MAGRIB AUR ISHAA KI NAMAZ KA TIME KABTAK REHTA HAI
Kaafi Log Thoda Sa Andhera Hote Hi Yah Khyal Krte Hain Ki Magrib
Ki Namaz Ka Waqt Nikal Gya Ab Namaz Kaza Ho Gayi Aur Bila Wajha Namaz Chhod Dete Hain.
Ya Kaza Ki Niyyat Se Psdte hain
Magrib Ki Namaz Ka Waqt Suraj Dubne Ke Bad Se Lekar ShafaQ
Tak Hai
Aur ShafaQ Us Safedi Ka Naam He jo Pach'chhim(west) Ki Taraf
Surkhi Dubne Ke Bad Uttar Dakkhin Subhe SadiQ Ki Tarha Felti Hai.
Han Magrib Ki Namaz Jaldi Padna Mustahab
Yani Behtar hai
Aur Bila Ujr(Pareshani) Do Rakato Ki Mikdar Der Lagana Makruh Tanzihi Yani Khilafe Aula Hai
Aur Bila Ujar Itni Der Lagana Jis Me Kasrat(Zyada) Se Sitare Zahir Ho jayen Makruh E Tahrimi Aur Gunah Hai.
(Ahkame Shariat Page 137)
Ye bhi Padhen ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
° Namaz Ki Sharton Ka Bayaan
° Salatut-tasbih-ki-Namaz Ka Tarika
° Farz,Wajib,Sunnat,Makruh,kya hai
° Namaz Ka Tareeqa
Han Agar Na Padi Hoto Pade
Aur
Jab Tak Ishaa Ka Waqt Shuru Nahi Hua Hai
Ada Hi Hogi Kazaa Nahi Aur Yah Waqt Suraj Dubne Ke
Bad Kam Se Kam 1 Ghanta 18 Mint Aur zyada Se zyada 1 Ghanta 35 Mint Hai
jo Mousam Ke Lihaj Se
Ghatta Badhta Rehta He Yani Ek Ghante Ke Upar 18 Se 35 Mint Ke Darmiyan Ghumta Rehta Hai
Ishaa Ki Namaz Ke Bare Me bhi Kuchh Log Samjhte Hain
Ki Uska Waqt 12 Baje Tak Rehta He Yeh Bhi Galat Hai
Isha Ki Namaz Ka Waqt Fajar Sadik Tulu Hone Yani Sehri Ka Waqt Khatam Hone.
Tak Rehta He Han Bila Wajeh Tihayi Raat Se
Zyada Der Karna MAkruh Hai
Insha Allah aur bhi Namazo ke Masail pesh karta rahunga bas Aap mere liye dua karte rahe aur
is web ke msg ko share
Kerte rahe Aur Zayada Se Zyada
Sawab e Zariya Paaye
jo Qayamat apko
Milta hi rahega Insha Allah
New Message Apke Email Par Paane Ke Liye Subscribe Karen
Uske baad Apki Email Check kare Ek msg Ayega Uspar Click Kerke
Conform Karen Fir Apko Message Milna Shuru
Hojayenge
Aapko hamari Post kaise lagti
hai Comment box me Zaroor likhe
aur Is Post ko Like Share Karna Na bhoole
For More Msgs Click This Link
www.diniraah.in
Baraye Karam Is Paigham ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣
24 Comments
Sukriya
ReplyDeleteJazakAllah Aapka feedback dene ke liye
DeleteSukriya
ReplyDeleteSukriya
ReplyDeletetalak dena or fir usi ladki se shadi karna halala krna jruri h
ReplyDeleteAgar Aapne 3 talaq nahi dia hai to Aise hi shadi kar sakte hai warna halaala zaruri
DeleteIs masle ko Aap aise nahi samjh sakte uske liye hamse contact kare whats app ya telegram par contact button par click karen
DeleteAssalamoalaikum mai yhi phuchna chahta hu ki aapne jo maghrib ki namaaz ke baare me bataya kuch logo ka kahena hai nhi zyada waqt nhi rheta aur kuch log kahete hai kis kis hadees me likha hai toh pls aap agar bata sake toh shukriya.
ReplyDeleteWa'alaikumussalam Aapko jo hamne Bataya hai Upar Wo Kitabein hadees se hi masail Akhaz karke likhi hui hai Logon ki baton me Na Aye aur jo time bataya gya hai usi par Amal karen
DeleteMa ya pochna chahti hoon ka ma job ki waja sa zohar ka waqt sa la kr raat bara bja tak job par hoti hoon kya ma bara baja ka baad apni namazein ada kar sakhti hoon ?
ReplyDeleteJi han Aap Aakar bhi sabhi namaze padh sakti hai lekin un namazo ki kaza padhni hogi Sirf ishaa ki namaz kazaa nahi hui baqi sab kazaa
DeleteAssalamualaikum
ReplyDeleteWa'alaikumussalam Duaon Me Yaad Rakhen
DeleteShukriya bhaijaan is post keliye
ReplyDeleteJazakAllah Duaon me yaad rakhein 🤲
DeleteShukriya apne meri ki mushkilat door kr di aksar ghar k kaam karne me deri ho jati h mujhe..par koshish rhti h ki jald kaam nipta kr namaz ada kr liya karungi
ReplyDeleteJazakAllah Duaon Me Yaad Rakhen 🤲
DeleteBhai mujhe yh puchna hai k mre shohr na mujh se pyar nahi karty susral wale b Mre moun pe kuch aur dusro k moun pe kuch hai aur mein is shadi se khush nahi hun 7 maah se bas ro rahi hun kuch batay mujhe k mein Kya karon maa baap k pas rehna chahti hun hmesha k liye kuch bta dein
ReplyDeleteASSALAM O ALAIKUM------------MAGHRIB ki namaz ka time kab tak rehta hai????
ReplyDeleteWaalaikumussalam kya Aapne Upar Poora Message Nahi Padha Usme Time Hi To Bataya Gaya hai
DeleteKayi baar isha ki namaz qaza ho jati h to kya m qaza fajar ki namaz se phale padh skta hu kya. Abhi to m fajar ki azaan hone ke baad fajar ki namaz se phale qaza padh leta hu.
ReplyDeletepahle Qaza padh liya karen kyunki uske liye azaan ka hona zaruri nahi hai
DeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeleteAgar isha ka time Shuru nahi hua to namaz hogi hi nahi apni masjid ke time table ko dekhen ki. Kab se Isha ka time. Shuru ho raha hai us time. Se pahle namaz padhi to nahi hogi
DeleteNiche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe