USKI 40 DIN KI NAMAZ QABOOL NAHI HONGI

USKI 40 DIN KI NAMAZ QABOOL NAHI HONGI


USKI 40 DIN KI NAMAZ QABOOL NAHI HONGI



*♥ Mahfum-e-Hadees:*

Hafsa (Razi’Allahu Anhu)Se Riwayat Hai Ke,
Rasool-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki -
Agar Koi Musalman Kisi Majoosi (Qaahin) Ke Paas Jakar
Kuch Daryaft Karta Hai Tou Uski 40 Din Ki Namaz Qubool Nahi Hoti…”
*📚– (Muslim Sharif Vol-2 Page-233 :


*Ek Aur Riwayat me Aata Hai ke –*
*♥ Mahfum-e-Hadees:*
 Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki –

Jisne Sharab Pi Li Uski 40 Din Tak Namaz Qubool Nahi Hogi, Phir Agar Woh Tauba Karle Tou ALLAH Mu’af Farma Dega,

Phir Usne Sharab Pi Tou 40 Din Tak Namaz Qubul Nahi Hogi – Aur Agar Usne Taub Karli Tou ALLAH Muaf Farma Dega.
Is Tarah Teen Martaba Aap Ne Farmaya,..
Phir Farmaya Ki Agar Woh 4thi Baar Sharab Piyega Tou Uski 40 Din Tak Namaz Kubul Nahi Hogi 

Aur Woh Tauba Karega Tou Tauba Qubul Na Hogi Aur Usey Qayamat Ke Roz Jahannamio Ka Peep Pilaya Jayega,..
*📚– (Mishkat Sharif: 317)*

• Note: Beharhaal Namaz Ki Ahmiyat Kya Hai Hum’me se Aksariyat Jaanti Hai,.
Aur Namaz Ko Chorrna Kabeera Gunaah Me Se Hai ,..
Lekin Allah Rabbul Izzat Aise Shakhs Ki Namaz 40 Din Tak Qabool nahi Farmata
Jo Kisi Qaahin Ke Paas Ja kar Kuch Daryaft Karta ho,.. Aur Jo Sharab Pita Ho ,..
Kyunki Ye Dono Gunaah Itney Sangeen Hai Ke Allah Rabbul Aise Musalmaan Ki Ibadate Bhi Qabool Nahi Farmata,..

🌷Aur Iss Hadeese Mubarak Me 40 Din Ki Namaz Qabool Na Honey Se Muarad Yeh Nahi Ke
40 Din Namaz Chorr De, Balki Namaz Tou Padhna Hai, Lekin Afsos Ke Woh 40 Din Qabool Na Hongi.

*♥ Allah Hume Bachaye*
*Qaahino Aur Majusiyo Ke Fitno ,..*
*SharrPasando Ke Sharr se ,…*
*( Ameen Allahumaa Ameen )*

Post a Comment

3 Comments

  1. Farhan khan.. Tahajjud padho jitna ho sake... Roz padho...

    ReplyDelete
  2. Farhan khan Tahajjud padho roz... Bina Naga kiye... Isse acha kuch b nhi h.. Kuch b nhi... Na koi dua... Na koi wazifa... 1 Saal 2 Saal..... Muft m k6 nhi Milta bhai

    ReplyDelete

Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe