Mas'Ala 3 Talaaq Quraan Hadees Ki Roshni Me

Mas'Ala 3 Talaaq Quraan Hadees Ki Roshni Me


Mas'Ala 3 Talaaq Quraan Hadees Ki Roshni Me


Aaj Kal Ek Mas'Ala Bohat Zyada Garma Raha hai
Aur Wo Hai 3 Talaaq ka Mas'Ala
Sekdo Saal Se Poori Ummat
Quraano Hadees Ki Roshni Me Yahi Manti Aa Rahi Hai Aur
Poori Ummat Isi Par Amal Karti Rahi hai
ki 3 Talaaq Dene Se Talaaq ho jaata hai
Magar Ab Chand Aise logo ki Wajah Se
jo ki Islaam ko thik Se Janti bhi nahi
Ke Talaaq Ke Masail kya Hai
Shariyate Mohammadiya  Sallallahu Alaihi Wasallam Me
Wo Aaj Tv Par Bethkar Is Mas'Ale Par
Guftagu Karte hain
Aur News Media Aise Logo ko
Wahan Bithati hai
Jo Is Mas'Ale Me Maloomat bhi Nahi Rakhte Jinhone Quraano Hadees Me Is
Mas'Ale Ko thik Se Na Samjha Aur Na Jaana

Aur Wo Bakeel Wahan Bulaye Jaate Hain jo
ki Gair Muslim hote Hai
Ab Aap khud Hi Bataiye ki Koi
Bhi GairMuslim
Islami Masail ko Na jisne Jaana Na Usko Samjha Wo Bhala Hamare Masail Ko kya jaane
Wo Uspar Aitraz Karte hain ki
Islam me 3 Talaaq Dena Auraton par Zulm Hai
Unke Sath Na'Insaafi hai

Ye Muslim Auraton Ke Sath Ziyadati hai
Is Tarah ki Baten ki Jaati hai

Wo Aaj Muslim Auraton Ke Haq ki Baat
Karte Hai jin Logo Ke Yahan Auraton Ko
Uske Shohar ki Mout ke Baad Usi k Sath Jala dia jaata Tha jisko Shati Kehte hai

Aur Ek Aurat Se 5,5 Bhaiyo Ne Shadi ki
Thi
Wo Aaj Musalman Auraton k Haq ki
Baat Karte Hai jinke Mazhab Me Araton
ke koi Huqooq Nahi hai

Ye To Sirf Islam Ka Tohfah Hai jo Islam Ne Auraton ko Unke Huqooq Ataa kie

Aur Wo Auraten Jo
khud Ek Musalman hokar Bhi Islami
Shariyat Ka Mazaaq Udhaati hai un
GairMuslim Media Aur Reporters Ke Sath
bethkar
Bade Hi Afsos Ke Sath Ye Kehna Padhta hai

ki Aaj Islam ko Khud Musalman kyu Itna
Badnaam Kar Raha hai
wo Shayed Bhool Gya Apni Shariyat ko
Jo Musalman 1400 Saal Se
Yahi Mante Aa Rahe The ki 3 Talaaq Dene Se Talaaq ho jaati hai

Aaj Wo kehte hai ki Ye Auraton ke Sath Zulm Hai
isko Roka Jaye
Aur Isme Tabdili ki Jaye
Lekin Wo Ye Bhool Gaye ki Ye Qanoon Insano ka Banaya hua Nahi
Ye To Us Khaliqe Qaynaat ka hai

Jisne Poori Dunia ko Paida Farmaya
Aur Uska Qanoon Kabhi Badla Nahi Karta
Aaj jo Uske Banaye Hue Qanoon Par
Aitraz Kar Rahe
hai wo Kal Uski Sazaa Zaroor Payenge Aur
Fir Jaan Jayenge Ki Uska Azaab kitna Shakht hai

Aaiye Ab Jaante Hain Quraano Hadees Ki
Roshni Me Is Mas'Ale ko
Aur Jisne bhi Allah Ta'Ala ke
Banaye Hue Qanoon Par Aitraz kia hai

Wo Abi bhi Toubah Karle Allah
Unke Gunaahon Ko MuAaf Farmadega



3 Talaaq Jo Ek Hi Majlis Me Dee Jaye Wo 3 Hi hai
Usey 1 kehkar Nikah ka Baaki Samajhna
Shariyat ki Khilaaf Warzi hai

Rasoole Paak Sallallahu Alaihi Wasallam
Aur Zamana-e-Sahaba Radhiallahu Ta'Ala Anhum Se Aaj Tak
Kisi Ne Bhi Ek Majlis Ki 3 Talaaq Ko Ek
Nahi Samjha
Charo Imaam
1 Imaame Aazam,
2 Imaam Safai
3 Imaam Malik
4 Imaam Ahmed Bin Hambal
Jo Aksar Masail Me Ek Dusre Se Shadeed
ijtehadi ikhtelaf Rakhte Hain
Lekin Is Mas'Ale Me
Charo  Ek Hi Raaye Rakhte Hai ki
Ek Majlish Me 3 Talaaq 3 hi hoti hai

Bad'Qismati Se Ahle Sunnat Se Bughaz O inaad
Rakhne
Wale Gair Muqallideen Naam Nihaad
Chand log Jo Kai Maslo Me
AhleSunnat Se Ikhtelaf Rakhte hain
Unka Is Masle Me bhi
Qurasno Hadees Salaf Saleheen Aur Poori Millate Islam Se Ikhtelaf Hai
Gair Muqalledeen ki Ye Puraani
Aadat hai
 hai ki Wo Ahnaaf Ke Khilaf Karne ke
 Chakkar mein Quraano Hadees
 hi ke Khilaaf Kar Jaate Hai

inSha Allah Is Masle Ke Tamaam Pahlu
Par
Hamari Nigah hogi
Aur Janenge Ki Kya Hai Quraano Hadees Me Aur
Aaj Kuchh Musalman Kis Tarah Is Mas'Ale
ko Logo ke Samne pesh Kar Rahe hain


Mas'Ala 3 Talaaq Quraan Hadees Ki Roshni Me



Allah Tala Irshad farmata Hai
Al-Baqarah – اﻟﺒﻘﺮﺓ
[Ayath:229]
ٱلطَّلاَقُ مَرَّتَانِ فَإِمْسَاكٌ بِمَعْرُوفٍ أَوْ تَسْرِيحٌ بِإِحْسَان
Fir Farmata hai
فَإِنْ طَلَّقَهَا فَلاَ تَحِلُّ لَهُ Ayat 230اﻟﺒﻘﺮﺓ
is aayat se Maloom huwa Ki 2 Talaqon  Tak Ruzoo Ka Haq Hai 3 main nahi Aur Marratan Ki itlaq Se Maloom Hua Ki alag alag Talaqe Dena Shart Nahi jiske Bager Talaqe Waqey hi na hon
 Chahe Ek Sath 3 Talaqe De Ya Alag Alag
Hukm Yahi hoga
Is Aayat ke Tahet Tafseere Sawi me hai
"Agar 3 Talaqe  di to hojayengi Chahe Ekdam di Ya Alag Alag Aurat Halal Na Rahegi

Aage famate Hain ki Agar koi Shakhs
Ye kehDe Ke Tujhe 3 Talaqe hain To
3 Hi Ho Jayenge

 is par ummante Mohammediya Sallallahu alayhi wa sallam ka Ittefaq Hai ISI Tarah Aur Bhi Tafseeron me hai

Allah Ta'Ala farmata hai
(Surah Baqarah Aayat 229)
"Jo koi Allah ki Haden Tode k Akdam 3 Talaqen dede  To wo Apni Jaan Par Zulm
Karta hai
Agar 3 Talaqe Ekdam De dega To Ruzoo Na Kar Sakega Is Aayat Me Na Farmaya ki Ekdam 3 Talaq Dene Wale Ki Waqey Na hongi Balki Farmaya Gya
ki Aisa Aadmi Zalim Hai

Agar Is Ayat Se 1 Talaq Hoti To Zalim Kaise Hota
Imaam Nabavi Ne Shareh Muslim Shareef Me Yahi Farmaya Jo Hum Upar Arz Kar chuke Hai


Mas'Ala 3 Talaaq Quraan Hadees Ki Roshni Me


Hadees: (1)
Hazrat Imaam Hasan Radiallahu Anhu
Ne Apni Bivi Ayesha (Khushamiya)
Ko Ekdam 3 Talaq De Di
Baad Me Khabar Mili  K Wo  Imaam Hasan ki Firaq Me Bohat Roti Hain
To Aap Bhi Ro Pade Aur Farmane Lage
ki Agar Mene Apne Walid Hazrat Ali ko
Ye Farmate Hue Na Suna Hota ki Jo koi
Apni Bivi ko Alag Alag Ya ekdam 3 Talaq De de To Wo Aurat Usey Bager
Halaale Ke Jaiz Nahi
To Me Zaroor Ruzoo Karleta
(Sunane Kubra Behaqi Jild 7 Page 336)

Hadees: (2)
Rawi Hazrat Habib Ibne Abi Sabit Radiallahu Anhu
Ek Shakhs ne
Hazrat Ali Radiallahu Anhu ki Khidmat Me Hazir Hokar Bola
mene Apni Bivi ko Hazaar Talaqe Di Hain
Farmaya ki 3 Talaqo Ne Usey Tujhpar Haraam Kardia
Zahir Si Baat Hai ki
Is Shakhs Ne Hazaar Talaqe Hazaar Mahino me To Na Di hongi
Warna 82 Saal 2 Mahine Isi Me Guzar Jaate Ek Dam hi di thi
Aur Ispar Hazrat Ali Radiallahu Anhu
ne Teeno Jaiz Rakhi
(Sunane Kubra Behaqi Jild 7 Page 335)

Hadees: (3)
Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai
Aapne Farmaya ki Jo koi Apni Bivi ko Ekdam 3 Talaq De To Bivi Bager Halaale Ke Halaal Nahi
(Sunane Kubra Behaqi Jild 7 Page 335)

Hadees: (4)
Imaam Baheqi ne Hazrat ibne Ayaaz Ibne Baker Se Riwayat ki hai
k Ek Shakhs Ne Apni Bivi ko Ekdam 3 Talaq De di Fir Khyaal Aya ki Usse Dowara Nikah Kare to wo
Hazrat Abu Hurairah Aur Ibne Abbas Radiallahu Ta'Ala Anhuma ki Khidmat me
Hazir hue un dono Sahabiyon ne Farmaya
hum is NiKah ko Dowara Karne ki koi
Shurat ko Nahi Dekhte hain
jabtak ki Wo Dusre Shohar Se Nikah Na
kare Wo Shakhs bola  Hazrat Mene ek hi
Lafz Se 3 Talaqe di thi
Uspar Hazrat Abdullah Ibne Abbas Radiallahu Ta'Ala Anhu Ne Farmaya
ki jo Kuchh Tere Kabze Me tha
bacha kucha tha Tune Ikattha hi de dia
(Sunane Kubra jild 7 Page 335)

Hadees: (5)
isi Behaqi Shareef me Hazrat Abdullah ibne Rafey Se Riwayat hai ki
kisine Hazrat Abdullah ibne Abbas Se
Poochha k mene Apni Bivi ko 100 Talaqe di hain Farmaya 3 lelo Aur 97 Chhod do
(Sunane Kubra Behaqi jild 7 Page 337)


Hadees: (6)
Hazrat Saeed ibne Jabeer Riwayat Karte hai
Hazrat Abdullah ibne Abbas Ne us Shakhs Se Farmaya k Jisne Apni Bivi ko Ekdam 3 Talaq di thi k Tujhpar Teri
Bivi Haraam hogai
(Sunane Kubra Behaqi jild 7 Page 337)

Hadess: (7)
Ibne Majah Ki hadees hai
Hazrat Fatima binte Qais Farmati hai ki
Mujhe mere Shohar ne Yaman
Jaate Waqt 3 Talaqe Ekdam De di
Un Teeno ko
Hazrat
Mohammed Sallallahu alaihi wasallam ne Jaiz Rakha
(Ibne Majah Baab Talaq)

Hadees: (8)
Mu'atta Imaam Malik wa Imaam Shafayi
Wa AbuDaud Wa Behaqi Sharif Me Ye Riwayat hai
Muawiya ibne Abi Ayas Hai ki Kisine
Hazrat Abu Hurairah wa Abdullah Ibne Abbas Radiallahu Ta'Ala Anhum SE Poochha k Jo koi Apni Bivi ko Ekdam
3 Talaq De di Uska kya hukm hai
Hazrat Abu Hurairah Ne Farmaya k Ek Talaq Usey Juda Kardegi
Aur 3 Haraam hai
ki Agar 3 De di To Bager Halale ke Nikah Durust Nahi hoga Ab
Abdullah Ibne Abbas Radiallahu Ta'Ala Anhu iski Tayed Farmaayi
(Abu Daud Page 99)

Hadees: (9)
Muslim Sharif ki Hadees Me Hai
ki Hazrat Umar Radiallahu Ta'Ala Anhu
ke Zamane mein Ye Qanoon Banadia Gya ki
ekdam 3 Talaqe 3 hi hongi
(Muslim Sharif Kitabul Talaq Page 478)

Is Hadees ki Sharah Navabi Mein hai ki
ki Sahaba-e-Kiram ka Ijma ispar hai ki
3 talaqe 3 Hi hongi
Aur Zahir Si Baat Hai ki Sahaba-e-Kiram Kabhi
Kisi Galat Kaam Par Ijma Nahi Kar Sakte
Ijma Ke Mayne Hote Hain Yaani Sabhi Ki Raaye Ek Hona ki Han Ye kaam Sahih Hai Aur Aisa hi Hai Isme Sabka Usko Haq Manna Iska Matlab Hota hai ijma Ye Un Bhaiyo Behno ke lie Bata Raha hoon
jo Iske Bare me Nahi Jante Warna Ulma ko sab Pata hai iske bare me

Jab Shohar Ko 3 Talaqe Dene Ka Haq Hai
To kya Wajah Hai ki wo De 3 Aur Pade Ek
Malik Ka Tasarruf Moatbar Hona Chahye

3 Talaqe Ek Sath Dena Beshaq Shakht
Manaa Hai Lekin
Jab Shohar Munh Se 3 Talaq Bol Raha hai
To Waqey Wo kyu na hon

Chori ki Chhudi Se Janvar Jibah Karna Haraam Hoga lekin Agar Koi Usse Janvar Jibah Karde To Beshaq Janvar Halaal hai

Halaate Haiz(mc) Mein Talaq Dena Haraam hai
Lekin Agar koi Dede To Waqey Hojaegi

Ab jo Log Chahte hai ki Aurat ko 3 talaaq Dene
Par Talaq Nahi Mani jaeye Aisa koi
Qanoon Ban jae To fir jo Aurat Talaq k baad usi Mard K sath Rahegi jisse Uska
Nikah hua Hai To Yaqeeqan Ye
Bohat hi badaa Gunah hOga Aur Apas Me jo
Ta'alluqat Banaye Jayenge Wo Zina hoga
Kyunki 3 Talaq Ne Usko Juda kardia
Ab Uska Gunah Bhi Usko bhi Milega Jo is Qanoon ki Himayat Karte hai


3 Talaq Ke Masle Mein Charo
Imaam Yani
1 Imaame Aazam,
2 Imaam Safai
3 Imaam Malik
4 Imaam Ahmed Bin Hambal Radiallahu Ta'Ala Anhum
Sab Is Masle Mein Yahi Mante Hai ki 3 Talaq Ek Baar Me Keh Dene Se 3 Talaqe ho jaati hai
Aur Poori Ummat ka bhi Isi Par Ittefaq Hai Chand Kam Ilm Logo ko ChhodKar
jo khudko Sabse Alag Kehte Hai Yaani Gair Muqallid Jo kisi Imaam ko Nahi
Mante Wo isko Nahi Mante Jinki Tadaat
Poori Dunia me Na k Barabar Hai
Unke Na Manne Se koi Farq Nahi Padhta kyunki
Jab Sahaba Ka ijma hai to kisi Aur ki Zarurat Nahi Aur Humne Kai Saari Ahadees Bhi Pesh Ki Hai Is Masle Mein


Majeed Tafseeli Maloomat Ke Liye Ye 2 Video Dekhe






Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Ruhaani Ilaaj Quran Se
► Dini Knowledge
► Nabiyon Ka Bayaan

Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Islami Masail
► Auraton ke MasaiL
► Namaz Ke MasaiL
► Ramzano ke MasaiL

Post a Comment

2 Comments

Niche Comment Box Me Aapki Raaye Likhe