Jisne Ramzan Ke Roze Rakhe Fir 6 Roze Aur Rakhe To
Gunaho Se Aise Nikal Gya Jaise Aaj Hi
Maa K Pet Se Paida Hua Ho
(Majma'uzzawaid vol 3 page425 hadees 5102)
- CHAAND-DEKHNE-KA-BAYAN
- Radio-Taar-Telephon-ki-Khabar-Par-Chand Maan lena kaisa
- Eid-Ki-Namaz Ka Mukammal Tareeqa
- Eid-Ke-Baad-6-Roze-Rakhne Ka Sawab
Jisne Ramzan Ke Baad
6 Shawwal ke Roze Rakhe To Aisa Hai jese Dahar Ka
(Yani Umar Bhar Ke Lie) Roza Rakha
(Muslim Sharif page 592 hadees 1164)
Hadees:
Jisne Eidul Fitar Ke Bad (Shawwal Me) 6 Roze Rakh Lie To
Usne Poore Saal K Roze Rakhe
jo Ek Neki Laaega Use 10 Milegi
(Ibne Majah Jild 2 page 333 hadees 1715)
ALLAH T'ala Ke Karam Aur Uske Habib Nabi ﷺ
Ke Sadqe Saal bhar Ke Rozo Ka Sawaab
Lootna Kis Qadar Aasaan Kar Diya Gya
Har Ek Muslman Ko Yeh Sa'adat Haansil KarLeni Chahie
1 Saal K Rozo K Sawaab Ki Hikmat Ye Hai Ki
ALLAH ﷻ Ne Hum Gunahgar
Bando Ke Lie
Mahaz Apne Fazal Se 1 Neki Ka Sawaab
Dus Gunaa Rakha He
Khuda-e-Ta'ala ﷻ Ka
Farman hai
Quraan.me
Jo 1 Neki Laaye To Uske Lie Us Jaisi 10 Hai
{Para 8 Surah An'aam Aayat 160}
Allahadulilaahi Ta'ala
Yoon Maahe Ramzan Ke Roze 10 Mahino Ke Barabar Huwe
Aur
6 Roze 60 Rozon (2 Mahine) K Barabar Is Tarah
Poore Saal K Rozon Ka Sawaab Haansil Ho Gya
EID KE BAAD K 6 ROZE KAB RAKHEN
Behtr Ye Hai Ki Yeh Roze Mutfaraq
{YaAni Naga KarKe} Rakhe Jaaye
Aur
Eid Ke Bad LaGaataar 6 Din Me Ek Sath Rakh Le
Jab Bhi Haraj Nhi
{Bahare Shariat part 5 Page 140}
Yeh Roze Eid Ke Bad Lagataar Rakhe Jaaye Tab Bhi MuzayQa Nahi
Aur
Behtar Ye Hai Ki Mutfaraq(Yani Naga KarKe) rakhe Jaaye
Yani Har Hafte Me 2 Roze
Aur
Eidul Fitar K Dusre Roz 1 Roza RakhLe
Aur
Poore Maah Me Rakhe To Aur Bhi Munasib Maloom Hota Hai
{Sunni Bahishti zevar Pge 347}
"Al Garaz Eidul Fitr Ka Din ChhorKar Sare Mahine Me
Jab Chahen shash Eid K Roze Rakh Sakte Hai"
New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge
Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.in
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣
6 Comments
(Yaani Naga Karke) 👈🏻 Iska Kya Matlab Hua
ReplyDeleteYani lagataar nahi rkhen ناغا kr k rkhen din chor chor k
DeleteYaani lagatar na rakhkar ek ya do din ke gape se rakhle
DeleteMatlab ek din ya do din chod Kar rakhe
ReplyDeleteKya eid ke agle din roza nahi rakhe aur us din ke baadse rakhe to kya munasib hai?
ReplyDeleteEidul fitar ke Agle din rakh sakte ho par Eidul Azha Ke Dino me 3 din tak roza nahi rakh sakte ijazat nahi hai.
DeleteNiche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe