ZAKAAT KE MASAIL
-----------------------------------------Zakaat Farz Hai Iska Inkar Karne Wala Kafir
Aur Na Dene Wala Fasiq wa Jahannami
Aur Ada Karne Mein Deri Karne Wala Gunahgar Wa Mardudushshahadh Hai
( Fatawah Hindiyah Kitabul Zakaat Jild 1 Page 170 )
Namaz Ki Tarah Is Ke Bare Mein Bhi Bahut Si Ayaten Wa Hadeesen Aayi Hain
Jin Mein Zakaat Ada Karne Ki Sakht Taaqeed Hai
Aur Na Ada Karne Wale Par Tarah Tarah Ke Duniya Wa Aakhirat Ke Azabon Ki Waeiden Aai Hain
MASALA
ALLAH- Ke Liye Maal Ka Ek Hissa Jo Shariyat Ne Muqarrar Kiya Hai
Kisi Faqeer Ko Maalik Bana Dena Shariyat Mein Is Ko Zakaat Kahte Hain
( Fatawah Hindiyah Kitabul Zakaat Jild: 1 Page: 170 )
MASALA
Zakaat Farz Hone Ke Liye Chand Sharte Hain
( 1 ) Musalman Hona Yani Kafir Par Zakaat Farz Nahin
( 2 ) Baligh Hona Yani Na Baligh Par Zakaat Farz Nahin
( 3 ) Aaqil Hona Yani Deewane(Pagal) Par Zakaat Farz Nahin
( 4 ) Azaad Hona Yani Laundi Ghulam Par Zakaat Farz Nahin
( 5 ) Maalike Nisaab Hona Yani Jis Ke Paas Nisaab Se Kam Maal Ho Us Par Zakaat Farz Nahin
( 6 ) Pure Taur Par Maalik Ho Yani Is Par Qabza Bhi Ho
Tab Zakaat Farz Hai Warna Nahin
Maslan Kisi Ne Apna Maal Zameen Mein Dafan Kar Diya Aur Jagah Bhool Gaya
Fir Barson Ke Baad Jagah Yaad Aai
Aur Maal Mil Gaya Toh Jab Tak Maal Na Mila Tha Us Zamane Ki Zakaat Wajib Nahin
Kunki Nisaab Ka Maalik Toh Tha Magar Is Par Qabza Nahin Tha
( 7 ) Nisaab Ka Qarz Se Faarigh Hona
Agar Kisi Ke Paas Ek Hazar Rupye Hai
Magar Woh Ek Hazar Ka Maqrooz Bhi Hai Toh Us Ka Maal Qarz Se Faarigh Nahin
Lihazah Us Par Zakaat Nahin
( 8 ) Nisaab Ka Hajate Asliya Se Faarigh Hona
Hajate Asliyya Yani Aadmi Ko Zindagi Basar Karne Mein Jin Chizon Ki Zarurat Hai
Maslan Apne Rahne Ka Makan Jadey Garmiyon Ke Kapde Gharelu Saman
Yani Khane Pine Ke Bartan Charpaiyan Kursiyan Mezein Chulhe Pankhe Waghairah
In Maalon Mein Zakaat Nahin Kunki Yeh Sab Malo Saman Hajate Asliyya Se Farigh Nahin Hain
( 9 ) Maale Nami Hona Yani Badhne Wala Maal Hona
Khwah Haqeeqatan Badhne Wala Maal Jaise Maale Tijarat
Aur Charayi Par Chhodey Hue Janwar
Ya Hukman Badhne Wala Maal Ho Jaise Sona Chandi
Ki Yeh Isi Liye Paida Kiye Gae Hain Ki In Se Chizen Kharidi Jayen
Aur Bechi Jayen Taki Nafa-a Hone Se Ye Badhte Rahen
Lihazah Sona chandi Jis Haal Mein Bhi Ho Zewar Ki Shakl Mein Hon
Ya Dafn Hon Har Haal Mein Yeh Maale Nami Hain
Aur Inki Zakaat Nikalna Zaruri Hai
( 10 ) Male Nisaab Par Ek Saal Guzar Jana
Yani Nisaab Pura Hote Hi Zakaat Farz Nahin Hogi
Balki Ek Saal Tak Woh Nisaab Milk Mein Baqi Rahe Toh
Saal Pura Hone Ke Baad Is Ki Zakaat Nikali Jaye
( Fatawah Hindiyah Kitabul Zakaat Jild: 1 Page: 171 -174 )
MAS-ALA
Sone Ka Nisab Sadhe Saat Tolah Hai
Aur Chandi Ka Nisab Sadhe Bawan Tolah Hai
Sone Chandi Main Chaliswan Hissa Zakaat Nikaal Kar Ada Karna Farz Hai
Yeh Zaruri Nahin Ki Sone Ki Zakaat Mein Sona Hi
Aur Chandi Ki Zakaat Mein Chandi Hi Di Jaye
Balki Yeh Nhi Jayez Hai Ki Bazari Bhaw Se Sone Chandi Ki Qeemat Laga Kar Rupye Zakaat Mein Dein
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Rozah-Ke-Masail
° Rozah-Todne-Wali-Chizen
° Roza-Kisse-Nahi-Totta
° Kab-Roza-Chhor-sakte-hain
° ITIKAF KA TARIKA
ZEWRAAT KI ZAKAAT
Hadees Shareef Mein Hai Ki Do Auratein Huzure Aqdas (Sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam ) Ki Khidmate Mubaraka Mein Hazir Hui
Un Ke Hathon Mein Sone Ke Kangan They
Aap Ne Irshaad Farmaya Ki Kya Tumne In Zewraton Ki Zakaat Ada Karti Ho
Aurton Ne Arz Kiya Ki Ji Nahin
Toh Aap ( Sallallahu Ta-ala Alaihi Wasallam ) Ne Irshaad Farmaya
Ki Kya Tum Ise Pasand Karti Ho Ki ALLAH. Ta-ala Tumhein Aag Ke Kangan Pahnaye
Aurton Ne Kaha Nahin
Toh Irshaad Farmaya Ki Tum In Zwqaron Ki Zakaat Adah Karo
( Tirmizi Kitabul Zakaat Jild: 2 Page: 132 )
MAS-ALA
Sona Chandi Jab Ki Ba Qadre Nisaab Hon Toh In Ki Zakaat Chaliswan Hissa Nikalni Farz Hai
Khwah Sone Chandi Ke Tukde Hon Ya Sikke Ya Zewrat
Ya Sone Chandi Ki Bani Hui Chizein Maslan
Bartan Ghadi Surma Dani Salai Waghairah
Gharaz Jo Kuch Ho Sab Ki Zakaat Nikalni Farz Hai
MAS-ALA
Jin Zewraat Ki Malik Aurat Ho Khwah Woh Maike Se Lai Ho
Ya Us Ke Shauhar Ne Us Ko Zewraat Dekar In Ka Malik Bana Diya Ho
Toh Inki Zakaat Adah Karna Aurat Par Farz Hai
Aur Jab Zewraat Ka Malik Mard Ho
Yani Aurat Ko Sirf Pahanne Ke Liye Diya Hai Malik Nahin Banaya Hai
Toh In Zewraat Ki Zakaat Mard Ke Zimme Hai
Aurat Par Nahin
MAS-ALA
Agar Kisi Ke Pas Sona Chandi Ya In Donon Ke Zewraat Hon
Aur Sona Chandi Mein Se Koi Bhi Ba Qadre Nahin
Toh Chahiye Ki Sone Ki Qeemat Ke Chandi
Ya Chandi Ki Qeemat Ka Sona Farz Kar Ke Donon Ko Milayen
Fir Agar Milane Par Bhi Ba Qadre Nisaab Na Ho Toh Zakaat Nahin
Aur Agar Sone Ki Qeemat Ki Chandi Chandi Mein Milayen
Toh Ba Qadre Nisaab Ho Jata Hai
Aur Chandi Ki Qeemat Ka Sona Sone Mein Milayen
Toh Ba Qadre Nisaab Nahin Toh Wajib Hai Ki Jis Surat Mein Nisaab Pura Ho Jata Hai Woh Karein
MAS-ALA
Tijarati Maal Ki Qeemat Lagayi Jaye Fir Us Se Agar Sone Ya Chandi Ka Nisaab Pura Ho Toh Us Ke Hisab Se Zakaat Nikali Jaye
MAS-ALA
Agar Sona Chandi Na Ho
Na Maale Tijarat Ho Balki Sirf Note Aur Rupae Paise Hon
Ki Kam Se Kam Itne Rupae Paise Hon Ki
Bazar Mein In Se Sadhe Saat Tolah Sona
Ya Sadhe Bawan Tolah Chandi Kharidi Ja Sakti Hai
To Woh Shakhs Sahibe Nisaab Hai
Usko Note Aur Rupae Paison Ki Zakaat ( Chaliswan Hissa ) Nikalna Farz Hai
MAS-ALA
Agar Shurua Saal Mein Pura Nisaab Tha
Aur Akhir Saal Mein Bhi Nisaab Pura Raha
Darmiyan Mein Kuch Dinon Maal Ghat Kar Nisaab Se Kam Rah Gaya
Toh Yeh Kami Kuch Asar Na Karegi
Balki Is Ko Pure Maal Ki Zakaat Deni Padegi
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Namaz Ke MasaiL
° Ramzano ke MasaiL
° Nikah Ke Masail
° Auraton Ke MasaiL
ZAKAAT KA MAAL KIN KIN LOGON KO DIYA JAYE
Jin Logon Ko Ushr Wa Zakaat Ka Maal Dena Jayez Hai Woh Yeh Log Hain
( 1 ) Faqeer Yani Woh Shakhs KI Us Ke Paas Kuch Maal Hai
Magar Nisab Ki Miqdar Se Kaam Hai
( 2 )Mishkin Yani Woh Shakhs Jis Ke Paas Khane Ke Liye Galla Aur Pahanne Ke Liye Kapda Bhi Na Ho
( 3 ) Qarzdar Yani Woh Shakhs Ki Jiske Zimme Qarz Ho
Aur Us Ke Paas Qarz Se Fazil Koi Maal Ba Qadre Nisab Na Ho
( 4 ) Musafir Jiske Pass Safar Ki Halat Mein Maal Na Raha Ho
Us Ko Ba Qadre Zarurat Zakaat Ka Maal Dena Jayez Hai
( 5 ) Aamil Yani Jisko Badshahe Islaam Ne Zakaat Wa Ushr Wasool Karne Ke Liye Muqarrar Kiya Ho
( 6 ) Mukatab Ghulam Taki Woh Maal Dekar Azad Ho Jaye
( 7 ) Ghareeb Mujahid Taki Woh Jihaad Ka Saman Kare
( Fatawah Hindiyah Kitabul Zakaat )
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Eimaan-Wa-Aqeede-Se-Zyada-Amal-Ko Ahmiyat Dena
° FILMi GAANON ME KUFRIYAAT
° Allah-Taala-ko-Upar-Wala-kehna-kaisa-hai
KIN-KIN LOGON KO ZAKAAT
KA MAAL DENA MANA HAI
Jin Logon Ko Ushr Wa Zakaat Ka Maal Dena Jayez Nahin Un Mein Se Chand Ye Hain
( 1 ) Maaldar Yani Sahibe Nisaab Jis Par Khud Zakaat Farz Hai Usko Zakaat Ka Maal Jayez Nahin
( 2 ) Bani Hashim Yani Hazrate Ali Hazrate Jafar
Hazrate Aqeel Hazrate Abbas Harish Bin Abdul Muttalib
Ki Aulaad Ko Zakaat Ka Maal Dena Jayez Nahin
( Fatawah Hindiyah Kitabul Zakaat )
( 3 ) Apni Asal Wa Furu-a Yani Maa Baap,Dada,Dadi Nana,Nani Waghairah
Aur Beta Beti Pota Poti Nawasa Nawasi Ko Zakaat Ka Maal Dena Jayez Nahin
( 4 ) Shauhar Apni Aurat Ko Aur Aurat Apne Shauhar Ko Apni Zakaat Nahin De Sakte
Yun Hi Sadqae Fitr Aur Qaffarah Bhi In Logon Ko Nahin De Sakta
( 5 ) Maaldar Ke Nabaligh Bachchey Ko Zakaat Nahin Di Ja Sakti
Aur Maaldar Ki Baligh Aulaad Jab Ki Woh Nisab Ke Malik Na Hon
Un Ko Zakaat De Sakte Hain
( 6 ) Kisi Kafir Wa Murtad Ya Bad Mazhab Ko Zakaat Ka Maal Dena Jayez Nahin
MAS-ALA
Bahu Damad Aur Sauteli Maa Ya Sautela Baap
Ya Bivi Ki Aulad Jo Dusre Shauhar Se Hon
Ya Shauhar Ki Aulad Jo Dusri Biwi Se Hon
Aur Dusre Rishte Daron Ko Zakaat De Sakte Hain
( Radul Muhtar Kitabul Zakaat )
MAS-ALA
Maaldar Ki Biwi Agar Woh Malike Nisaab Nahin Hai Toh Us Ko Zakaat De Sakte Hain
( Fatawah Hindiya Kitabul Zakaat )
MAS-ALA
Tandrust Aur Taqat War Aadmi Agar Woh Malike Nisaab Nahin Hai
Toh Usko Zakaat Dena Jayez Hai
Magar Usko Sawal Karna Aur Bhik Mangna Jayez Nahin
( Fatawah Hindiya Kitabul Zakaat )
MAS-ALA
Zakaat Ada Karne Mein Yeh Zaruri Hai Ki Jise Dein Usko Malik Bana Dein
Is Liye Agar Zakaat Ki Raqam Se Khana Paka Kar
Gharibon Ko Bataure Dawat Ke Khila Diya Toh Zakaat Ada Na Hui
Kyunki Yeh Ibahat Hui Tamlik Nahin Hui
Han Agar Khana Paka Kar Fakiron Ko Khana De
Aur In Ko Is Khane Ka Malik Bana De Ki Woh Chahe Is Ko
Khaen Ya Kisi Ko De Dein Ya Bech Dalein Toh Zakaat Ada Ho Gai
( Durre Mukhtar Radul Muhtar Kitabul Zakaat )
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° CHAAND-DEKHNE-KA-BAYAN
° Radio-Taar-Telephon-ki-Khabar-Par-Chand Maan lena kaisa
° Eid-Ki-Namaz Ka Mukammal Tareeqa
° Eid-Ke-Baad-6-Roze-Rakhne Ka Sawab
KIN KIN LOGON KO ZAKAAT KA MAAL DENA MANA HAI
MAS-ALA
Zakaat Ka Maal Masjid Ya Madarse Ya Mehmaan Khane Ki Imarat Mein Lagana
Ya Maiyat Ke Kafan Dafan Mein Lagana
Ya Kunwan ( Well ) Banwa Dena
Ya Kitabein Khareed Kar Kisi Madarse Mein Waqf ( Donate ) Kar Dena
Is Se Zakaat Ada Nahin Hogi
Jab Tak Kisi Aise Aadmi Ko Maale Zakaat Ka Malik Na Bana De
Jo Zakaat Lene Ka Ahal Hai Us Waqt Tak Zakaat Ada Nahin Ho Sakti
( Durre Mukhtar Radul Muhtar Kitabul Zakaat )
MAS-ALA
Faqeer Zakaat Ke Maal Ka Malik Ho Jane Ke Baad
Khud Apni Taraf Se Agar Masjid Wa Madarse Ki Imarat Mein Laga De
Ya Maiyat Ke Kafan Dafan Mein Sarf Kar De Toh Jayez Hai
( Durre Mukhtar Kitabul Zakaat )
QAABILE TAWAJJOH TAMBIH
Aaj Kal Aam Taur Par Dini Madaris Mein Yeh Chalan Hai Ki
Atiyat Aur Sadqaat Wa Khairat Wa Charme Qurbani
Aur Zakaat Ki Sab Raqmein Mutwalli Ya Nazim Ke Pas Jama Ki Jati Hain
Aur Nazim Wa Mutwalli In Sab Raqmon Ko Mila Kar Rakhte Hain
Aur Isi Raqam Mein Se Talbaa Kaatbakh Bhi Chalate Hain
Aur Mudarrisin Wa Mulazimin Ko Tankhwahein Bhi Dete Hain
Aur Waizin Wa Mumtahinin Ka Nazrana Bhi Dete Hain
Aur Masjid Wa Madarse Ki Imarat Bhi Banwate Hain
Aur Apne Masarif Mein Bhi Late Hain
Yaad Rakho Ki Is Tarah Na Toh Zakaat Dene Walon Ki Zakaat Ada Hoti Hai
Na In Kamon Mein Zakaat Ki Raqamon Ko Lagana Jayez Hai
Aur Yeh Mutwalliyon Aur Nazimon Ki Bahut Badi Khayanat Hai
Ki Woh Logon Ki Zakaat Ke Maalon Ko Sahih Masraf Mein Sarf Nahin Karte
Aur Gunahgar Hote Hain
Lihaza Ulemaye Kiram Par Shar-an Wajib Hai Ki Mutwalliyon Aur Nazimon Ko Yeh Mas-ala Bata Dein
Ki Madaris Mein Jitni Raqmein Zakaat Ki Aati Hain
Pahle In Raqmon Ka Hilae Sharaiyah Kar Lena Zaruri Hai
Taki Zakaat Dene Walon Ki Zakaat Ada Ho Jaye
Aur Fir In Raqmon Ko Madarse K Jis Kaam Mein Chahe Kharch Kar Sakein
MAS-ALA
Hilae Sharaiya Ka Tariqa Yeh Hai Ki
Zakaat Ki Raqmon Ko Alag Karke Kisi Talibe Ilm Ko Jo Ghareeb Ho De Dein
Aur Un Raqmon Ka Us Talibe Ilm Ko Malik Bana Diya Jaye
Aur Fir Woh Talibe Ilm Apni Taraf Se Woh Raqam Madarse Mein Apni Khushi Se De De
Is Tarah Kar Lene Se Zakaat Dene Walon Ki Zakaat Ada Ho Jayegi
Aur Fir Woh Raqam Madarse Ki Har Madd Mein Kharch Ki Ja Sakegi
MAS-ALA
Zakaat Wa Sadqaat Mein afzal Yeh Hai Ki Pahle
Apne Bhaiyon Chachaun Fufiyon Ko Fir In Ki Aulad Ko
Fir Apne Mamuon Aur Khalaon Ko Fir In Ki Aulad Ko
Fir Dusre Rishte Daron Ko
Fir Padosiyon Ko
Fir Apne Peshey Walon Ko
Fir Apne Shahar Aur Gawon Walon Ko Dein
Aur Ilme Deen Hasil Karne Wale Talibe Ilmon Ko Bhi Dena Afzal Hai
( Fatawah Hindiyah Kitabul Zakaata)
Join Free SmS Service On Mobile
USHR KE MASAIL
Zameen Se Jo Bhi Paida War Ho
Jaise Gehun Jau Chana Bajra Dhaan Waghairah Har Kism Ke Anaj
Gannah Rui Har Qism Ki Tarkariyan Phool Fal Mewe
Sab Mein ushr Wajib Hai
Thodi Paida Ho Ya Zyadah
( Alfatawah Ul Khaniyah Kitabul Zakaat Fil ashr J: 1 S: 132 )
MAS-ALA
Jo Paidawar Barish Ya Zameen Ki Nami Se Paida Ho Us Mein Daswan Hissa Wajib Hota Hai
Aur Jo Paidawar Char Se Dol Pumping Machine Ya Tube Well Waghairah Ke Pani Se
Ya Kharide Hue Pani Se Paida Ho Us Mein Biswan Hissa Wajib Hai
( Durre Mukhtar Kitabul Zakaat )
MAS-ALA
Kheti Ke Akhrajat Nikal Kar Ushr Nahin Nikala Jayega
Balki Jo Kuch Paidawar Hui Ho Un Sab Ka Ushr Ya Nisf Ushr Dena Wajib Hai
GowernMent Ko Malghuzari Di Jati Hai
Woh Bhi Ushr Ki Raqam Se Mujra-a Nahin Ki jayegi
Puri Paidawar Ka Ushr Ya Nisf Ushr Khuda Ki Raah Mein Nikalna Padega
( Durre Mukhtar Kitabul Zakaat )
MAS-ALA
Zameen Agar Bataai Par De Kar Kheti Karai Hai Toh Zameen Wale Aur Kheti Karne Wale
Donon Ko Jitni Jitni Paidawar Mili Hai Donon Ko
Apne Apne Hisse Ki Paidawar Ka Daswan Hissa Ya Biswan Hissa Nikalna Wajib Hai
( Fatawah Khaniyah Kitabul Zakaat)
Maalike Nisaab kise kehte hain?
Maalike nisaab wo shakhs Kehlata hai
jiske Pas itni Rakam ya zevar ho
jispar Zakaat Waajib hoti hai
jiski mikdar
7 Tola sona Ya 52.5 tola chandi
ho ya Chandi ke Barabar Qeemat
ho
Yaad Rahe Agar Apke pas 2 Gram
bhi sona hai aur kuchh Paise hai
Jinki Qeemat milakar 52.5 Tola chandi ke barabar hoti hai to
Wo bhi Naalike Nisaab Kelata hai
Aur Zakaat bhi Adaa karna Uspar Waajib hai
Chandi ki Qeemat Nayi ki Nahi purani ke Hisaab se Lagayi
Jaegi Aap Sunar dukan par
Rate Maloom karle ki kis Rate me Puraani
Chandi le Rahe hai wo
Hajaate Asliya Kise Kehte hain ?
Hajaate Asliya wo ghar ka samaan kehlaata hai
jisko hum Apne istemal me lete hai
jisko hum bechne ki niyat se nahi kharidte jo
Hanari Zarurat ka Samaan hota hai
Jaise Car, cycle, Rehne ka Ghar
Baratne ke Samaan khane Banane ke bartan
Aur bhi Saari Aisi chizi jinko hum
Apne Ghar me istemal me Laate hai
wo Hajaate Asliya Kehlate hai
inpar zakaat nahi hoti
Zakaat Ke Masail ko Aur Zyada Tafseel se Janne Ke Liye
Ye 2 Speech Zaroor Sune
Short Clip ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° ZAKAAT KE MASAIL.mp3
Full Clip ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° ZAKAAT KE MASAIL.mp3
New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge
Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.in
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠aa ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣
0 Comments
Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe