat banwayi jiski unchayi 15000 fitt thi,usne ye imaarat aasman waalon se ladne ke liye banwayi thi,maula ne ek aisi hawa chalayi ki poori imaarat zameen par aa gayi aur uski dahshat se log 73 zabane bolne lage usse pahle tak sirf ek zabaan suryani hi boli jaati thi

๐Ÿ“• Tafsire khazaynul irfan,para 14,ruku 10

* Namrood ne hazrat ibraheem khalil ullah ko aag me daalne ke liye jo aag jalwayi thi uski laptein kayi sau fitt oopar tak jaati thi usi aag ki tapish se ek machchhar ke par wa pair jal gaye,is machchhar ne rub ki baargah me dua ki to maula ne farmaya ki ghum na kar main tere zariye hi namrood ko halaak karwaoonga,

ye machchhar ek din namrood ki naak ke zariye uske dimaag me ghus gaya aur andar hi andar kaatna shuru kiya,us taqleef se maut hazaar darja behtar thi,jab wo kaatta to namrood apne sar par chappalon se maara karta,diwaar me sar maarta aur isi tarah tadap tadap kar mara

๐Ÿ“• Tafsire nayimi,jild 3,safah 68
๐Ÿ“• Malfuzat nizamuddin aulia,safah 162

* Jab namrood ne aag ko gulzaar hota dekha to samajh gaya ki hazrat ibraheem alaihissalam ka khuda hi sachcha khuda hai aur usne usi waqt uski baargah me qurbani karne ka faisla kiya,

jab ye baat hazrat ibraheem alaihissalam ko pata chali to aapne farmaya ki bagair imaan laaye tera koi bhi amal qubool nahin to wo bola ki baadshahat to main nahin chhod sakta magar qurbani ki jo nazr maine maan li hai use to poora karunga phir usne 4000 gaaye ALLAH  raah me qurbaan ki,

aapki sadaqat ko dekhkar namrood ne aapko darbaar me munaazre ke liye bulwaya,aur aapse kahne laga ki tumhara rub kaun hai jiski main ibadat karun to aap bole ki mera jab wo hai jo maarta hai aur jilaata hai,

is baat ka namrood ne galat matlab nikala aur kahne laga ki ye to main bhi karta hoon aur tab usne do qaidiyon ko bulwaya ek ko phaansi ki saza hone waali thi aur doosre ko aaj hi rahayi milne waali thi to jisko rihayi milne waali thi usko sooli de di aur jisko maut ki saza thi usko riha kar diya aur bola dekho main bhi maarta hoon aur jilata hoon,

uski ye ahmakana daleel sunkar hazrat ibraheem alaihissalam ne kaha ki mera rub wo hai jo mashrik se suraj nikaalta hai aur maghrib me dubota hai agar tu khuda hai to magrib se suraj ko nikaalkar dikha,aapki ye baat sunkar wo uske hosh ud gaye

jab usse iska jawab nahin ban saka to bola ki mere paas tumhare liye koi galla nahin hai tum usi se maango jiski ibadat karte ho,ghar laute hue hazrat ibraheem alaihissalam ne apne jhole me reit bharkar le aaye subah ko jab hazrate saara ne jhola khola to usme khushbudar genhu maujood tha jise unhone peeskar rotiyan banayi,

jab aapne poochha ki roti kaha ne aayi to kahne lagin ki raat aap hi to gehun laaye the wo samajh gaye ki ye mera rizk hai jo mere rub ne mujhe diya hai

๐Ÿ“• Tazkiratul ambiya,safah 91--94

* Sabse pahle taaj namrood ne pahna,riyaya par zulm kiya,khudayi ka daawa kiya,iski umr 800 saal huyi

๐Ÿ“• Khaazin,jild 2,safah 124

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne kanghi banwayi

๐Ÿ“• Aayinaye tarikh,safah 70

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne baalon me maang nikali,mehman khaana banwaya,nalain pahni,haj ke dauran baal mundwaye,buton ko toda,peshani par bosa diya

๐Ÿ“• Mahaziratul awayil,safah 37--39

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne khatna kiya aapse pahle khatne ka hukm nahin tha,mehman nawazi ki,sabse pahle aapke baal safed hue

๐Ÿ“• Khaazin,jild 1,safah 89

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne mooye zere naaf moonda

๐Ÿ“• Albidaya wannihaya,jild 1,safah 175

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne hi paijama pahna

๐Ÿ“• Fatawa razviya,jild 10,safah 84

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne hi hijrat ki

๐Ÿ“• Ruhul bayan,jild 2,safah 973

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne hi nakhoon kaate aur munchho ko halki kiya

๐Ÿ“• Tafseere saavi,jild 1,safah 53

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne hi jihaad kiya aur lashkaro ki tarteeb di,talwar chalayi,member par khutba diya aur menhdi ka khizab kiya

๐Ÿ“• Tafseere azizi,jild 1,safah 373

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne hi paani se istinja kiya aur miswak ki

๐Ÿ“• Maarejun nubuwat,jild 1,safah 133

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ne muanaqa kiya

๐Ÿ“• Fatawa razviya,jild 10,safah 10

* Sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ko hi qayamat ke din libaas pahnaya jayega

๐Ÿ“• Mishkat,jild 2,safah 483

* Jab huzoor sallallaho taala alaihi wasallam meraj sharif par gaye to hazrat ibraheem alaihissalam ne aapke maarefat aapki ummat ko salaam kahalwaya

๐Ÿ“• Mishkat,jild 1,safah 202

To be continued.......... Insha Allah Jald hi Agla Part Pesh kia Jaega

Part 1 Aur 2 yahan Se Padhen๐Ÿ‘‡๐Ÿ‘‡
► Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya Part-1
► Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya Part-2

Aur Isko Share Karna Na bhoolen

Post a Comment

0 Comments