Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya Part-1

 
Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya

*Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya*


Part 1

* Aapka naam ibraheem aur laqab abuzzaif yaani bahut bade mehman nawaz aur abul ambiya yaani nabiyon ke baap hai kyunki 8 ambiya ikraam yaani hazrat aadam 

hazrat sheesh hazrat idrees hazrat nooh hazrat hood hazrat saaleh hazrat loot aur hazrat yunus alaihissalato wattasleem ke alawa baaki saare nabi aap hi ki nasl se hue,aapke 2 saahab zaade nabi hue 

hazrat ismayeel alaihissalam jo ki hazrate haajra raziyallahu taala anha ke bete hain aur doosre hazrat ishaaq alaihissalam jo ki hazrate saara raziyallahu taala anha ke bete hain

📕 Nuzhatul qaari,jild 6,safah 501
📕 Tafseere azizi,jild 1,safah 373

* Aapka nasb naama ye hai ibraheem bin taarakh bin nakhoor bin saaroo bin raoo bin taatey bin aamir bin saaleh bin arfah bin saam bin hazrat nooh alaihissalam,

aur aazar aapka chacha jo ki kaafir tha kuchh log use hazrat ibraheem alaihissalam ka baap kahte hain ye be asl hai,kyunki kisi bhi ambiya alaihissalato wattasleem ke aaba wa ajdaad me koi bhi kaafir na hua

sab mohid momin the,chunki arab qaum me chacha ko bhi baap hi kahte hain isi liye quran ne aazar ko aapka baap yaani abiyah kaha jaisa ki khud hadise paak me hai ki ek martaba huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ne yun farmaya ki 

"mere baap abbas ko mujhpar pesh karo"

halaanki wo aapke baap nahin balki chacha hain,aap toofane nooh ke 1709 saal baad aur hazrat eesa alaihissalam se 2300 saal pahle amwaaz ke ilaaqe maqame sous me paida hue

📕 Tafseere nayimi,jild 1,safah 810

* Aapki waalida ke naam me ikhtilaf hai saani ya noofa ya lewsa ya amiliya ya boona bint karban bhi mazkoor hai

📕 Alitqaan,jild 2,safah 186
📕 Albidaya,jild 1,safah 140


* Namrood bin kunaan jaabir baadshah tha jo ki logon se apni parashtish karwata,uske darbaar ke nujumiyon ne use bataya ki ek bachcha paida hone waala hai

jo ki teri halaqat ka baayis hoga,usne ye sunkar fauran hi jo bachche paida hue the sabko marwa diya aur jo hamal me the sabka hamal girwa diya

aur miyan biwi ko milne par bhi pabandi lagwa di,magar taqdeere ilaahi ko kaun taal sakta hai aapki waalida muhtarma haamila ho gayin 

magar umr kam thi so hamal pahchaan me na aata tha jab aapki wiladat ka waqt qareeb aaya to aapke waalid unhein shahar se door ek tah khaane me le gaye jo unhone pahle hi khod rakha tha,wahin aapki wiladat huyi

Aapki waalida aapko rozana usi tahkhaane me doodh pila aati aur aate gaar ke munh ko pattharo se dhak diya karti,aap ek mahine me itna badhte the jitna ek aam bachcha saal bhar me badhta tha,

aap tahkhaane me kitni muddat rahe isme kayi qaul hain baaz ne 7 baras baaz ne 13 aur baaz ne 17 bhi likha hai

📕 Khazayenul irfan,para 7,ruku 15


* hazrat ibraheem alaihissalam ki taraf 3 jhooth ki nisbat ki jaati hai pahli baat aapka ye kahna ki main beemar hoon,

Doosra buto ko todkar inkaar karna,Teesra apni biwi ko bahan kahna,magar ek nabi hargiz hargiz hargiz jhooth nahin bol sakta aayiye uski poori tafseel dekhte hain

hazrat ibraheem alaihissalam ne apne chacha se kaha ki kyun in buto ki pooja karte ho jo na sun sakte hain aur na bol sakte hain par wo nahin 

maane udhar qaum ka ek salaana mela lagta tha jise wo eed kahte the unhone jab hazrat ibraheem alaihissalam se us mele me chalne ko kaha to aapne aasman ki taraf dekha 
aur
farmaya ki "main beemaar hone waala hoon" ispar wo samjhen ki ye beemar hain aur aapko chhodkar mele me chale gaye idhar aapko haalat munasib nazar aaye aur aapne un sab buton ko tod daala aur wo hathauda ek bade but ke kaandhe par rakh diya aur use nahin toda,

udhar qaum ko jab ye pata chala to bhaagti huyi aayi aur kaha ki kisne hamare khudaon ka ye haal kiya ispar aapka naam aaya ki aap hi unki 

mukhalifat karte hain aur aaj gaon me sirf aap hi maujood the,aapko bulakar jab poochha gaya ki in buto ko kisne toda to aapne farmaya "unke is bade ni kiya hoga"

*Pahla qaul ye ki main beemar hone waala hoon* aapke kahne ka ye matlab hargiz nahin tha ki main kal hi beemar hone waala hoon,

aakhir zindagi me aadmi kabhi to beemar hoga hi is maayne ko TAURIYAH kahte hain yaani kahne waala apni baat ki muraad door ki le agar che sunne waala qareeb samjhe aur agar isko yun bhi kahen ki main beemar hi hoon

 tab aapke kahne ka matlab ye tha ki tumne ek ALLAH ko chhodkar na jaane kitne baatil mabood bana rakhe hain isi wajah se main zahni pareshani me mubtela hoon aur mera qalb beemar hai agar che log iska maane kuchh bhi samjhen

*Doosra qaul ye ki is bade ne kiya hai* iski 7 sharahein hain

1. Pahla ye ki apne ye nahin farmaya ki ye kaam is but ne hi kiya hai balki isse aapne zaat hi muraad li isko yun samajhiye jaise mera ye msg aap padhen aur phir mujhse poochhen ki kya ise aapne likha hai

to main kahun ki nahin tumne likha hai to yahan aitrazan kaha ki are bhai tumne to likha nahin to zaroor maine hi likha hoga is kalaam ko TAAREEZ kahte hain,

matlab hazrat ibraheem alaihissalam se qaum ne poochha ki kya ye sab tumne kiya hai to aapka ye farmana ki nahin is bade ne kiya hai dar asal unko yahi 

bataana tha ki jab ye bol nahin sakta sun nahin sakta jawab nahin de sakta to buto ko kya khaak todega zaahir si baat hai maine hi kiya hai,magar is kalaam ko wo nahin samjhen

2. Doosra ye ki kabhi kabhi kaam karne ki nisbat bhi karwane waale ki taraf ki jaati hai maslan aap quran padh rahe hai 

achanak aapka beta kamre me daakhil hua aur aakar t.v chaalu karke baith gaya aap uthe aur do thappad raseed kar diye jab ghar waalo ne poochha ki aisa kyun 

kiya to aapne t.v ko hi zimmedaar thahrate hue kaha ki sab isi ne kiya hai bas usi tarah qaum ke log un buton ko mabood samajhte aur unhein khoob 

sajaate aur us bade but ko kuchh zyada hi tawajjoh dete jiski wajah se aapko gussa aaya aur saare buton ko todkar usi ki taraf nisbat kardi kyunki gussa usi ki wajah se aaya tha

3. Teesra ye ki jab qaum buto ko mabood maanti hai to phir usko qudrat bhi honi chahiye to hazrat ibraheem alaihissalam ka uski taraf nisbat karna ki isne ye kiya hai

 phir qaum ka ye kahna ki ye to kuchh harqat nahin kar sakta dar asal unko samjhana muraad tha ki jab tum khud jaante ho ki wo aisa nahin kar sakta to kyun usko maabood samajhkar pooja karte ho

4. Chautha ye ki aapka kalaam ye tha ki jisko karna tha wo kar chuka ab agar iske andar bolne ki salahiyat hai to isi se poochh lo ki kisne kiya hai

5.Paanchva ye ki KABIRAHUM par waqf hai aur phir kalaam ki shuruaat HAAZA se hai matlab aapka ye kahna ki inke bade ne kiya hai matlab aapne bade se apni zaat muraad li ki main 

hi wo bada hoon kyunki but kitna bhi bada ho par insaan se bada nahin ho sakta

6. fail ki izafat bade but ki taraf MASHROOT ke taur par hai matlab ye ki agar ye bolta hai to isne kiya hai aur nahin bolta to zaahir hai ki nahin bolta to isne nahin balki maine kiya hai kyunki kalaam me taqdeem wa takheer hai

7. Ek qerat FAALAHU KABIRAHUM bhi aayi hai matlab ye ki shayad inke bade ne kiya ho

*Teesra aapka apni biwi ko bahan kahna* Jab qaum aapki baat nahin maani to namrood ke hukm se aapko aag me daala gaya aag aap par gulzaar ho gayi,

jab aap baahar aaye to to aap qaum se bahut na ummeed ho gaye aur sab kuchh chhodkar aap apne chacha haaran ke paas chale gaye,

aapki sadaqat ko dekhkar aapke chacha ne apni beti hazrate saara ka nikah aapse kara diya magar aapne wahan bhi haq ki sada buland karni shuru kardi 

jis par aapke chacha ne aapko wahan se chale jaane ko kaha aap jab shahre falasteen se guzre to wahan ka baadshah jo ki bahut zaalim tha aur har aadmi ki biwi ko apne qabze me le leta tha

jab usko aapki aur hazrat saara ke aane ki khabar huyi to dono ko darbaar me bulwaya aur aapse poochha ki ye aurat kaun hai chunki wo aapke chacha ki beti thin so aapki bahan bhi huyin isi nisbat se aapne kaha ki ye meri bahan hai,


magar us baadshah ne phir bhi unko na chhoda aur buri niyat se unki taraf badha to ALLAH ne us par azaab musallat kar diya wo gidgidane laga aur aapse maafi chahi to aapne use maaf kar diya tab us baadshah ne ek kaneez yaani hazrate haajra ko dono ko diya aur rukhsat kiya

*Alhaasil kalaam aapka teeno sachcha tha magar logon ne uske maane apni aql ki hisaab se tai kiye aur use jhooth samjha*

📕 Tazkiratul ambiya,safah 82--85

* Aapne 4 nikah kiye hazrate haajira wa hazrate saara in dono ke wisaal ke baad qantura bint yaqtan aur unke inteqaal ke baad hijoon bint zaheer se,magar sabse pahla nikah aapke chacha haaraan ki beti hazrate saara se hua,

jis tarah mardo me sabse zyada haseen hazrat yusuf alaihissalam hue hain usi tarah aurton me sabse zyada khoobsurat

 hazrate saara raziyallahu taala anha huyin hain balki hazrat yusuf alaihissalam ka husn bhi apni daadi hazrate saara ka hi sadqa tha

📕 Alakaamil fittarikh,jild 1,safah 50
📕 Tazkiratul ambiya,safah 99


* Aapne jin buto ko toda unki taadad 72 thi

📕 Maarejun nubuwat,jild 1,safah 76

* Jis waqt aapko aag me daala gaya us waqt aapki umr 16 saal thi aur aag me aap 7 din rahe

📕 Tafseere jamal,jild 3,safah 163


Part 2,3,4,5 yahan Se Padhen
► Hazrat Ibraheem Alaihissalam Ka Waqiya Part-5
Aur Isko Share Karna Na bhoolen

Post a Comment

0 Comments