INSAAN KI 30 GHALTIYAAN

INSAAN KI 30 GHALTIYAAN

INSAAN KI 30 GHALTIYAAN


1- Is khayaal mein hamesha magan rehna ki jawaani aur tandrusti hamesha rahegi.

2- Museebatoñ mein be-sabar ban kar cheekho-pukaar karna.

3- Apni aqal ko sabse badh kar samajhna.

4- Dushman ko haqeer samajhna.

5- Beemari ko mamooli samajh kar shuru'a mein ilaaj na karna.

6- Apni raye par amal karna doosroñ ke mashwaroñ ko thhukra dena.

7- Kisi badkaar ko bar-bar aazmakar bhi uski chaploosi mein aa jana .

8- Bekaari mein khush rehna aur rozi ki talaash na karna.

9- Apna raaz kisi doosre ko bta kar ise posheeda rakhne ki taakeed karna.

10- Aamdani se zyada kharch karna .

11- Logo'n ki takleef mein shareeq na hona aur unse imdaad ki ummeed rakhna.

12- Ek do hi mulaqaat mein kisi shakhs ki nisbat koi achhi ya buri raye qaayam kar lena.

13- Waledain ki khidmat na karna aur aulaad se khidmat ki ummeed rakhna.

14- Kisi kaam ko is khyal se adhura chhodh dena ki fir kisi waqt mukammal kar liya jaega.

15- Har Shakhs se badi karna aur logo'n se apne liye neki ki tawaqqo'a rakhna.

16- Gumraahoń ki sohbat mein uthna beithna.

17- Koi amal-e-saleh ki talqeen kre to is par dhyan na dena .


18- Khud halaal wa haraam ka khayaal na karna aur doosroñ ko bhi isi raah par lagana.

19- Jhooti qasam khakr, jhoot bol kar, dhoka dekar apni tijaarat ko farogh dena.

20- ilm-e-deen aur deendari ko izzat na samajhna.

21- Khud ko doosroñ se behtar samajhna.

22- Faqeeroñ aur sa'iloñ ko apne darwaze se dhakka dekar bhaga dena.

23- Zaroorat se zyada Baatcheet karna.

24- Apne padhosiyoñ se bigadh rakhna.

25- Baadshaahoñ aur Ameeroñ ki dosti par aitbaar karna.

26- Khwa-ma'khwañ kisi ke gharelu mu'aamlaat mein dakhal dena.

27- Ba'ghair soche samjhe baat karna.

28- 3 din se zyada kisi ka mehmaan banna.

29- Apne ghar ka bhed doosroñ par zaahir karna.

30- Har shakhs ke saamne apne dukh dard bayaan krna

(Jannati zewar page no. 557-558)

Allah Ta'Ala Hamen In Sabhi Galtiyon Se Hmesha Mahfooz Farmaye  Aameen

Ye bhi Padhen  ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓
► Namaz-padhne-ka-tareeqa
► Ghusal-ka-tareeqa
► Wuzu-Ka-Tariqa
► Jannat-Me-Jane-Ka-Rasta
► ZUBAAN-KI-HIFAAZAT

Post a Comment

0 Comments