Imaan Kise Kahte HaiN


Imaan Kise Kahte HaiN

SAWAL : Imaan Kise Kahte HaiN?
JAWAB :- Allah Ta’ala ki Wahdaniyat Aur Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi wasallam) Ki Risalat Ka Zaban Se Iqrar,Aur Dil Se Tasdeeq Karna Iman Kaihlata Hai.Neez Ye Bhi Zaruri Hai Ke Nabi-e Kareem (Sallallahu alaihi wasallam) Ki Batayi Tamam Bato’n Ki Tasdeeq Ki Jaay.
.
SAWAL:-Kufr Kise Kahte HaiN?
JAWAB:- Islami Aqaid Ke Khilaf Koi Aqeedah Rakhna,Ya Islam Ki Kisi Mash’Hoor-o Maloom Baat Ka Inkar Karna,Ya Us Me Shak Karna,Jaise Namaz,Roza,Zakat,Ya Hajj Ko Farz Naa Jaanna,Ya Kisi Sharae’e Hukm Ka Mazaq Udhana,Ya Mazaq Me Koi Kufriya Jumla Bolna,Ye Sab Baten Kufr HaiN.
.
SAWAL:- Aqeedah Tauheed Se Kya Murad Hai?
JAWAB:- Allah Ta’ala Ek Hai,BeNiyaz Hai,Waajibul Maujood Hai,Yani Allah Ta’al Hamesha Se Hai,Aur Hamesha Rahega,Wo Sabka Khaliq-o Malik Aur Raziq Hai,Uska Koi Shareek Nahi,Zindagi,Maut,Iz-zat,Zillat,Sab Uske Ikhtiyar Me Hai,Wo Chahe Aur Jaisa Chahe Kare Use Koi Rok Nahi Sakta,Wo Na Kisi Ka Baap Hai Na Kisi ka Beta,Sab Uske Muhtaj HaiN,Wo Kisi Ka Muhtaj Nahi,Wo Aalimul Gaib Hai,Aur Har Aib Se Pak Hai.
.
SAWAL:- Shirk Kise Kahte HaiN?
JAWAB:- Allah Ke Siwa Kisi Aur Ko Khuda Janna,Ya Ibadat Ke Laiq Samajhna Shirk Hai,Neez Allah Ta’ala Ki Sifaat Ko Bae’ena Kisi Gair Ke Liye Manna,Yani Kisi Makhlooq Ki Sifat Ko Qadeem Aur Mutaqal BilZat Manna Shirk Hai.
.
SAWAL:- Quran Kareem Me Rab Ta’ala Ki Ba’az Sifaat Bando Ke Liye Bayan Huyin,Aisi Chand Sifaat Ka Hawaala Dijiye?
JAWAB:- Sureh (Al dahar Ayat-No-02) Me Insan Ko “Same’e-o Baseer” Kaha Gaya.Sureh (AL Baqarah Ayat-No-143) Me Huzoor Akram (Sallallahu alaihi wasallam) Ko “Shaheed” Aur Sureh (Al Tauba Ayat No-128) Me “Rauf-o Raheem” Farmaya Gaya.Sureh (Al Tahreem Ayat No-04) Me Farishto’N Aur Saleh Momino Ka MadadGaar Hona Bayan Farmaya.
Isi Tarah Hayaat,Ilm,Kalaam,Ma-dad,Iradah Wagairah MutaAddad Sifaat Bando Ke Liye Bayan Huyin.
.
SAWAL:- Allah Ta’ala Ki In Sifaat Ka Bando Ke Liye Manna Shirk Kyun Nahi?
JAWAB:- Kyun Ki Allah Ta’ala Ki Ye Sifaat Kisi Ki Di Hui Nahi,Balke Khud Se Hai,Yani Zaati HaiN,Neez Azli,Abdi,Laa Mahdood Aur Shan-e Khaliqiyat Ke Laiq HaiN,Jabke Makhlooq Ko Ye Sifaat,Allah Ta’ala Ne Ata Farmayi HaiN,Neez Ye Sifaat Hadis,Aarzi,Mahdood Aur Shan-e Makhluqiyat Ke Laiq HaiN.
.
SAWAL:- Achchhayi Aur Burayi Ki Nisbat Kis Taraf Karni Chahiye?
»JAWAB:- Bure Kaam Ki Nisbat Allah Ta’ala Ki Taraf Karna BeAdbi Hai,Isliye Hukm Huwa,Tujhe Jo Bhalayi Pahunche Allah ki Taraf Se Hai,Aur Jo Burayi Pahunche Wo Teri Apni Taraf Se Hai.(An Nisa Ayat No-79) Pas Bure Kaam Karke Tqdeer”Ya Allah ki Taraf Mansoob Karna Bahut Buri Baat Hai,Isliye achchhe Kaam Ko Allah Ta’ala Ke Fazlo Karam Ki Taraf Mansoob Karna Karna Chahiye,Aur Bure Kaam Ko Shamt-e Nafs Samajhna Chahiye.

Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓

SAWAL:- Aqeedah” Tqdeer Kya Hai?
»JWAB:- Allah Ta’ala Ne Apne Azli Ilm Gaib Ke Mutabiq,Jaisa Hone Wala Tha Aur Jaisa Karne Wala Tha Usne Likh Liya… Yun Samajh Lijiye Ke Jaisa Ham Apne Irade Aur Ikhtiyar Se Karne Wale The Waisa Usne Likh Diya.Yani Uske Likh Dene Ne Kisi Ne Majbur Nahi Kardiya,Warna Jaza Wa Saza Ka Falsafa BeMa’ane Hokar Rahjata.Yahi Aqeedah Taqdeer Hai.
.
SAWAL:- Hazrat Eisa (Alaihissalam) Ne Farmaya Mai Murde Zindah Karta Hu,)Bi Iznillah(
Is Ayat Se Kya Nateeja Ukhz Hota hai
»JAWAB:- Is Irshad Se Maloom Huwa ke Allah Ta’ala Ke Diye Huwe Ikhtiyar Se Uske Mahbub Bande Murde Zindah Kar Sakte HainN,Isliye Mahbubaane Khuda Ki Taqat-o Qudrat Maanna Shirk Nahi,Balke Ain-E Taudeed Hai.
.
SAWAL:- Mahboobabn-e Khudha” Se Madad Mangna Jaiz Hai,Quran Se Dalail Dijiye?
»JAWAB:- Hazrat Moosa (Alaihissalam) Ne Apne Bhai Ko MadadGaar Banane Ki Duwa Ki Jo Qubool Hui,Sureh (Taaha Ayat No-36) Hazrat Eisa (Alaihissalam) Ne Hawariyon Se Madad Mangi (Aal-E Imran:Ayat No-52) Nek Kamo Me Musalmano Ko Madadgaar Banne Ka Hukm Diya Gaya Hai,(Al Maida:Ayat No-02) Imaan Walo Ko Sabr Aur Namaz Se Madad Mangne Ka Hukm Diya Gaya (Al Baqarah:Ayat No-153)
....................-....................-....................-....................-....................-....................-....................-......
SAWAL:- Saleheen Aur FarishtoN Ke Madad MadadGaar Hone Par Ayat Batayen?
»JAWAB:- Beshak Allah Ta’ala Unka MadadGaar Hai,Aur Jibreel Aur Nek Imaan Wale,Aur Uske Ba’ad Farishte,Madadgaar HaiN.(AL Tahreem:Ayat No-04)
.
SAWAL:- Allah Ta’ala Aur Rasool (Sallallahu Alaihi wasallam) Ke MadadGaar Hone Par Ayat Batyen?
»JAWAB:- Beshak Tumhare MadadGaar To Sirf Allah Ta’ala Aur Uska Rasool Aur Iman Waale HaiN,Jo Namaz Qaim Karte HaiN Aur Zakat Dete HaiN,Aur Allah Ta’ala Ke Huzoor Jhuke Huwe Hain
(Al Maida:Ayat No-55)
.
SAWAL:- Kya Eid MiladunNabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) Aur Aulaiy” Ka Urs Manana Shirk Hai?
»JAWAB:- HarGiz Nahi,Kyun ki Eid Milad Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Paidaish Ki Khushi Me Manayi Jaati Hai,Jabke Rab Ta’ala Paida Hone Se Paak Hai… Isi Tarah BuzurGaan-e Deen Ke Wisal Ke Din Ko Urs Manaya Jaata Hai,Jabke Rab Ta’ala Faut Hone Se Paak Hai.Goya Eid Milad Aur Urs Manaane Se Shirk Ki Nafi Hoti Hai,use Shirk Kahna Jihalat Wa Himaqat Hai.
.
SAWAL:- Nabi Kise Kahte HaiN?
»JAWAB:- Nabi Us A’ala Wa Irfa’a Shan Wale Bashar Ko Kahte HaiN,Jis Par Allah Ne “Wahee” Nazil Ki Ho,Aur Uski Taid Mu’jizaat Se Farmayi Ho.Ye Allah Ta’ala Ka Mahbub-o Muqarrab Banda Hota Hai.
.
SAWAL:- Har Nabi Paidaishi Nabi Hota Hai,Daleel Dijiye?
»JAWAB:- Har Nabi Paidaishi Nabi Hota Hai,Al Batta Nubuwwat Ka Elan Wo Allah Ta’ala Ke Hukm Se Karta Hai.
Hazrat Eisa (Alaihissalam) Ne Kuch Roz Ki Umr (Age) Me Irshad Farmaya: Mai Allah Ka Banda Hu,Usne Mujhe Kitab Di Aur Mujhe Nabi Banaya
(Sureh Maryam:Ayat-No-30)
.
SAWAL:- Aqeedah” Asmat-e Ambiya Se Kya Murad Hai?
»JAWAB:- Tamam Ambiya Ikram Gunaho Aur Khataon Se Paak Hote HaiN,Asmat-e Ambiya” Ke Ma’ane Ye HaiN ki Ambiya Ikram Ke Liye Allah Ta’ala Ki Taraf Se Hifazat Ka Wa’ada Hai,Isliye Unse Gunaah Hona Shar’an Naa Mumkin Hai.
.
SAWAL:- Ambiya Ikram Barkato’N Wale Hote HaiN,Quran Se Daleel Dijiye?
»JAWAB:- Ambiya Ikram Barkat Wale Hote HaiN,Hazrat Eisa (Alaihissalam) Ka Irshad” Aur Usne (Ya’ani Rab Ta’ala Ne) Mujhe BaBarkat Kiya,Mai Kahi Bhi hu.Sure (Maryam:Ayat No-31) Hazrat Moosa Wa Haroon (AlaihiMussalam) Ke TabarroKaat Wale Sanduq Ki Barkat Se Bani Israil ko Kafiro’N Par Fat’h (Jeet) Mili Aur Unki Hajate’N Poori Hoti.Sureh
(Al Baqarah:Ayat No-248)
.
SAWAL:-.Ambiya Ikram Ko Apni Misl (Jaisa) Bashar Samajhna,Quran Kareem Ne Kin Logon Ka Tareeqa Bataya?
»JAWAB:-Ambiya Ikram Ko Apni Misl (Jaisa) Bashar Samajhna Gumrahi Hai,Quran Kareem Ne Kafiro’N Ka Tareeqa Bayan Kiya Hai Ke Wo Nabiyo’N Ko Mahaz Apni Hi Misl Bashar Kahte The.(Al Muminoon:Ayat No-24-25.Sureh Yaseen:Ayat No-15)
.
SAWAL:- Ambiya Ikram Ki Sama’at Wa Basarat A’am Insan Jaisi Nahi Hoti,Quran Se Daleel Dijiye?
»JAWAB:-Quran Kareem Me Hai Ki,Hazrat Suleman (Alaihissalam) Ne Kayi Meel Door Se “Chiyunti” Ki Baat Sunkar Muskura Diye.(An Namal:Ayat No-19) Hazrat Ibraheem (Alaihissalam) Ne Farsh Se Arsh Tak Sari Kaynat Dekhli
(Al In’am:Ayat No-75)
.
SAWAL:- Ambiya Ikram Ki Qudart-o Taqat Aa’m Insan Jaisi Nahi Hoti,Quran Se Daleel Dijiye?
»JAWAB:-Hazrat Eisa (Alaihissalam) Farmate Hai’N,Mai Tumhare Liye Mitti Se Parinde Ki Si Moorat Banata Hu,Fir Usme Phoonk Marta Hu,To Wo Fauran Parind Hojati Hai Allah Ke Hukm Se… Aur Mai Shifa Deta Hu Madarzaad (Paidaishi) Andhe,Aur Safed Daag Wale Ko,Aur Mai Murde Jilata Hu Allah Ke Hukm Se,Aur Tumhe Batata Hu Jo Tum Khaate Ho,Aur Jo Apne Gharo’N Me Jama Karke Rakhte Ho.(Aal Imran:Ayat No-49,Kanzul Iman)
.
SAWAL:- Hayat-e Ambiya Ikram Ke Mutaalliq Se Ahle Sunnat Wal Jama’at Ka Aqeeda Bayan Kijiye?
»JAWAB:-Ambiya Ikram Apni Apni Qabro’n Me Usi Tarah Haqeeqi Taur Par Zinda Hai’N,Jaise Zahiri Zundagi Me Duniya Me The,Wo Khaate Peete Hai’N,Jaha Chahte Hai’N Aate Jaate Hai,N,Aur Wo Ham Sabki Sama’at Ko Sunte Bhi Hai’n… Allah Ta’ala Ke Farman Ke Mutabiq Unpar Ek Aan Ke Liye Maut Taari Hui,Aur Fir Wo Zindah Kardiye Gaye.Sub’han Allah
.
SAWAL:- Aqeedah” Hayat-e Ambiya Par Quran Se Daleel Dijiye?
»JAWAB:-Aur Jo Allah Ki Raah Me Maare Gaye,Hargiz Unhe Murdah Khayal Na Karna,Balke Wo Apne Rab Ke Pas Zindah Hai,N,Aur Rozi Paate Hai’N
(Aal Imran:Ayat No-169)
Iske Baare Me Kisi Ko Ikhtilaf Nahi ke Ambiya Ikram Tamam Logo’N Se Afzal Hai’N,Pas Jab Shaheed Zindah Hai’N To Ambiya Ikram Yaqinan Zindah Hai’N… Allama Siyuti (Alaihirrahma’n) Farmate hai’N,Tamam Ambiya Ikram Nubuwwat Ke Sath Wasfe Shahadat Ke Bhi Jam’e Hai’N
....................-....................-....................-....................-....................-.
SAWAL:-22.Makhlooq Me Sabse Afzal Log Kaun Hai,N,Aur Sabse Afzal Hasti Kaun Hai?
»JAWAB:-Tamam Makhlooq Me Ambiya Ikram (AlaihiMussalam) Afzal Hai’N,Aur Saare Ambiya-o Rusul Me Hamare Aaqa Wa Maula Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Sabse Afzal Hai’n.
.
SAWAL:-23.Huzoor Akram (Sallallahu Alahi Wasallam) Ne “Innama Ana Basharum Mislukum” KinLogo’n Se Farmaya Tha?
»JAWAB:-Aap Ne Ya Baat Un Kafiro’n Se Farmayi Thi,Jo Kahte The Ke Hamare Dil Gilaf Me Hai’N,Us Baat Se Jis Ki Taraf Tum Hame Bulate Aur Hamare Kaano Me Rui Hai,Aur Hamare Aur Tumhare Darmiayan Parda Hai.{Sureh Haa Meem Assajdah:Ayat No-05}
.
SAWAL:-24.Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne “Ayyu Kum Misli” Kin Logo’n Se Farmaya Tha?
»JAWAB:-Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Apne Sahaba Se Farmaya Tha,AYYU KUM MISLI. Tum Me Kaun Meri Misl Hai? Beshak Mai Us Haal Me Raat Guzarta Hu ke Mera Rab Mujhe Khilata Hai,Aur Pilata Hai.
{Bukhari,Muslim}
.
SAWAL:-25.Allah Ta’ala Ne Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka “Noor” Kab Takhleeq Farmaya? Hadees Batayen.
»JAWAB:-Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya:Allah Ta’ala Ne Kaynaat Ki Takhleeq (Paidaish) Se Paihle Tumhare Nabi Ke Noor Ko Apne Noor Ke Faiz Se Paida Farmaya.
{musannaf Abdul Razzaq}

Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
.
SAWAL:-26.Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Mas’ab-e Nubuwwat Par Kab Faaiz Huwe?Hadees Batayen.
»JAWAB:-Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya: Mai Us Waqt Bhi Nabi Tha,Jab Aadam (Alaihissalam) Rooh Aur Jism Ke Darmiayan The.
{Tirmizi Shareef}
SAWAL:-27. Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Ta’azeem Wa Tauqeer Ka Hukm “Quran” Ki Kis Aayat Me Hai?
»JAWAB:- Ay Logon! Tum Allah Aur Uske Rasool Par Imaan Laao,Aur Rasool Ki Ta’azeem Wa Tauqeer Karo,Aur Sub’h-o Shaam Allah Ki Paki Bolo.{Al Fat’h:Ayat-No-09,Kan-zul Imaan}
.
SAWAL:- 28. Is Ayaat-e Kareema Se Kya Aqeedah Sabit Hota Hai?
»JAWAB:- Is Ayat Kareema Me Sabse Pahle Imaan Ka Zikr Hai,Fir Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ta’azeem Wa Tauqeer Ka,Aur Fir Ibadat Ka.
Maloom Huwa Ke Iman Ke Bagair Ta’azeem Ka Faida Nahi,Aur Jab Tak Nabi-e Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Sachchi Ta’azeem Na Ho,Sari Ibadat Bekar Hai.
{Bukhari,Muslim}
.
SAWAL:-28.Sahaba Ikram Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Ta’azeem Kistarah Karte The? Hadees Batayen.
»JAWAB:- Sahaaba Ikram Aap Ke Thook Mubarak,Baal Mubarak,Aur Wazu Ka Istimal Huwa Paani Zameen Par Na Girne Dete,Luaab-e Dahan Aur A’aza-e Wazu Ka Dhoban Apne Chihron Par Mal Lete,Aur Baal Mubarak Husoole Barkar Ke Liye Mahfooz Karlete The.
{Bukhari,Muslim}
.
SAWAL:-29.Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Wisaal Farmane Ke Ba’ad Bhi “Darood Shareef” Sunte Hai,Woh Hadees Shareef Batayen?
»JAWAB:- Huzoor (Sallallahu Alaihi wasallam) Ne Farmaya: Juma Ke Din MujhPar Ziyadah Darood Padha Karo,Kyun ki Us Din Farishte Hazir Hote Hain,Koi Banda Jaha Bhi Ho Darood Padhta Hai To Uski Aawaz Mujh Tak Pahunch Jati Hai…
Sahaba Ikram Ne Arz Ki,Ya Rasoolallah! Kya Aap Ke Wisaal Ke Ba’ad Bhi?
Sarkar (Sallallahu Alaihi wasallam) Ne Farmaya: Haa Mere Wisaal Ke Ba’ad Bhi,Kyun Ki Beshak Allah Ta’ala Ne Zameen Par Haram Kardiya Hai Ki Wo Ambiya Ikram Ke Jism-o Khaay.
{Ibn-e Maja,Tibrani,Jalaul Afham-Safa-No-63}
Ek Aur Irshad Mubarika Hai Ki,Ahle Muhabbat Ka Darood Mai Khud Sunta Hu,Aur Use Paihchanta Bhi Hu.
{Dalailul Khairaat}
.
SAWAL:-30.Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Wisaal Ke Baad Bhi Hamare Salaam Sunte Hain? Hadees Batayen.
»JAWAB:-Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshad Hai: Jab Koi Mujhpar Salaam Bhejta Hai,To Allah Ta’ala Meri Rooh Mujh Par Lauta Deta Hai (Ya’ani,Meri Rooh Ki Tawajjoh Salaam Bhejne Wale Ki Taraf Ho Jaati Hai) Yaha Tak ke Mai Usko,Uske Salam Ka Jawab Deta Hu.
{Masnad Ahmad,Abu Dawud,Baihqi}


Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Post ko Like Share Karna Na bhoole

For More Msgs Click This Link
          www.diniraah.in
 
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

●●►jazakALLAH khairan◄●●

╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣


Post a Comment

0 Comments