CoronaVirus Se Bachne Ka Tarika Aur Iska Ilaaj


CoronaVirus Se Bachne Ka Tarika Aur Iska Ilaaj


CoronaVirus Se Khouff Kyun ??

Aaj Duniya Bhar Me CoronaVirus Ka Khouff Hai
Saari Duniya Is Musibat Se Joojh Rahi Lekin Ye
Sab musibatein kyon aa rahi hai
Is bare mein Allah ka kya Farman hai

Allah Quraan E Karim Me Irshad Farmata Hai:-
وَ مَاۤ  اَصَابَکُمۡ مِّنۡ مُّصِیۡبَۃٍ  فَبِمَا کَسَبَتۡ اَیۡدِیۡکُمۡ وَ یَعۡفُوۡا عَنۡ کَثِیۡرٍ ﴿ؕ۳۰﴾
اور تمہیں جو مصیبت پہنچی وہ اس کے سبب سے ہے جو تمہارے ہاتھوں نے کمایا  ( ف۸۳ )  اور بہت کچھ تو معاف فرمادیتا ہے ، 
 
Tarjuma Roman:-
Aur tumhen Jo musibat pahunchti Hai hi vah uske Sabab Hai Jo tumhare hathon Ne kamaya aur bahut kuchh To Allah Muaf Farma deta hai
(Surah Shooraa Ayat 30)

Yani Insan per jo bhi mushkil musibat aati Hai Wo sab usi Ka Kiya hua Hai,
Aaj Duniya Bhar Me Zulmo Sitam Ho Raha Hai
Allah Ki Banayi hui Duniya Me Log Usi Ke Bandon Par Zulm Kar Rahe Hai, Aur Usi ki Ibaadat Se Rok Rahe Hain,

aaj duniya bhar Mein sare hi log Allah Ke Nek bando ko chhodkar gunahon Mein mubtila hain
Aur hamare Musalman bhai Bhi aaj gunaho ke daldal mein dhase hue hain aur vah Allah Ki ibaadat se door hain,

Yaad rakho har musibat se bachane wali Zaat Sirf Allah Ki Hi Hai sabhi Musalman bhaiyon ko Allah Par Bharosa rakhna chahie aur uski ibadat khoob karni chahie kabhi kabhi Allah rabbul izzat musalmanon ko pareshaniya dekar bhi Azmata hai ki Kaun Hai Jo Sabr Kare aur Allah ka shukr Karen har hal mein


CoronaVirus Ke Ta'alluk Se Hadees:

Rasool Allah Sallallahu tala Alaihi vasllam Se
Mahamari Ke bare mein poochha Gaya to aap
Rasool Allah Sallallahu tala Alaihi vasllam ne farmaya ki ki yah Ek azaab Hai Jo Allah tala jis per chhata hai bhejta hai
Lekin Allah tala ne usko momino ke liye rahmat bana dia hai
Agar kisi Shakhs Ki basti main fail jaaye vah sab ke sath Allah Ki rahamat se ummid lagaye hue vahi Thera rahe ki, hoga vahi Jo Allah tala Ne kismat Mein likha Hai to use Shaheed ke barabar sawab milega Agar Usko Us Beemari Ki Wajah Se Mout Aa Gayi
(Sahih Bukhari 3474)

Virus Ya Mahamari(Epidemics) Kyu Aati Hai??

Rasool Allah Ne Farmaya :-
Jab Koi Qoum Khuleaam Fahash(Naach Gaana, Zina Kari, Gunaah) Hone Lage To Unme Mahamari Ya Aisi Beemari Aa Jaati Hai Jo Uske Pahle Logon Ne Na Dekhi Thi
(ibne Maza 4019)

Aye Logon Agar Chahte Ho Allah Hamen Amaan Me Rakhe Agar Hum Chahte Hai
Ki Rushwayi Aur Haadse Ki Mout Se Bache To Gunaahon Se Toubah Karo
Agar CoronaVirus Se Bachna Chahte Ho To
Aye Logon Un Tamaam Kaamon Se Ruk Jao Jisse
Allah Wa Rasool ﷺ Naraaz Ho,
Aye Logo Yaad Rakho Saari Ahtiyaati Tadabeer Zaroori hai....
Lekin Mout Aur Zindagi To Sirf Us Rab Ke Hukm Par Hi Hai
Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaya:-
Agar Tum Kisi Mulk Me Suno Jahan Mahamari Koi Aise Beemari Jo Bohat Logon Ko Ho Rahi Ho To Wahan Mat Jao
Lekin Agar Aap Us Mulk Me Rehte Ho To Us Mulk Ko Chhodkar Na jao
(Bukhari Sharif 624)


CoronaVirus Se Bachne Ka Tarika Aur Iska Ilaaj


Allah Ne Koi Bhi Beemari Aisi Nahi Banayi Jiska Ilaaj Moujood Na Ho
Allah Quraan Me Irshaad Farmata Hai

(وَ نُنَزِّلُ مِنَ الۡقُرۡاٰنِ مَا ہُوَ شِفَآءٌ وَّ رَحۡمَۃٌ  لِّلۡمُؤۡمِنِیۡنَ ۙ ﴿۸۲

Tarjuma:- Aur Hum Quraan Me Utarte Hain
Wo Chiz Jo Imaan Walo Ke Liye Shifa Aur Rehmat Hai
(Surah Bani Israeel Ayat 82)

یٰۤاَیُّہَا النَّاسُ قَدۡ جَآءَتۡکُمۡ  مَّوۡعِظَۃٌ مِّنۡ رَّبِّکُمۡ وَ شِفَآءٌ لِّمَا فِی الصُّدُوۡرِ   ۬ ۙ وَ ہُدًی  وَّ رَحۡمَۃٌ   لِّلۡمُؤۡمِنِیۡنَ ﴿۵۷﴾

Tarjuma:- Aye Logon tumhare pass rab ki taraf se nasihat ayi aur dilon Ki Sehat aur hidayat aur rahamat imaan Walon ke liye
(Surah Yunus Ayat 57)

Allah Quran Me Khud Farma raha hai ki Ye Quraan. Momino Ke Liye Shifa Aur rahamat Hai to aap khud hi samajh sakte hain ki Quraan Mein har chiz ka ilaaj Hai kyunki Quran Me Allah ne farmaya hai



CoronaVirus Se Bachne Ki Dua


Surah Fatiha Ko Surah Shifa Bhi Kaha Jaata hai
Hadees Me Iski Bohat Fazilat Aayi Hai
Hadees Ke Mutabik Surah Fatiha Jis Mariz Par bhi Dam kardi Jaye Usko Har Marz Se
Shifa Mil Jaati hai,

Ilaaj No. 01:-
3 Baar Durood Sharif Aur 7 Martaba Surah Fatiha Yaani Alhamdu Sharif Jo Ki Har Namaz Me Padhi Jaati Hai fir 3 Baar Durood Sharif,
Mariz Ko Dam Karke Paani Pilaye Ya Uske Upar Dam Karde Insha Allah Duniya ki Har Beemari Se Shifa Mil Jaygi
Yaad Rahe Dua Ke Sath Dawa Lena Bhi Sunnat hai Isliye Dr. se Dawa Ke Zariye Bhi Ilaaj Karaye Aur Ye Amal Bhi karte Rahe
Insha Allah Shifa Jald Milegi,

Ilaaj No. 02:-
Subah Ke Waqt Fajar Ki Namaz Ke Baad
Ek Martaba Ayatul Kursi Aur Ek Martaba Surah Fatiha Aur Charo Qul Sharif Padhe
Insha Allah Poore Din Koi Bhi Beemari Ya Pareshani Pesh Nahi Ayegi
Allah Aapki Har Bala Musibat Se Hifazat Farmayega

Ilaaj No. 03:-
اَللّٰہُمَّ عَافِنِی فِی بَدَنِی اَللّٰہُمَّ عَافِنِی فِی سَمْعِی اَللّٰہُمَّ عَافِنِی فِی بَصَرِی لَا اِلٰہَ اِلَّا اَنْتَ

"Allahumma ‘Aafini Fee Badani Allahumma ‘Aafini Fee Sam’ee Allahumma ‘Aafini Fee Basari Laa Ilaaha Illa Ant.

Translation:-
Ya Allah Mujhe Mere Badan Mein Aafiyat De Ilaahi Mujhe Mere Kaano Me Aafiyat De
Ilaahi Mujhe Meri Ankhon Me Aafiyat De
Tere Siwa Koi Ma'abood Nahi

Is Dua Ko Teen Martaba Subah Aur Teen Martaba Sham Me Padhen

Guzarish Sabhi Momin Musalmano Ke Liye Dua Karen Ki Allah Jald Se Jald Hamen Is CoronaVirus Jaise Beemari Se Jald Se Jald Nijaat Dilaye Aameen

Post a Comment

2 Comments

  1. mera sawal ye hai ke jaise corona virus fail raha hai or ye ek jism se dusre jism me fail jata hai .to kaya hum ahtiyat ke tor per ghar per namaz padh sakte hai .jise is bimari se bacha ja sake .

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ji Han Ahtiyat Rakhna Bhi Zaroori hai Aap ghar hi namaz padh sakte hai Aur waise bhi masjidon me jaane par government ne rok laga di hai ye ek majboori hai Aap ghar par hi padhen Namaz

      Delete

Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe