Namaz Me Quran Padhne Ka Bayan

Namaz Me Quran Padhne Ka Bayan"⚫
Ahem Masayel Dhiyan Se Padhen.........
MAS'ALA:-
<
Fajr Magrib Aur Isha Ki Pehli 2 Rakaton Me Aur Juma Eidain O Taraveeh & Ramzan Ki Witr Ki Tamam Rakaton Me imam Par Jaher (zor se Quran Padhna) wajib hai,
Zohar Asar Ki 4ron rakaton Me Magrib ki Tisri & Isha ki Tisri & 4thi Rakaton Me imam Pe Ahista Quran Padhna Wajib Hai
{Bahar-E-Shariat, Hissa-3, Page-544}
MAS'ALA:
JAHER Ke Maana Ye Hai Ki Pehli Saf Wale Sun Sake Aur Ye Adna Darja Hai,,
Aala Darja Ye Hai Ki Uski Koi Had Muqarrarr Nahi,,,
Aur Ahista Padhna Ye Ki Khud Sun Sake,,,
Is Tarah Padhna Ki 1 Ya 2 Admi Sunte Hon Ye Ahista Padhna Hua Jaher Nahi...
{Durre Mukhtar, jild-2,Safah-308}
Mas'ala:
Haajat Se Ziyadah Awaz Tez Karna Jo Apne Aur Dusron Ke Liye Ba'ise Takleef Ho Ye Makrooh Hai...
{Raddul Mohtar, Jild-2, Safah-304}
Mas'ala:
Din Ki Nawafil Me Ahista Padhna Wajib Hai,
Raat Ki Nawafil Me Ikhteyar Hai Agar Akela Padh Raha Ho To,,, Agar Jamat Se Raat Me Nafl Padh Raha Ho To Jaher Wajib Hai...
{Bahar-e-Shariat, Hissa-3, Page-545}
Mas'ala:
Jehri Namazon Me (fajr, magrib, isha) Me Akele Padhne Wale Ko Ikhtiyar Hai (chahe Zor Se padhe Ya Ahista} Aur Behtar Yahi Hai Ki Zor Se Padhe Agar Namaz Apne WAQT Me Padh Raha Ho To,
Agar Qaza Hai To Ahista Wajib Hai...
{Alamgiri, Jild-1, Page-72}
Mas'ala:
Agar Sure Fatiha Ke Bad Sure Milana Bhool Gaya Tha Aur Rukoo Me Chala Gaya To Wapas Khada Ho Phir Sure Milaye Phir Rukoo Kare Aur Akheer Me Sajdah Sahu Kare,
{Bahar-e-Shariat Hissa-3, Page-545}
Mas'ala:
Izterari Halat Me Masalan WAQT Jate Rehne Ka Khauf Hai Ya Dushman Ya Chor Ka Dar Hai Aisi Halat Me Safar Ho Ya Hazar (apne maqam par) Agar Wajibaat Chhodne Pade To iski ijazat Hai.....
Masalan Fajr Me Itna WAQT Tang Hai Ki Sirf Eik Ayat Hi Padh Sakta Hai To Eik Hi Padhe,
Magar Suraj Baland Hone Ke Bad Is Namaz Ko Dobara Padhe...
{Durre Mukhtar, jild-2, Page-317}
Mas'ala:
Sunnate Fajr Padh Raha Tha Aur Jamat Na Milne Ka Dar Ho To Sunnat Namaz Me Sirf Wajibat Pe Hi Amal Kare,
Sana(Subhana kalla humma) Auzubillah Bismillah Chhod De Aur
Alhamdu Sharif aur Surah zaroor pade,
Rukoo Sajde Me Sirf 1-1 Hi Tasbeeh Padhe...
{Bahar-e-Shariat, Hissa-3, Page-546}
For More Msgs Click This Link
          www.diniraah.in
   
.
Baraye Karam Is Paigham Ko uu ko Share kijiye
ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
╠ ♥ PLEASE SHARE ♥ ╣

Post a Comment

0 Comments