IBAADAT
"WOH SAJDA RUYE ZAMIN JISSE KANP UTHTI THI
ISI KO AAJ TARASTE HAIN MIMBARO MEHRAAB"
MASAIL KI CHAND ISTILAHEN
Ye Woh Istilaahi Boliyan Hain Ki In Ko Jaan Lene Se Samajhne Me Madad Milegi
Aur Masail Ke Samajhne Me Har Jagah Bahut Hi Sahulat Aur Aasani Ho Jaegi
Isliye Mas'alon Ko Padhne Se Pahle In Istilahon Ko Khub Samajh Kar Achi Tarah Yad Kar Len
FARZ KYA HAI
Woh Hai Jo Shariyat Ki Yakini Daleel Se Sabit Ho
Iska Karna Zaruri Aur Bila Kisi Uzr(Majboori) Ke Isko Chhodne wala
Fasiq Aur Jahannumi Aur Iska Inkar Karne Wala Kafir Hai
Jaise Namaz wa Rozah Aur Hajj Wa Zaqat Wagairah Fir Farz Ki do Kismen Hain
(1 ) FARZE AIN
( 2 ) FARZE KIFAYA
FARZE AIN KYA HAI
Woh Hai Jiska Ada Karna Har Aqil Wa Baligh Musalman Par Zaruri Hai Jaise Nsmaze Panjgana Wagairah
FARZE KIFAYA KYA HAI
Aur Agar Koi Bhi Ada Na Kare Toh Sab Gunahgar Honge
Jaise Mamaze Janazah Wagairah
( Bahare Shariyat Jild 1 Hissa 2 Page 7 )
WAAJIB KYA HAI
Who Hai Jo Shariyat Ki Zanni Daleel Se Sabit Ho Iska Karna Zaruri Hai
Aur Isko Bila Kisi Tawil Aur Baghair Kisi Ujr Ke Chhod Dene Wala Fasiq Aur Azab Ka Mustahiq Hai
Lekin Iska Inkar Karne Wala Kafir Nahin Balki Gumrah Aur Badazhab Hai
( Bahare Shariyat Jild 1 Hissa 2 Page 8 )
SUNNATE MUAKKADA KYA HAI
Woh Hai Jisko Huzure Aqdas (Sallallahu Alaihi Wasallam )
Ne Hamesha Kiya Ho
Albatta Bayane Jawaz Ke Liye Kabhi Chhod Bhi Diya Ho Isko Ada Karne
Me Bahut Bada Sawab Aur Isko Kabhi IttefaQiya Taur Par Chod Dene Se ALLAH Wa Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka Itaab Aur Isko Chod Dene Ki Adat Dalne Wale Par Jahannam Ka Azab Hoga
Jaise Namaze Fajr Ki Do Raka'at Sunnat Aur Namaze Zohar Ki Char Raka'at Farz Se Pahle Aur Do Raka'at Farz Ke Bad Sunnaten
Aur Namaze Maghrib Ki Do Raka'at Sunnat Aur Namaze Isha Ki Do Raka'at Sunnat
Yeh Namaze Panjgana Ki Barah Raka'at Sunnaten
Yeh Sab Sunnaten Muakkada Hain
( Bahare Shariyat Jild 1 Hissa 2 Page 8 )
SUNNATE GHAIR MUAKKADA KYA HAI
Woh Hai Jisko Huzur Nabiye Kareem ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Kiya Ho Aur Baghair Kisi Uzar(majboori) Ke Kabhi Kabhi Isko Chhod Bhi Diya Ho
Isko Adaa Karne Wala Sawab Payega Aur Isko Chod Dene Wala Azab Ka Mustahiq Nahin
Jaise Asar Ke Pahle Ki Chaar Raka'at Sunnat Aur Ishaa Se Pahle Ki Chaar Raka'at Sunnat
KI Yeh Sab Sunnate Ghair Muakkadah Hain
Sunnate Ghair Muakkadah Ko
Sunnate Zaida Bhi Kahte Hain
(Bahare Sariyat Jild 1 Hissa 2 Page 8)
- Namaz Ka Tarika in Hindi
- Juma ki Namaz ka Tareeqa
- Juma ki Azan hone ke Baad Karobar Karna Haraam hai
MUSTAHAB KYA HAI
Har Woh Kaam Hai Jo Shariyat Ki Nazar Me Pasandidah Ho Aur Isko Chhod Dena Shariyat Ki Nazar Me Bura Bhi Na Ho
Khwah Is Kaam Ko Rasulallah
( Sallallahu Alaihi Wasallam )
Ne Kiya Ho Ya Iski Targheeb Di Ho Ya Ulemaye Saleheen Ne Ise Pasand Farmaya Agarche
AHadis Me Iska Zikar Na Aaya Ho Ye Sab Mustahab Hain Mustahab Ko Karna Sawab Aur Isko Chhod Dene Par Na Koi Azab Hai Na Itaab
Jaise Wuzu Karne Me Qibla Ru
Ho Kar Baithna
Namaz Me Bahalate Qayam Sajdah Gah Par Nazar Na Rakhna
Khutbe Me Khulfaye Rashideen Waghairah Ka Zikr Milaad Shareef Peerane Kibar Ke Wazaif Wagairah
Mustahab Ko Mandub Bhi Kahte Hain
(Bahare Shariyat Jild 1 Hissa 2 Page 8)
MUBAAH KYA HAI
Woh Jis Ka Karna Aur Chhod Dena Donon Barabar Ho
Jiske Karne Me Na Koi Sawab Ho Aur Chhod Dene Me Na Koi Azab Ho
Jaise Lazeez Ghizaon Ka Khana Aur Nafees(Achhe) Kapdon Ka Pahenna Wagairah
( Bahare Shariyat Jild 1 Hissa 2 Page 9)
HARAAM KYA HAI
Woh Hai Jiska Suboot Yaqeeni Sharai Daleel Se Ho
Iska Chodna Zaruri Aur Baaise Sawab Hai Aur Iska Ek Martaba Bhi Qasdan karne Wala Fasiq Wa Jahannami Aur Gunahe Kabira Ka Murtakib Hai Aur Iska Inkar Karne Wala Kafir Hai
( Bahare Shariyat Jild 1 Hissa 2 Page 9 )
Khub Samajh Len Ki Haram Farz Ka Maqabil Hai
Yani Farz Ka Karna Zaruri Hai Aur Haraam Ka Chhod Dena
bhi Zaruri Hai
MAKRUHE TAHRIMI KYA HAI
Woh Hai Jo Shariyat Ki Zanni Dalil Se Sabit Ho
Iska Chodna Lazim Aur Baise Sawab Hai Aur IsKA
Ek Martaba Bhi Qasdan Karne Wala Fasiq Wa Jahannami Aur Gunahe Kabeera Haram Ke Karne Se Kam Hai
Magar Chand(Kchh) Bar Isko Kar Lena Gunahe Kabeera Hai
( Bahare Shariyat Jild 1 Hissa 2 Page 9)
Achhi Tarah Zehan Nashin Kar Le Ki Yeh Wajib Ka Muqabil Hai
Yani Wajib Ka Karna Lazim Hai Aur Makruhe Tahrimi Ko Chodna Lazim Hai
ISA'AT KYA HAI
Woh Hai Jiska Karna Bura Aur Kabhi Ittafaqiya Kar Lene Wala Laiqe Itaab(Sazaa)
Aur Isko Karne Ki Adat Bana Lene Wala Mustahiqe Azab Hai
( Bahare Shariyat Jild 1 Hissa 2 Page 9 )
Wazeh Rahe Ye Sunnate Muakkidah Ka Muqabil Hai Yani Sunnate Muakkidah Ka Karna Sawab Aur Chodna Bura Hai
Aur ISA'AT Ko Chhodna Sawab Aur Karna Bura Hai
MAKRUHE TANZIHI KYA HAI
Woh Hai Jis Ka Karna Shariyat Ko Pasand Nahi
Magar Iske Karne Wale Par Azab Nahi Hoga
Yeh Sunnate Ghair Muakkidah Ka Muqabil Hai
( Bahare Shariyat Jild 1 Hissa 2 Page 9 )
KHILAFE AULA KYA HAI
Woh Hai Jiska Chhod Dena Behtar Tha
Lekin Agar Kar Liya Toh Koi Muzaika Nahi
Yeh Mustahab Ka Muqabil Hai
( Bahare Shariyat Jild 1 Hissa 2 Page 9)
Hamare Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.in
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣
0 Comments
Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe