Hazrate Sayyeda Faatima Zahra radi-Allāhu ta’ala anha

Hazrate Sayyeda Faatima

Hazrate Sayyeda Faatima Zahra 

(radi-Allāhu ta’ala anha)

Laqab :
¯¯¯¯¯¯
Khatoon-e-Jannat, Khair-un-nisa, Sayyedat-un-nisa, Umm-ul-Saadat, Tayyeba, Taahira, Zahra, Batul, Raadiyah.

*************** *****
Aap ki wilaadat 20 Jamaadil aakhir, Elaan e Nabuwwat ke 4 baras pehle 605 A.D. me Makka me hui.

Aap ke waalid  Hazrat  Mohammad Mustafa Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam aur waalida  Hazrate Khadeejatul Kubra binte Khuwaylid radi-Allāhu ta’ala anha hain.

*************** *****
Aap ka nikaah Hazrate Ali al-Murtaza radi-Allāhu ta’ala anhu ke saath 1 Zil Hijjah 2 Hijri (623 A.D.) ko hua.

Jab Huzoor Sarware kaainat Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Faatima radi-Allāhu ta’ala anha se farmaaya ke ‘Aye beti Faatima, ALLĀH ta’ala ke hukm se tumhara aqd (nikaah) Hazrate Ali se 200 miskaal chaandi mehar ke saath tay kiya hai, tumhe manzoor hai?’ Sayyeda Faatima ne farmaaya ke ‘Ali manzoor hai, magar ye mehar manzoor nahi. Tab Hazrate Jibreel alaihis salaam ne aakar kaha ke ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam, Faatima se farma dijiye ke ALLĀH unke mehar me saari jannat de raha hai.’ Sayyeda Faatima ne ye sunkar kaha ke ‘Ye mehar bhi mujhe manzoor nahi hai.’ Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ke ‘Aye beti Faatima, to phir tumhari kya marzi hai?’ Hazrate Faatima radi-Allāhu ta’ala anha ne farmaya ke ‘Mujhe mehar me ummate Mustafa ki maghfirat chaahiye.’ Itne me Hazrate Jibreel alaihis salaam ne phir se aakar ek jannati kaagaz ka tukda diya aur farmaya ke ‘ALLĀH ta’ala ne Faatima ke mehar me ummate Mustafa ki maghfirat ata kar di hai.’
Jab Hazrate Faatima ne ye suna to nikaah ke liye raazi hue.

Jab Hazrate Faatima radi-Allahu ta’ala anha ka inteqaal ka waqt qareeb tha to aap ne Hazrate Ali se wasiyat ki ke ‘Is jannati kaagaz ko mere saath meri qabr me rakha jaaye.’

Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ne aap ko bidai ke waqt Jaanamaz, Tasbeeh, Dol aur Rassi, Chakki aur kuchh bartan diye aur Is tarah ye paighaam diya ke Aurat ALLĀH ta’ala ki Ibadat kare aur Apne shohar aur us ke ghar walo ki khidmat kare aur apni aulad ko sahi tarbiyat wa taalim de to wo Jannati hai.

************
Aap ke 2 bete aur 2 betiya hain :
Saahabzade – Hazrat Hasan aur Husain radi-Allāhu ta’ala anhuma,
Saahabzadiya - Hazrat Zainab Aur Umme Kulsum radi-AllĀhu ta’ala anhuma.

Aap ki aulad aur nasl ko ‘Saadat’ ka laqab mila hai.

*************** *****
Ek bar kuchh yahudi aurto ne Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ke paas aakar kaha ke ‘Ham aap ki beti Faatima ko hamare yaha shadi me aane ke liye dawat dene aaye hain.’ Aap sallallāhu alaihi wa sallam ne kaha ‘Theek hai, Faatima aap ke yaha zaroor aaegi.’
Jab Faatima ne ye baat suni to aankho me aansu aa gaye. Pyare Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam ne puchha to bataya ke ‘Mere paas achhe kapde nahi jise pehankar main un yahudiyo ke yaha jaau. Agar mere purane kapde pehankar jaaugi to wo sab ye kehkar mazzaq udayenge ke musalmano ke nabi ki beti ke paas achhe kapde bhi nahi. Main aap ki tauhin bardasht nahi kar sakti.’
Itne me Hazrate Jibreel alaihis salaam jannti libaas ka ek joda lekar aaye aur farmaya ‘Ya rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam, Ye kapde Faatima ko de dijiye aur ise pehankar wo un yahudiyo ke yaha daawat me jaaye.’
Jab Bibi Faatima radi-Allahu ta’la anha wo kapde pehankar yahudiyo ke yaha pahunchi to un aurto ne us noorani kapdo ko dekhkar hairaan hokar puchha ke ‘Aye Faatima ye kapde tumhe kisne diye?’ Sayyeda Faatima ne farmaya ki ‘Mere baba jaan Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne.’ Un aurto ne puchha ‘Unhe kis ne diye?’ To Faatima ne farmaya ‘ALLĀH ta’ala ke hukm se Jibreil alaihis salaam ne jannat se laakar diye.’
Ye sunkar wo sab aurte foran kalma padhkar musalman ho gai.

*************** *****
Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam apni beti Faatima ke sar ko sungha karte the.
Ashaba ne puchha ki ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam chumne ki baat to samajh me aati hai, ye sunghne ki kya wajah hai?’ Tab aap ne farmaya ‘Mujhe Faatima me se jannat ki khushboo aati hai.’

Aap ke baare me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya hai :

(1) Meri beti Faatima insaani hoor hai. ALLĀH ta’ala ne use haiz o nifaas se paak rakha hai.
(2) Faatima mere jigar ka tukda hai. Jis ne use naraaz kiya us ne mujhe na-raaz kiya.
(3) Jannat me daakhil hone wali aurto me sab se pehle meri beti Faatima hogi.
Qayaamat ke din ghaib se aik nida (aawaaz) aayegi ki ‘Aye hashr ke maidaan me jama hone walo apni nigaahen jhuka lo yaha tak ke Faatima binte Muhammad sallallāhu alaihi wa sallam guzar jaayen. Aur Aap 70,000 hooro ke saath bijli ki tarah guzar jaayengi.
(4) ALLĀH ne Faatima Zahra aur us ki aulaad par Jahannam ko haraam farma diya hai.

************
Aqwaal :
¯¯¯¯¯¯
(1) Apni betiyo ko bachpan se hi parda karna sikhao.
Jis tarah Moti ke liye sadaf aur Jawahiraat ke liye sandooq zaroori hai usi tarah Aurat ke liye parda zaroori hai.
Aurat me sab se bentar woh hai jo na kisi na-meharam ko dekhe aur na koi na-mehram us ko dekhne paaye.

(2) Jab aurat ghar ka kaam aur bacho ki tarbiyat kar rahi ho,
Us waqt wo ALLĀH ta’ala ke sab se zyada qareeb hoti hai.

*************** *****
Ek baar Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam beemar huwe to Sayyeda Faatima radi-Allāhu ta’ala anha tashreef laai. Aap sallallāhu alaihi wa sallam ne dekha to farmaya ‘Marhaba Aye meri beti.’ Aur mohabbat se apne pass bithakar aahista aahista un se kuchh baaten ki, jis se aap rone lagi. Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne un ke malaal ko dekha to phir aahista aahista kuchh baaten ki, jis se wo muskurane lagi.
Ummul mo’mineen Hazrate Ayesha Siddeeqa radi-Allāhu ta’ala anha ne Sayyeda Fatima se puchha ki ‘Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne aap se kya guftgu farmai hi jis se pehle aap rone lagi aur phir muskurane lagi?’ To aap ne farmaaya ‘Main Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke raaz ko zaahir nahi karna chaahti.’

Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ka wisaal ke baad Hazrate Ayesha Siddeeqa radi-Allāhu ta’ala anha ne Sayyeda Faatima se kaha ‘Main tumhe qasam deti hu aur is haq ka wasta deti hu jo mera tum par hai ab mujhe us raaz se aagah karo.’To aap ne farmaya ‘Ab is raaz ko zaahir karne me koi harz nahi hai. Baat ye hai ki mujhe pehli martaba Rasool-Allāh sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya tha ki ‘Aye Fatima, Meri wafaat ka waqt qareeb aa gaya hai aur main tujh se juda hone wala hu, Pus tum ALLĀH se darti rehna aur sabr karti rehna’ Ye sunkar main rone lagi thi aur jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne mujh ko zyada ghamgeen dekha to mujh se farmaya ki ‘Kya tum is par raazi nahi ki tum saare jahan aur jannat ki aurton ki sardar bano? Aur mere ahle bait me sab se pehe tum hi mujh se milogi. Ye sunkar main khush ho gai aur muskurane lagi.

Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke wisaal ke 6 mahine baad Sayyeda Bibi Faatima ka inteqaal hua.

*************** *****
Aap ke wisaal ke din jab Hazrate Ali radi-Allāhu ta’ala anhu ghar me tashreef laaye to dekha ke Hazrate Faatima kaam me masroof hain.
Aap ne puchha ke ‘Aye Faatima, Kya wajah hai ke aaj kuchh zyada masroof lagti hain?’
Aap ne farmaya ke ‘Aap logo se rukhsat hone ka waqt qareeb hai. Is liye main Aap ke kapde dhokar rakh dena chahti hu aur Aap sab ke liye khana banaakar rakh dena chahti hu take mere jaane ke baad aap ko pareshani na ho aur Mitti bhigokar Hasnain ko lagana chahti hu ke unko dulhe ki soorat me dekh lu.’

Ye sunkar Hazrate Ali ki aankho me aansu aa gaye to aap ne farmaya ke ‘Aap ko har haal me sabr karna hai aur hamare bacho ka khayaal rakhna hai.’

Phir aap ne Hazrate Ali se kuchh wasiyaten ki, jin me se ek ye thi ke ‘Mere janaaze ko raat ke waqt andhere me nikala jaaye aur ghar ke log hi use kandha de aur dafn kare. Jis se Faatima ka parda rahe.’

********************
Aap ka wisaal 3 Ramazaan 11 Hijri (632 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Jannatul Baqi, Madeena me hai.

********************
Ye hai Hazrate Faatima radi-Allāhu ta’ala ka martaba.
Aap ke Waalid Khair ul Bashar, Ashraf ul Ambiya hain.
Aap ke Shohar Sher e khuda Maula e kaainat aur Faatihe wilaayat hain.
Aap ke Saahabzaade Jannati jawaano ke sardaar hain.

Aap Sayyedat-un-nisa’ (Jannati aurto ki sardaar) aur Khair-un-nisa’ (Tamaam aurto me behtar) hain.

Jab maa ka martaba itna buland ho aur wo neki aur parhezgaari aur sabr me bemisaal ho to Bete bhi Shaheed e Abraar aur Shaheed e Moazzam hote hain aur Beti bhi Siddeeqa-e-Sughra hoti hain aur neki aur parhezgari aur sabr me bemisaal hote hai.

*************** *****
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaaiz muraado ko puri farmae.
Aameen.


Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Kya-Quraan-Ki-Aayat-Wale-Message-Delete-Karne-Se-Gunaah-Milta-Hai
► Masla-3-Talaaq
► AURAT-KI-ZINDAGI-KE-4-DAUR
► Aaj-shadi-shuda-zindagi-kamyab-kyu-nahi
► ZUBAAN-KI-HIFAAZAT
► Valentine-Day-ki-Haqeeqat

Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Nikah Ke Masail
► Aulia Allah Ka Zikar
► Hidayat Post
► Hadees Post

Post a Comment

0 Comments