CHAAND DEKHNE KA BAYAN
MASALA
Paanch Mahinon Ka Chaand Dekhna Wajibe Kifaya Hai
( 1 ) SHABAN
( 2 ) RAMZAN
( 3 ) SHAWWAL
( 4 ) ZULQADAH
( 5 ) ZULHIJJAH
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Rozah-Ke-Masail
° Rozah-Todne-Wali-Chizen
° Roza-Kisse-Nahi-Totta
° Kab-Roza-Chhor-sakte-hain
° ITIKAF KA TARIKA
° Zakaat-Ke-Masail
MASALA
Shaban Ki 29 Tarikh Ko Shaam Ke Waqt Chand Dekhen
Dikhai De Toh Rozah Agle Din Rakhen Warna Shaban Ke 30 Din Pure Kar Ke Rozah Rakhen
( Fatawah Hindiyah Kitabul Saum Bab Us Sani Fi Rawyatul Helal J: 1 S: 194 )
Matlah Saaf Na Hone Mein Yani Asman Mein Abro Ghubar Hone Ki Halat Mein Sirf Ramzan Ke Chand Ka Suboot
Ek Musalman Aaqil wa Baligh Mastoor Ya Aadil Ki Gawahi Ya Khabar Se Ho Jata Hai
Chahey Mard Ho Ya Aurat Aur Ramzan Ke Siwae Tamam Mahinon Ka Chaand Us Waqt Sabit Hoga
Jab Do Mard Ya Ek Mard Aur Do Aurtein Gawahi Dein
Aur Sab Pabande Sharah Hon Aur Yeh Kahen Ki Main Shahadat Deta Hun Ki Mai Ne Is Mahine Ka Chand Falan Din Khud Dekha Hai
( Durre Mukhtar Kitabul Saum)
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Radio-Taar-Telephon-ki-Khabar-Par-Chand Maan lena kaisa
° Eid-Ki-Namaz Ka Mukammal Tareeqa
° Eid-Ke-Baad-6-Roze-Rakhne Ka Sawab
AADIL Kise Kehte Hai
Aadil Hone Ka Yeh Matlab Hai Ki Kabirah Gunahon Se Bachta Ho
Aur Saghirah Gunahon Par Israr Na Karta Ho
Aur Aisa Kaam Na Karta Ho Jo Tahzib Wa Murawwat Ke Khilaf Ho
Jaise Bazaron Mein Sadkon Par Chalte Firte Khana Pina
MASTOOR Kise Kehte Hain
Mastoor Se Yeh Murad Hai Ki Jis Ka Zahir Haal Shariat Ke Mutabiq Ho Magar Batin Ka Hal Maloom Nahin
( Radul Muhtar Durre Mukhtar Kitabul Saum)
MASALA
Jis Aadil Shakhs Ne Chand Dekha Hai Us Par Wajib Hai Ki Usi Raat Mein Shahadat De
( Fatawah Hindiyah Kitabul Saum)
MASALA
Gawon(Village) Mein Chand Dekha Aur Wahan Koi Hakim Ya Qazi Nahin Jis Ke Samne Gawahi De
Toh Gawon Walon Ko Jama Kar Ke Un Ke Samne Chand Dekhne Ki Gawahi De
Agar Yeh Gawahi Dene Wala Aadil Hai Logon Par Rozah Rakhna Lazim Hai
( Fatawah Hindiyah Kitabul Saum)
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Namaz Ke MasaiL
° Ramzano ke MasaiL
° Nikah Ke Masail
° Auraton Ke MasaiL
Matala-a Agar Saaf Ho Toh Jab Tak Bahut Se Log Shahadat Na Dein Chand Ka Saboot Na Ho Ga
(Chahe Ramzan Ka Chand Ho Ya Eid Ka Ya Kisi Aur Mahine Ka )
Raha Yeh Ki Kitne Logon Ki Gawahi Is Surat Mein Chahiye
Toh Yeh Qazi Ki Raye Par Hai Jitne Gawahon Se Ise Ghalib Ghuman Ho Jaye
Utne Gawahon Ki Shahadat Se Chand Hone Ka Hukm Dega
Lekin Agar Shahar Ke Bahar Kisi Unchi Jagah Se Chand Dekhna Bayan Kare Toh Ek Mastoor Ka Bhi Qaul Sirf Ramzan Ke Chand Mein Maan Liya Jaega
( Fatawah Hindiyah Kitabul Saum)
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Eimaan-Wa-Aqeede-Se-Zyada-Amal-Ko Ahmiyat Dena
° FILMi GAANON ME KUFRIYAAT
° Allah-Taala-ko-Upar-Wala-kehna-kaisa-hai
MASALA
Agar Kuch Log Aa Kar Yeh Kahein Ki Falan Jagah Chand Hua
Balki Agar Yeh Shahadat Dein Ki Falan-Falan Ne Dekha
Balki Agar Yeh Shahadat Dein Ki Falan Jagah Ke Qazi Ne Rozah Ya Iftaar Ke Liye Logon Se Kaha
Yeh Sab Tariqe Chand Ke Suboot Ke Liye Na Kafi Hain
Aur Is Qism Ki Shahadaton Se Chand Ka Suboot Na Ho Sakega
( Raddul Muhtar Durre Mukhtar)
MASALA
Kisi Shahar Mein Chand Hua Aur Wahan Se Chand Jamaten Dusre Shahar Mein Aain
Aur Sab Ne Khabar Di Ki Wahan Falan Din Chand Hua Hai Aur Tamam Shahar Mein Yeh Baat Mashhoor Hai
Aur Wahan Ke Logon Ne Chand Nazar Aane Ki Bina Par Falan Din Se Roze Shurua Kar Diye Hain
Tih Yahan Walon Ke Liye Bhi Suboot Ho Gaya
( Radul Muhtar Durre Mukhtar Kitabul Saum )
MASALA
Kisi Ne Akele Ramzan Ya Eid Ka Chand Dekha Aur Gawahi Di
Magar Qazi Ne Uski Gawahi Qubool Nahin Ki Toh Khud Us Shakhs Par Rozah Rakhna Lazim Hai
Agar Na Rakha Ya Tod Dala Toh Qaza Lazim Hai
( Fatawah Hindiyah Kitabul Saum )
MASALA
Agar Din Mein Chand Dikhai Diya Do Pahar Se Pahle
Chahe Do Pahar Ke Baad Bahar Haal Woh Aane Wali Raat Ka Chand Mana Jayega
Yani Ab Jo Raat Aaegi Is Se Mahina Shurua Hoga
Maslan 30 Ramzan Ko Din Mein Chand Nazar Aaya Toh Yeh Din Ramzan Ka Hi Hai
Shawwal Ka Nahin Aur Rozah Poora Karna Farz
Hai
Aur Agar Shaban Ki Teeswin Tareekh Ko Din Mein Chand Nazar Aa Gaya Toh Yeh Din Shaban Ka Hi Hai Ramzan Ka Nahin
Lihazah Aaj Ka Rozah Farz Nahin
( Radul Muhtar Kitabul Saum )
MASALA
Taar Telephone Radio Se Chand Dekhna Sabit Nahin Ho Sakta
Is Liye Agar In Khabron Ko Har Tarah Se Sahih Man Liya Jaye Jab Bhi Yeh Mahaz Ek Khabar Hai
Yeh Shahadat Nahin Hai Aur Mahaz Ek Khabar Se Chand Ka Suboot Nahin Hota
Aur Isi Tarah Bazari Afwahon Se Aur Jantariyon Aur Akhbaron Mein Chapne Se Bhi Chand Nahin Ho Sakta
( Bahare Shariyat Jild: 1 Hiss: 5 Page: 112 )
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° बगैर रुमाली के पाज़ामें या जांघिये को को पहन कर नमाज़ पड़ना
° अच्छी बाते अमल करो
° गेैर ज़रूरी जाहिलाना सवालात
° ग़ैर मुस्लिमो से गोश्त मँगाने का मसअला
MASALA
Chand Dekh Kar Is Ki Janib Ungli Se Isharah Karna Makruh Hai
Agarchey Dusron Ko Batane Ke Liye Ho
( Fatawah Hindiyah Kitabul Saum)
New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge
Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.in
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣
0 Comments
Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe