JAB ISTINJAH KHANE ME DAKHIL HONA CHAHE TOH
"ALLAHUMMA INNI AOOZUBIKA MINAL KHUBSE WAL KHABAIS"
( Shih Muslim Kitabul Taharat 32 Raqam 275 Page 199 )
Padh Kar Pahle Bayan(left) Qadam Rakhe
Aur Nikalte Waqt Pahle Dahina(right) Paun Nikale Aur
"GHUFRANAKA"
Padhe
( Tirmizi Kitabul Taharat Raqam 7 Jild 1 Page 87 )
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Namaz Ka Tareeqa
° Ghusal-Ka-Tareeqa
° Wuzu-Ka-Tareeqa
° Tayammum-Ka-Tariqa
Istinjah Karne Ka Tariqa
Ki Pahle Paak Mitti Ya Patthar Ya Fate Purane Kapde Lekar
Peshab Ki Jagah Sukha Le
Aur Agar Qatrah Aane Ka Shub'ha Ho Toh Kuch Tahel Le
Ya Khans Kar Ya Paun Zameen Par Mar Kar Koshish Karen Ki Ruka Hua Qatrah Bahar Nikal Pade
Fir Pani Se Peshab Ki Jagah Dho Dale Aur Pakhane Ke Bad Istinjah Karne Ka Yeh Tariqah Hai
Ki Pahle Chand Dhelon Ya Pattharon Se
Pakhana Ki Jagah Ko Ponch Kar Saaf Kare
Fir Pani Se Achchi Tarah Dho Le
Note:
Pichle Zamane me Paani Mushkil
se Haasil hota tha
Us waqt Kunwe ya talaab hi the
To log Safar me hote Ya
Paani Moujood nahi
Hota Islie mitti se istenja kia kerte
The
Par Aaj hamare Pas Paani Moujood hai
Har Ghar me Rehta hai
Islie Agar Aapke pas Paani hai
to usi se Dho le Mitti k dhelo ki
Zarurt hai Han Agar
Kahin Paani na mil paye to
fir Mitti ke dhelo se hi karen
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Namazi-k-Saamne-se-Guzarna-Mana-hai Hatna Nahi
° 5 WAQT NAMAZ ME SUSTI KARNA AUR WAZIFE PADNA
° Azaan-ka-Jawab-Kaise-den
° Juma-ki-Azan-Hone-Ke-Baad-Karobar-Karna Haraam Hai
° Quraan-padhne-Ka-Tariqa
MAS-ALA
---------------------------
Dhela Aur Pani Donon Bayen Hath Se Istemal Kare
Dahine Hath Se Istinjah Na Kare
( Fatawah Hindiyah Kitabul Taharat Jild 1 Page 48-49 )
MAS-ALA
----------------------------
Dhelah Istemal Karne Ke Bad Pani Se Dho Lena Ye Istinjah Ka Mustahab Tariqah Hai
Warna Sirf Dhela Aur Sirf Pani Se Bhi Istinjah Kar Lena Jayez Hai
( Fatawah Hindiyah Kitabul Taharat Jild 1 Page 48 )
MAS-ALA
------------------------
Khane Ki Chizen kagaz Haddi Gobar Koyla Aur Janwaron Ke Charey Se Istinjah Karna Manaa Hai
MAS-ALA
------------------------
Peshab Pakhana Karte Waqt Qiblah Ki Taraf Munh Ya Peeth Karna Jayez Nahin Hai
Hamare Mulk Mein Uttar Ya Dakkhin Ki Janib Munh Karna Chahiye
MAS-ALA
------------------------
Talaab Ya Nadi Ke Ghat Par Kunwen( Well ) Ya Hauz Ke Kinare
Pani Mein Agarchey Bahta Hua Pani Ho
Fal Wale Ya Saya Dar Darakht Ke Niche
Aise Khet Mein Jisme Kheti Maujud Ho
Qabristan Mein Bich Sadak Aur Raston Par
Janwaron Ke Baithne Ya Bandhne Ki Jaghon Par
Aur Jahan Log Wuzu Ya Ghusl Karte Hon
Aur Jis Jagah Log Uthte Baithte Hon
In Sab Jaghon Par Peshab Pakhana Karna Mana Hai
( Fatawah Hindiyah Kitabul Taharat Jild 1)
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Magrib-Aur-Ishaa-ki-Namaz-Ka-Time Kabtak
° Namaz me Takbir Khade Hokar Sunna Kaisa
° Namaz Ki Sharton Ka Bayaan
MAS-ALA
------------------------
Peshab Pakhana Logon Ki Nigahon Se Chhup Kar
Ya Kisi Chiz Ki Aad Mein Baith Kar Karna Chahiye
Jahan Logon Ki Nazar Sitra Par Pade Wahan Peshab Pakhana Karna Mana Hai
MAS-ALA
------------------------
Wuzu Ke Bache Hue Pani Se Istinjah Nahin Karna Chajiye
( Bahare Shariyyat Jild1 Hissa 2 Page 115 )
MAS-ALA
-------------------------
Bachche Ko Pakhana Peshab Firane Wale Ko Makruh Hai Ki Us Bachche Ka Munh Ya Pith Qiblah Ki Taraf Kar De
Aurtein Is Taraf Tawajjoh Nahin Kartin
Inhen Lazim Hai Ki Iska Khayal Rakhen
( Fatawah Hindiyah Kitabul Taharat Jild 1)
MAS-ALA
-------------------------
Khade Hokar Ya Let Kar Ya Nangey Hokar Peshab Karna Makruh Hai
( Fatawah Hindiyah Kitabul Taharat Jild 1 Page 50 )
Yun Hi Nange Sar Peshab Pakhana Ko Jana
Ya Apne Hamrah Aisi Chiz Le Jana
Jis Par Koi Dua Ya ALLAH. Wa Rasool Ya Kisi Buzurg Ka Naam Likha Ho Mamnua Hai
Isi Tarah Peshab Pakhana Karte Waqt Baat Chit Karna Bhi Makruh Hai
( Bahare Shariyyat Jild 1 Hissa 2 Page 112 )
MAS-ALA
-----------------------
Peshab Pakhana Karte Waqt Azan Hone Lage Toh Zuban Se Azan Ka Jawab Na De
Isi Tarah Agar Khud Chinke Toh Zuban Se. ALHAMDULILLAH Na Kahe Dil Mein Kah Le
Isi Tarah Kisi Ne Chink Kar ALHAMDULILLAH. Kaha Toh
Zuban Se YARHAMAKULLAH
Kah Kar Chink Ka Jawab Na De
Balki Dil Hi Dil Mein YARHAMAKUKLAH. Kah De
( Fatawah Hindiyah Kitabul Taharat Jild 1 Page 50 )
New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge
Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.in
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣