Khutbaa Sunne Wa Baithne Ke Ahkaam

Jo Kaam Namaz Ki Halat Me Mana Hai Wahi Kaam Khutbaa Hone Ki Halat Me Bhi Haraam Aur Mana Hai
📚 Hulya Jamaur- Ramuz Aalamgiri- Fatawa Razwiyya

Khutbaa Sunne Wa Baithne Ke Ahkaam


🎧 Khutbaa Sunna Farz Hai Aur Khutbaa  Is Tarah Sunna Farz Hai Ki Ham-Atan Gosh ( Usi Taraf Tawajjoh De) Aur Kisi Kaam Me Mashghool Na Ho 
Sarapa Tamam Azaye Badan Usi Ki Taraf Mutwajjoh Hona Wajib Hai 


Agar Kisi Khutbaa Sunne Wale Tak Khateeb Ki Awaz Na Pahuchti Ho Jab Bhi Use Chup Rahna Aur Khutbaa Ki Taraf Tawajjoh Rakhna Wajib Hai Use Bhi Kisi Kaam Me Mashghool Hona Haraam Hai 
📚 Fathul Qadeer- Raddul Mohter
Fatawa Razwiyya 


Khutbaa Ke Waqt Khutbaa Sunne Wala Do Zaanu Yani Namaz Ke Qayede Me Jis Tarah Baithte Hain Us Tarah Baithe
📚 Aalamgiri- Raddul Mohtar- Gunya- Bahre Shriyyat 

Khutbaa Ho Raha Ho Tab Sunne Wale Ko Ek Ghunt Paani Pina Haraam Hai Aur Kisi Ki Tarf Gardan Fer Kar Dekhna Bhi Haraam Hai

Ye Bhi Padhen 👉Juma ki Namaz ka Tareeqa

Khutbaa Ke Waqt Salaam Ka Jawab Bhi Dena Haraam Hai


Juma-A Ke Din  Khutbaa Ke Waqt Khateeb Ke Samne Jo Azan Hoti Hai Us Azan Ka Jawab Ya Dua Sirf Dil Mein Karein Zabaan Se Aslan Talsffuz ( Dohrana ) Na Ho

Juma-A Ki Azane Sani (Khutbe Se Pahle Ki Azan) Mein Huzur ( Sallallahu Ta-Ala Alaihi Wasallam) Ka Naam Sun Kar Angutha Na Chumein Aur Sirf Dil Mein Darud Shareef Padhein
📚 Fatawa Razwiyya 

Khutbaa Mein Huzur ( Sallallahu Ta-Ala Alaihi Wasallam) Ka Naam Sun Kar Dil Mein Darud Shareef Padhein Zabaan Se Khamosh Rahna Farz Hai
📚 Durrey Mukhtaar , Fatawa Razwiyya 

Jab Imaam Khutbaa Padh Raha Ho Us Waqt Wazeefa Padhna Mutlaqan Na Jayez Hai Aur Nafil Namaz Padhna Bhi Gunaah Hai

Khutbaa Ke Waqt Bhalai Ka Huqm Karna Bhi Haraam Hai Balki Khutbaa Ho Raha Ho Tab Do Harf Bolna Bhi Mana Hai
Kisi Ko Sirf Chup Kahna Tak Mana Aur Laghwa (Ghalat) Hai


Sihah Sitta (Hadees Ki 6 Sahi Kitabon) Mein Hazrate Abu Huraira (Radiallahu Ta-Ala Anhu) Se Riwayat Hai
 Ki Huzur (Sallallahu Ta-Ala Alaihi Wasallam) Farmate Hain Ki Baroze Jumma Khutba e Imaam Ke Waqt Tu Dusre Se Kahe Chup To Tune Laghwa (Ghalat) Kaam Kiya

Isi Tarah Masnade Ahmad , Sunne Abu Daud Mein Hazrate Ali ( Karam Allah Wajhul Kareem ) Se Mankul Hai 
Ki Huzur ( Sallallahu Ta-Ala Alaihi Wasallam) Farmate Hain Ki Jo Jumma Ke Din Khutbaa Ke Waqt Apne Saathi Se Chup Kahe Usne Laghwa ( Ghalat ) Kiya Aur Jisne Laghwa Kiya Uske Liye Jumma Mein Kuch Ajar ( Sawab ) Nahin

Ye Bhi Padhen 👉Jumma Mubarak kehna Kaisa ?

Khutbaa Sunne Ki Halat Mein Harkat ( Hilna Dulna ) Mana Hai
Aur Bila Zarurat Khade Ho Kar Khutbaa Sunna Khilafe Sunnat Hai 

Awam Mein Maamul Hai Ki Jab Khateeb Khutbaa Ke Akhir Mein In Lafzon Par Pahunchta Hai * Wala Zikrallahe Ta-Ala Aala *To Usko Sunte Hi Log Namaz Ke Liye Khade Ho Jate Hain
Ye Haraam Hai Ki Abhi Khutbaa Nahin Hua Chand Alfaaz Baaki Hain Aur Khutbaa Ki Halat Mein Koi Bhi Amal Karna Haraam Hai
📚 Fatawa Razwiyya 
📚 Momin Ki Namaz 220

Post a Comment

0 Comments